Seene Per Haath Baandhne Ki Hadees-e-Wa’il Aur Iski Shwaahid Za’eef Hain Firqa Ahlul Hadees Ke Usool Ke Aainah Me
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
◈ Sanad (Chain):– Abu Taahir »» Abu Bakar »» Abu Moosa »» Mu’ammal (bin Isma’il) »» Sufyan (Sauri) »» Aasim bin Kulaib »» Kulaib bin Shihaab (rahmatullahi alaihim) »» Wa’il bin Hujar (Raziallahu anhu)
◈ Matan (Text):– Wa’il bin Hujar (Raziallahu anhu)
kehte hain ke, “Maine Rasoolullah (Sallallahu alaihi wa Sallam) ke sath Namaz parhi to Aap ne apna Daaya’n (Right) hath Bayei’n (Left) haath per rakh kar SEENE per baandha.” [Sahih Ibne Khuzaymah; Jild: 1, Page: 243]
◈ Matan (Text):– Wa’il bin Hujar (Raziallahu anhu)
kehte hain ke, “Maine Rasoolullah (Sallallahu alaihi wa Sallam) ke sath Namaz parhi to Aap ne apna Daaya’n (Right) hath Bayei’n (Left) haath per rakh kar SEENE per baandha.” [Sahih Ibne Khuzaymah; Jild: 1, Page: 243]
Firqa Ahlul Hadees Ka Jhoota Da’wa:
Is Hadees-e-Wa’il ke baare me Ghair-Muqallideen ke Mustanad Fatawa me likha hai: “Ulema’e Ahl-e-Hadees Namaz me Seene per Hath rakhne ke Saboot me 3 Hadeesei’n peish karte hain. Pehli hadees inke nazdeek Sahih, Marfoo’, Muttasil aur Ghair-Mu’allil, Ghair-Shaaz hai Jo Sahih Ibne Khuzaymah me bi-lafzihi…………….marwi hai.” [Fataawa Ulema'e Hadees, Jild: 3, Page: 91]
Is Hadees-e-Wa’il ke baare me Ghair-Muqallideen ke Mustanad Fatawa me likha hai: “Ulema’e Ahl-e-Hadees Namaz me Seene per Hath rakhne ke Saboot me 3 Hadeesei’n peish karte hain. Pehli hadees inke nazdeek Sahih, Marfoo’, Muttasil aur Ghair-Mu’allil, Ghair-Shaaz hai Jo Sahih Ibne Khuzaymah me bi-lafzihi…………….marwi hai.” [Fataawa Ulema'e Hadees, Jild: 3, Page: 91]
Is hadees-e-Wa’il ke Marfoo’ hone me to Koi Kalaam nahi hai lekin Firqa Ahl-e-Hadees ke Usool ki Ro’ se Ye Hadees Muttasil hai Na Sahih hai balke Munqata’ hai Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees ki wajah se aur Shaaz Ya Munkar hai Mu’ammal bin Isma’eel ke Izaafah ki wajah se..
Firqa Ahlul Hadees Ka Ek Mughaltah Aur Uska Jawab:
Aam taur per Ghair-Muqallideen Ye Mughaltah dene ki Koshish karte hain ke (Ibne Khuzaymah) ki is rivayat ko Jisme “Ala Sadrihi (Seene Per)” ki Zyadati hai, Ibne Sayyidun Naas, Ibne Khuzaymah, Mullah Qayem Sindhi (rahmatullahi alaihim) wagherah ne Sahih kaha hai.
Aam taur per Ghair-Muqallideen Ye Mughaltah dene ki Koshish karte hain ke (Ibne Khuzaymah) ki is rivayat ko Jisme “Ala Sadrihi (Seene Per)” ki Zyadati hai, Ibne Sayyidun Naas, Ibne Khuzaymah, Mullah Qayem Sindhi (rahmatullahi alaihim) wagherah ne Sahih kaha hai.
Jawaab: Hadees-e-Wa’il, mut’addad Kutab Hadees me mukhtalif Sanad aur Matan (Text) se manqool hai Jisme se ba’z Alfaaz ki Sihat me koi Kalaam nahi aur na Uske Saboot me koi Shakk hai. Lekin “Ala Sadrihi” ki Zyadati Jis hadees me aayi hai Usko In Muhaddiseen ne Sahih Nahi kaha hai balke (Sunan Nisa’i, Sunan Abu Dawood, Sahih Ibne Hibbaan wagherah) me maujood Hadees-e-Wa’il ke ta’lluq se Ibne Sayyidun Naas, Qayem Sindhi, Ibne Hajar (rahmatullahi alaihim) Wagherah ne Ibne Khuzaymah (rahimahullah) ki Tasheeh ka zikr kiya hai.
Ibne Hajar Ash-Shaafa’i (rahimahullah) likhte hain: “Aur Abu Dawood wa Nisaa’i me Wa’il bin Hujar (raziallahu anhu) ki hadees me hai: Phir rakha apne Daayei’n haath ko baayei’n hath ki Hatheili ki Pusht (Back) iske Jor (Wrist) aur As-Saa’id (Kalaai’, Fore-Arm) par. Aur Ibne Khuzaymah (rahimahullah) ne is rivaayat ko Sahih kaha hai.”
Allamah Nawawi wa Ibne Hajar (rahmatullahi alaihim) ne Ashadd zaroorat ke ba-wajood “Ala Sadrihi” ki rivaayat naqal kar ke Khamoshi Ikhtiyaar ki hai, Uski Tasheeh nahi ki hai. Agar Ibne Hajar (rahimahullah) ki Khamoshi hi Tasheeh ki daleel hai to Ye bhi bata deta hoon ke Unhoney saath hi (Musnad Bizzaar) ki Hadees bhi zikr ki hai Jisme “Inda Sadrihi (Seene ke Qareeb)” ke alfaaz hain Jiska Saaf Matlab hai ke Seene Per haath Nahi rakhe. Pas Ye hadees bhi Sahih ho jaayegi.
Pata nahi Ghair-Muqallideen ab in Do Sahih Ahadees me se Kis per amal karenge.?
Aur Allamah Nawawi (rahimahullah) ne apna Mazhab Naaf ke ooper aur Seene ke neeche bataaya hai. Sahih Muslim me bhi Yehi Baab unhoney baandha hai.
Tanbiyah: Qara’een-e-Kiraam.! Agar Firqa Ahl-e-Hadees Kisi Muhaddis ka hawaalah de kar kahei’n ke Hadees-e-Wa’il Sahih hai to phir Unsey Zaroor poochna ke Kya Unhoney Us Hadees ko Sahih kaha hai Jisme “Alaa Sadrihi” ke alfaaz aaye hain.? Agar haan to Scan zaroor dikhaayei’n.
Kya (Sahih Ibne Khuzaymah) Ki Tamaam Ahadees Sahih Hain.?
Ba’z Ghair-Muqallid Ulema’ wa Juhala’ Ibne Khuzaymah (rahimahullah) ki Andhi Taqleed me is hadees ko Sahih sabit karne ki Koshish karte hain.
Ba’z Ghair-Muqallid Ulema’ wa Juhala’ Ibne Khuzaymah (rahimahullah) ki Andhi Taqleed me is hadees ko Sahih sabit karne ki Koshish karte hain.
Chunanchah Ghair-Muqallid Jalaaluddin Qaasmi saahab likhte hain: “Imaam Ibne Khuzaymah apni Sahih ke muta’lliq shuroo’ me Shart is tarah zikr karte hain: “Ye Mukhtasar Sahih Ahadees ka majmooa hai jo Rasool (SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM) tak sahih aur muttasil sanad ke saath pahonchti hain aur darmiyan me koi Raavi saaqit ya sanad me inqata’ nahi hai aur raaviyo’n me se koi raavi majrooh ya Za’eef Nahi hai.” Is se saabit hua ke Ye Hadees Bilkul Saheeh Saalim hai. [Ahsanul Jidaal Page: 89]
Jawaab: Iska Jawaab Hum Ghair-Muqallid Ulema’ se hi dete hain ke Wo (Sahih Ibne Khuzaymah) ki Ahadees ke baare me Kya kehte hain.
1. Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Sahih Ibne Khuzaymah ki Aam rivaayaat Sahih wa Hasan hain lekin ba’z rivaayaat Hamaari Tehqeeq me Za’eef hain aur isi tarah doosre Logo’n ne bhi ba’z rivaayaat per Usool-e-Hadees aur Asma’ Ar-Rijaal ki Roshni me Jarah ki hai………….Imaam Ibne Khuzaymah ka Mutasaahil hona Sabit nahi hai.”[Fataawa Ilmiyah Jild: 2, Page: 304]
1. Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Sahih Ibne Khuzaymah ki Aam rivaayaat Sahih wa Hasan hain lekin ba’z rivaayaat Hamaari Tehqeeq me Za’eef hain aur isi tarah doosre Logo’n ne bhi ba’z rivaayaat per Usool-e-Hadees aur Asma’ Ar-Rijaal ki Roshni me Jarah ki hai………….Imaam Ibne Khuzaymah ka Mutasaahil hona Sabit nahi hai.”[Fataawa Ilmiyah Jild: 2, Page: 304]
Mutasaahil: (Ya’ni Raaviyo’n ke Ta’lluq se Narmi baratne waale)
2. Ghair-Muqallid Abdul Mannan Noorpuri likhte hain: “Magar TASHEEH me Ibne Hibban aur Ibne Khuzaimah ka TASAAHIL Mash’hoor hai.” [Te'daad Taraweeh Page: 34]
Ek kehta hai Ke Inka Tasahil Sabit nahi aur doosra Kehta hai ke Mash’hoor hai. Ab dono me se Kaun Sachha aur Kaun Jhoota hai.?
3. Ghair-Muqallid Irshaadul Haqq Asri likhte hain ke,
“Jaise Ibne Khuzaymah aur Sahih Ibne Hibban hain magar inki bhi Tamaam rivaayaat Sahih Nahi.” [Touzeehul Kalaam Jild:2, Page:264; Old edition]
“Jaise Ibne Khuzaymah aur Sahih Ibne Hibban hain magar inki bhi Tamaam rivaayaat Sahih Nahi.” [Touzeehul Kalaam Jild:2, Page:264; Old edition]
4. Ghair-Muqallid Abdur Ra’oof Sindhoo Saahab ek Hadees ke baare me likhte hain: “Ibne Khuzaymah (rahimahullah) ne isey Sahih Kaha hai mulaahizah ho Sahih Ibne Khuzaymah (2/27) magar Ye Hadees Sahih nahi.” [Al-Qoulul Maqbool Page: 366]
Is se ma’loom hua ke Ibne Khuzaymah (rahmatullahi alaih) Ka Kisi Hadees ko Sahih Ya Za’eef kehna Khud Ghair-Muqallid Ulema’ ke nazdeek Mu’tabar Nahi hai.
Lihaaza Tehqeeq ko chhor kar Ibne Khuzaymah (rahmatullahi alaih) ke Qoul me Taqleedi Panah lena fuzool hai.
Agar phir bhi Ghair-Muqallideen ko Israar hai to hum bata dein ke Ibne Khuzaymah (rahmatullahi alaih) ne apni Sahih me Ye hadees laayi hai..
Hazrat Abu Hurairah (Raziallahu Anhu) se marwi hai ke Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Irshaad Farmaaya ke, “Jo Shakhs Imaam Ke Rukoo’ se sar Uthaane se pehle pehle Namaz Ke Rukoo’ Ko Pa leta hai to Yaqeenan wo Us Raka’t ko Pa leta hai.”[Sahih Ibne Khuzaymah; Raqam# 1595]
Kya Jalaaluddin Qaasmi Saahab aur deegar Ghair-Muqallid Ulema’ wa Juhala’ is hadees ko Sahih Saalim tasleem karne ke liye Tayyar hain.?
Kya Ghair-Muqallideen is baat ka iqraar karte hain ke Muqtadi ke liye Imaam ke peeche Surah Fatihah parhna Zaroori Nahi.?
Chounke Ye Hadees Firqa Ahlul Hadees ke Maslak ke khilaaf hai isliye Yaha’n per apne Maslak se Wafaa karenge aur Hadees se Be-Wafaai karenge.
Hadees Ke Ruvaath Per Kalaam:
Seene per haath baandhne ki Hadees-e-Wa’il ke kul 3 Raaviyo’n per khud Firqa Ahlul Hadees ke Ulema’ ne Jarah naqal kar rakhi hai.
Seene per haath baandhne ki Hadees-e-Wa’il ke kul 3 Raaviyo’n per khud Firqa Ahlul Hadees ke Ulema’ ne Jarah naqal kar rakhi hai.
(I) Aasim bin Kulaib Per Jarah:
1. Ghair-Muqallid Hakeem Abdur-Rahman Khaleeq ne likha hai ke, “Aasim bin Kulaib bil-ittifaaq Kibbaar-e-Muhaddiseen ke Nazdeek Saqt darjah ka ZA’EEF Raavi hai.” [12 Masaa’il, Page:38]
1. Ghair-Muqallid Hakeem Abdur-Rahman Khaleeq ne likha hai ke, “Aasim bin Kulaib bil-ittifaaq Kibbaar-e-Muhaddiseen ke Nazdeek Saqt darjah ka ZA’EEF Raavi hai.” [12 Masaa’il, Page:38]
2. Ghair-Muqallid Dawood Arshad ne likha hai: “Aasim bin Kulaib Murjiyah tha, Shareek bin Abdullah An-Naqa’i, Allamah Zehbi aur Hafiz Ibne Hajar (rah.) ka kehna hai ke, Asim bin Kulaib Murjiyah tha. (Tehzeeb Jild:5, Page:56)”
Mazeid likhte hain: “Kutab Hadees ko Khangaal lijiye Aap ko Aasim bin Kulaib ka Koi Siqah to Kya Kaja Za’eef Raavi bhi Mutabe’ nahi milega aur A’immah Jarah wa Ta’deel ne Siraahat ki hai ke Aasim bin Kulaib Jab Kisi Hadees ko bayan karne me Munfarid (Akele) ho to Hujjat Nahi hai. Chunanchah Ameerul Mu’mineen Fil Hadees Imam Bukhari (rahimahullah) ke Ustaad Imam Ali bin Madeeni farmate hain ke: “Jab Munfarid ho to is se Ihtijaaj Na kiya Jaaye. (Meezan Al-aitedaal Jild:2 Page:356)” [Dekhye Deenul Haqq Jild:1, Page: 373,374]
Seene per haath baandhne ki is Hadees-e-Wa’il me bhi Aasim Bin Kulaib Munfarid (Akele) hain. Kutab Ahaadees ko Khangaal lene ke ba’d Siqah to kya Koi Za’eef Raavi bhi inki Mutabi’at nahi milta. Lihaaza is Hadees se Ihtijaaj karna firqa Ahlul hadees ke liye Jaayez Kaise hua.?
Firqa Ahlul Hadees Ke Ulema’ Ka Aapas Me Ikhtilaf:
3. Ghair-Muqallid, Zubair Ali Zai likhte hain: “Is Sanad me Asim bin Kulaib aur unke Waalid Jam’hoor Muhaddiseen ke nazdeek Siqah wa Sudooq hain.” [Namaz Me Haath Baandhne Ka Hukm Aur Maqaam Page: 13]
3. Ghair-Muqallid, Zubair Ali Zai likhte hain: “Is Sanad me Asim bin Kulaib aur unke Waalid Jam’hoor Muhaddiseen ke nazdeek Siqah wa Sudooq hain.” [Namaz Me Haath Baandhne Ka Hukm Aur Maqaam Page: 13]
Lijiye.! Zubair Ali Zai ne apne hi Hum Maslak 2 Ulema’ ke Jhoot ki Pol khol di hai. (Alhamdulillah)
(II) Sufyan As-Sauri Per Jarah:
1. Ghair-Muqallid Ghulaam Mustafa Amanpuri ne apne Maslak se Wafaa karte hue “Seene per haath baandhne” ki hadees ke tehat likha hai: “Isme Imaam Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees hai aur baaqi Sanad (Chain) Hasan hai, Lihaaza Ye Hadees apne Shwaahid ke saath Sahih hai.” [Tas'heel Al-Wasool, Page: 147]
1. Ghair-Muqallid Ghulaam Mustafa Amanpuri ne apne Maslak se Wafaa karte hue “Seene per haath baandhne” ki hadees ke tehat likha hai: “Isme Imaam Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees hai aur baaqi Sanad (Chain) Hasan hai, Lihaaza Ye Hadees apne Shwaahid ke saath Sahih hai.” [Tas'heel Al-Wasool, Page: 147]
Amanpuri Ki Hadees Se Be-Wafaayi:
Lekin Tark Rafayadayn waali Ibne Mas’ood (raziallahu anhu) ki Hadees per baraste hue likhte hain: “Ye Hadees Za’eef hai, isme Imaam Sufyaan Sauri Mudallis hain Jo har Sanad me (‘an) se rivaayat karte hain……….. Yaad rahe ke Siqah Mudallis ki rivaayat BUKHARI wa MUSLIM ke alaawah (‘an) ke saath Za’eef hoti hai.” [Tas'heel Al-Wasool, Page: 210]
Lekin Tark Rafayadayn waali Ibne Mas’ood (raziallahu anhu) ki Hadees per baraste hue likhte hain: “Ye Hadees Za’eef hai, isme Imaam Sufyaan Sauri Mudallis hain Jo har Sanad me (‘an) se rivaayat karte hain……….. Yaad rahe ke Siqah Mudallis ki rivaayat BUKHARI wa MUSLIM ke alaawah (‘an) ke saath Za’eef hoti hai.” [Tas'heel Al-Wasool, Page: 210]
Is Ghair-Muqallid ka ajeeb Karishmah dekhye ke Ek Jagah apne Matlab ki baat thi isliye waha’n per Tadlees ke ba-wajood Hadees ki Sanad ko Hasan bana diya aur phir Za’eef Shwaahid ki bunyaad per Hadees ko Sahih bhi banaa daala lekin doosri jagah baghair Kisi Illat ke sirf Tadlees ki wajah se Za’eef likh diya.
Hum poochte hain ke “Seene per haath baandhne” waali rivaayat Bukhaari me hai Ya Muslim me hai.? Agar nahi hai to phir Ye Hadees Za’eef kyon nahi.?
2. Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai ne likha hai: “Sufyan Sauri rahimahullah (Jo Zu’afaa wa Majaaheel se Tadlees karte the) ki Ye Mu’an’an (‘an) waali rivayat Za’eef hai……. Janaab Sufyan Sauri rahimahullah Ghazab ke Mudallis the.” [Noorul Aynayn, Page:138]
Tadlees: (Ya’ni Jis Raavi ki Ye aadat ho ke Wo apne Shaykh Jis se Hadees suni hai Us ka naam chhupa kar Shaykh ke Shaykh ka naam bataata ho).
Zubair Ali Zai ka Usool bhi mulaahizah farmaayein..
3. Usool-e-Hadees me Ye masla’h Tayy shudah hai ke Mudallis ki Tasreeh wa Samaa’ ke baghair (Maslan ‘an) waali rivaayat Za’eef hoti hai ba-shart ye ke,
(Alif) Raavi ka Mudallis hona saabit ho.
(Baa) Rivaayat mazkoorah Sahih Bukhaari wa Sahih Muslim ke alaawah ho. [Juz' Rafayadayn, Page: 25]
3. Usool-e-Hadees me Ye masla’h Tayy shudah hai ke Mudallis ki Tasreeh wa Samaa’ ke baghair (Maslan ‘an) waali rivaayat Za’eef hoti hai ba-shart ye ke,
(Alif) Raavi ka Mudallis hona saabit ho.
(Baa) Rivaayat mazkoorah Sahih Bukhaari wa Sahih Muslim ke alaawah ho. [Juz' Rafayadayn, Page: 25]
Phir Khud hi Seene per haath baandhne ki is Hadees-e-Wa’il ko Za’eef Tasleem kar liya hai.
4. Zubair Ali ne likha: “Ye rivaayat Mu’ammal ki wajah se Za’eef nahi balke Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees ki wajah se Za’eef hai.” [Namaaz me Haath baandhne ka Hukm aur Maqaam, Page: 20]
4. Zubair Ali ne likha: “Ye rivaayat Mu’ammal ki wajah se Za’eef nahi balke Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees ki wajah se Za’eef hai.” [Namaaz me Haath baandhne ka Hukm aur Maqaam, Page: 20]
Hum kehte hain ke, Sufyan Sauri (rahimahullah) Mudallis zaroor the Magar Inki Tadlees itni Muzr nahi ke Hadees Za’eef ho jaaye.
5. Ghair-Muqallid Yahya Gondolvi Saahab likhte hain: “Imaam Sauri Mudallis the magar Inki Tadlees muzr nahi Jo Hadees ki Sihat per Asar Andaaz ho aur Hadees ko Tadlees ki wajah se Radd kar diya jaaye.” [Aameen Bil-Jehr, Page: 26]
Chounke Jehran (Baland Aawaaz) se Aameen kehna Firqa Ahl-e-Hadees ke Maslak ke mutaabiq tha isliye Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees waali rivaayat Qabil-e-qubool banaa liya.
Tanbiyah: Jehran Aameen kehna sirf Ta’leem ke liye tha.
Al-gharz, Imaam Bukhaari, Imaam Muslim, Imaam Tirmizi, Imaam Haakim, Imaam Zehbi wagherah Mut’addad Muhaddiseen (rahmatullahi alaihim) ne “Sufyan (‘an) Asim bin Kulaib” ki kayi Mu’an’an rivaayaat ki Tasheeh ki hai. Isi tarah Imaam Nisa’i, Ibne Maajah, Abu Dawood ne “Sufyan (‘an) Asim bin Kulaib” ki rivaayaat apni apni Kutab me laayi hain magar ek Hadees ko bhi Inki Tadlees ki wajah se Za’eef Nahi kaha hai.
Mere Ilm ke mutaabiq Zubair Ali Zai pehla Shakhs hai Jisne Is hadees ko aur Tark Rafayadayn ki Hadees ko Sufyan Sauri (rahimahullah) ki Tadlees ki wajah se Za’eef kaha hai. Jab ke Is hadees me Sufyan Sauri (rahmatullahi alaih) ki Mutaabi’aat maujood hain magar Unme se Kisi ne bhi “Alaa Sadrihi” ke alfaaz ki Zyaadat bayaan nahi ki hai aur Mu’ammal ki taraf se is rivaayat me Zyaadati saabit hai.
Firqa Ahl-e-Hadees Ki Garhi Hui Hadees:
Ghair-Muqallid Jalaaluddin Qaasmi Saahab likhte hain: “Allamah Albani Jaise Muhaqqiq ne (Irwa’ Al-Ghaleel) me Is Hadees ko Shuwahid aur Turq ki bina per Sahih Kaha hai, kyonke Yehi rivaayat doosri Sanad se aayi hai jisme Mu’ammal bin Isma’eel Nahi hain, Iski Sanad Hasb-e-Zail hai….
Ghair-Muqallid Jalaaluddin Qaasmi Saahab likhte hain: “Allamah Albani Jaise Muhaqqiq ne (Irwa’ Al-Ghaleel) me Is Hadees ko Shuwahid aur Turq ki bina per Sahih Kaha hai, kyonke Yehi rivaayat doosri Sanad se aayi hai jisme Mu’ammal bin Isma’eel Nahi hain, Iski Sanad Hasb-e-Zail hai….
Phir Jalaaluddin Saahab ne Ek Nayi Hadees banaayi hai Jo poore Zakheera-e-Ahadees me Nahi milti Ya’ni Sanad (Chain) [Sahih Muslim] ki li hai aur Matan (Text) [Sahih Ibne Khuzaymah] ka liya hai. Yeh rahi woh hadees.[Ahsanul Jidaal, Page: 89]
Aisa tareeqah apnaaya jaaye to phir Koi Hadees Za’eef nahi rahegi aur Na hi Koi Hadees Sahih rahegi. Aise Muharrifeen se Allah hi hamaari hifaazat farmaaye. (Aameen)
(III) Mu’ammal Bin Isma’eel Per Jarah:
Jalaaluddin Saahab Ye bhi dekh lete ke Albani Saahab jaise Muhaqqiq ka Mu’ammal bin Isma’eel ke baare me kya kehna hai.?
Jalaaluddin Saahab Ye bhi dekh lete ke Albani Saahab jaise Muhaqqiq ka Mu’ammal bin Isma’eel ke baare me kya kehna hai.?
1. Nasiruddin Albani is Hadees-e-Wa’il per apni Tehqeeq peish karte hain ke, “Iski Isnaad Za’eef hai kyonke Mu’ammal Jo Isma’eel ka beta hai wo SA’EE AL-HIFZ (Bura Hafzah wala) hai.”
Iske ba’d Albani Saahab Jama’ti Ta’ssub se Maghloob ho kar Kehne lagey ke, “Lekin Ye Hadees Sahih hai kyonke Ma’na ke lihaaz se Ye Kuch Turq se aayi hai aur Seene per hath baandhne ki aur bhi kayi Ahadees Iski Shaahid hain.” [Sahih Ibne Khuzaimah, Jild:1, Page: 243; Makaalmaat Noorpuri, Page: 528]
Kaash Albani saahab saath hi iski bhi wizaahat kar dete ke Sa’ee Al-Hifz Raavi ki rivaayat kis darjah ki Za’eef hoti hai aur Wo Kis tarah se Sahih ho jati hai.?
Aur is Hadees-e-Wa’il ka ek Turq bhi aisa peish nahi kiya jisme “Alaa Sadrihi (Seene Per)” ke Alfaaz maujood ho aur wo Sahih ho.
Imaam Bayhaqi (rahmatullahi alaih) likhte hain: “Ek Jama’t ne Sufyan Sauri (rahimahullah) se isko rivaayat kiya hai lekin inme se kisi Ek ne bhi “Alaa Sadrihi (Seene Per)” ke alfaaz zikr nahi kiye sivaaye Mu’ammal bin Isma’eel ke.” [Al-Khilaaqyat Al-Bayhaqi Makhtootah Page: 37]
Imaam Bayhaqi (rahimahullah) ke Qoul ki Tehqeeq:
Kutab Ahadees ke hawalah se Hadees-e-Wa’il ki Hum Yaha’n Chand Isnaad Zikr Karte hain Jis se Ye pata chalega ke Mu’ammal bin Isma’eel ne Kharab Hafzah ki bina per “Ala Sadrihi (Seene Per)” ke Alfaaz ki Zyadati ki hai.
Kutab Ahadees ke hawalah se Hadees-e-Wa’il ki Hum Yaha’n Chand Isnaad Zikr Karte hain Jis se Ye pata chalega ke Mu’ammal bin Isma’eel ne Kharab Hafzah ki bina per “Ala Sadrihi (Seene Per)” ke Alfaaz ki Zyadati ki hai.
Sirf aur sirf Mu’ammal bin Isma’eel ki is rivaayat me lafz “Ala Sadrihi” ki Zyaadati mazkoor hai, Sauri (rahimahullah) ke baqya Do Shagird is Zyaadati ko rivaayat nahi karte. Ya’ni is hadees ki kul 16 Isnaad me se 15 me Ye Zyaadati mazkoor nahi. Aur Simaak bin Harb ke Shaagirdo’n ke Shaagirdo’n ko bhi milaa liya jaaye to 20, 25 ke bhi ooper Isnaad ho jaayengi.
Is Tehqeeq se ma’loom hua ke “Ala Sadrihi” ki Zyaadati ko rivaayat karne me Mu’ammal bin Isma’eel MUNFARID (Akele) hain. Pas Mu’ammal ki Ghalti Sabit hai aur Ye Hadees Shaaz wa Mu’allil (Za’eef) hai.
2. Ghair-Muqallid Mohammad Gondolvi Saahab ne SHUZOOZ KI BEHAS ka Unwaan qayem kar ke likha hai: “Agar Ek SIQAH Raavi Ba-wajood Siqah hone ke apne se Zyadah Siqah ki MUKHALIFAT kare Ya Ek Siqah Raavi bohat se Siqah Raavyo’n ki Mukhalifat kare Usko SHAAZ kehte hain. AGAR SIQAH RAAVI HADEES ME KOI LAFZ BARHAAYE JO DOOSRE SIQAH RAVIYO’N KI RIVAAYAT ME NA HO, TO BA’Z WAQT USKI ZYADATI MAQBOOL HOTI HAI AUR BA’Z WAQT MARDOOD. Siqah Raavi ki Zyadati Hameisha Qubool Nahi hoti.” [Khairul Kalaam Page 40]
3. Godolvi Saahab Allamah Ibne Salah (rahimahullah) se Naqal karte hain: “MARDOOD SHAAZ ki 2 Qismei’n hain, Ek wo Jo (Doosre Raaviyo’n ki Hadees ke) MUKHALIF ho,Doosri wo hai Jiska Raavi AKELA ho aur MUNFARID Raavi me Is Qadar Wasooq aur Zabt na ho Jiski bina’ per Us ZU’AF aur NIKAARAT ka Jabar ho sake, Jo Akela hone se paida hua hai.” [Khairul Kalaam Page: 41]
Mu’ammal bin Isma’eel Sa’ee Al-Hifz, Kaseer Al-Khata’ wa Kaseer Al-Ghalat Raavi hain lihaaza Ye hadees Unke Tafarrud ki wajah se Shaaz hai.
4. Zubair Ali Zai saahab Usool likhte hain: “Jo
KASEER AL-GHALAT, KASEER AL-AUHAAM,
KASEER AL-KHATA’ aur SA’EE AL-HIFZ wagherah
(Raavi) ho Uski Munfarid (Akeli) Hadees ZA’EEF
hoti hai.” [Noorul Aynayn Page: 63]
KASEER AL-GHALAT, KASEER AL-AUHAAM,
KASEER AL-KHATA’ aur SA’EE AL-HIFZ wagherah
(Raavi) ho Uski Munfarid (Akeli) Hadees ZA’EEF
hoti hai.” [Noorul Aynayn Page: 63]
Ghair-Muqallideen ke Is doosre Usool se bhi Ye Hadees ZA’EEF saabit hui. (Alhamdulillah)
Ghair-Muqallid Ulema’ Ka Iqraar:
5. Ghair-Muqallid Muhaddis Abdur Rahman Mubarakpuri Saahab Seene per Hath baandhne ki Is Hadees-e-Wa’il ko (SUNAN KUBRA BAYHAQI) ke hawale se Naqal kar ke likhte hain: “Hum Tasleem karte hain ke Mo’mal bin Isma’eel Za’eef hai aur Bayhaqi ki Ye rivayat ZA’EEF hai…..” [Abkaar Al-Minan Page: 359]
5. Ghair-Muqallid Muhaddis Abdur Rahman Mubarakpuri Saahab Seene per Hath baandhne ki Is Hadees-e-Wa’il ko (SUNAN KUBRA BAYHAQI) ke hawale se Naqal kar ke likhte hain: “Hum Tasleem karte hain ke Mo’mal bin Isma’eel Za’eef hai aur Bayhaqi ki Ye rivayat ZA’EEF hai…..” [Abkaar Al-Minan Page: 359]
6. Ghair-Muqallid Abdur Ra’oof Sindhoo likhte hain: “Ye sanad Za’eef hai kyonke Mu’ammal bin Isma’eel “Sa’ee Al-Hifz” hain Jaisa ke Hafiz Ibne Hajar (rahmatullahi alaih) ne (Taqreeb 2/290) me kaha hai. Abu Zar’ah ne kaha hai bohat Ghaltiya karta hai (KHATA’ KASEER). Imam Bukhari (rahmatullahi alaih) ne isey Munkar Al-hadees kaha hai. Zehbi (rahmatullahi alaih) ne kaha Ye Hafiz Aalim hai magar Ghaltiya karta hai (YAKHTI).” [Al-Qoul Al-Maqbool Fee Sharah wa Ta'leeq Salatur Rasool Page: 340]
Zubair Ali Ka Apne Hi Usoolo’n Se Tazaad:
Muhaddiseen ke nazdeek Jarah wa Ta’deel maanne ke kuch Usool muqarrar hain.
Muhaddiseen ke nazdeek Jarah wa Ta’deel maanne ke kuch Usool muqarrar hain.
Ghair-Muqallid Zubair Ali ne bhi Jarah wa Ta’deel ko maanne ke kuch Usool banaaye hain Jo hum yaha’n naqal karte hain.
(i). Jarah Mufassar, Ta’deel Mubham per Muqaddam hogi.
(ii). Ta’deel Mufassar, Jarah Mubham per Muqaddam hogi.
(iii). Agar Jarah (Mufassar) aur Ta’deel (Mufassar) ba-Hum Barabar ho to Jarah Muqaddam hogi. [Noorul Aynayn Page: 61]
(i). Jarah Mufassar, Ta’deel Mubham per Muqaddam hogi.
(ii). Ta’deel Mufassar, Jarah Mubham per Muqaddam hogi.
(iii). Agar Jarah (Mufassar) aur Ta’deel (Mufassar) ba-Hum Barabar ho to Jarah Muqaddam hogi. [Noorul Aynayn Page: 61]
Mazeid Ye bhi likha hai ke “Agar Jarah wa Ta’deel me A’imma-e-Muhaddiseen ka Ikhtilaaf ho Jaaye to Pehle Tatbeeq di Jaayegi aur Agar Tatbeeq Na-Mumkin ho to Phir Ja kar MUHADDISEEN ki Aksariyat ko dekha Jaayega.” [Noorul Aynayn; Page: 61]
Zubair Ali ne [Noorul Aynayn; New Edition Page: 61] me is Usool me Kuch izaafah kiya hai ke, Jarah wa Ta’deel dono Mufassar aur Muta’riz ho to Muhaddiseen ki Aksariyat ko Tarjeeh di Jayegi.
Mu’ammal ke ta’lluq se Jarah wa Ta’deel me A’imma-e-Muhaddiseen ke darmyan Koi Ikhtilaf nahi Kyonke Jarah Unke Hafzah se Ta’lluq rakhti hai aur Ta’deel Unki Adaalat se.. Lihaaza Muhaddiseen ki Aksariyat dekhne ka sawal hi paida nahi hota.
Hadees Ki Sanad Ke Raaviyo’n Me Bunyadi Taur Per 2 Baatei’n Dekhi Jaati Hain..
(i). Hifz (Ya’ni Raavi Ka Hafzah Achha Ho)
(ii). Adaalat (Ya’ni Raavi Neiko-kaar Ho, Faasiq Wa Faajir Na Ho)
(i). Hifz (Ya’ni Raavi Ka Hafzah Achha Ho)
(ii). Adaalat (Ya’ni Raavi Neiko-kaar Ho, Faasiq Wa Faajir Na Ho)
Chunanchah Ghair-Muqallid Zubair Ali Zai Saahab Jarah wa Ta’deel me Tatbeeq (Jor) dete hue likhte hain:
Ek dafa’h kaha: Siqah;
Doosri dafa’h kaha: Siqah Sa’eeul Hifz Ya Sa’eeul Hifz;
Nateejah: (adalat ke Lihaaz se) SIQAH aur (Hafzah ke lihaaz se) SA’EE AL-HIFZ hai.[Noorul Aynayn, Page: 62]
Ek dafa’h kaha: Siqah;
Doosri dafa’h kaha: Siqah Sa’eeul Hifz Ya Sa’eeul Hifz;
Nateejah: (adalat ke Lihaaz se) SIQAH aur (Hafzah ke lihaaz se) SA’EE AL-HIFZ hai.[Noorul Aynayn, Page: 62]
Ghair-Muqallid Irshadul Haq Asri Saahab ne likha hai: “SA’EE AL-HIFZ aur KASEER AL-WEHAM ki Jarah MUFASSAR hai.” [Tozeehul Kalaam, Page 962, New Edition]
Pas Ghair-Muqallideen Ulema’ ke bataaye In Usoolo’n ka Haasil Ye hua ke, Mu’ammal bin Isma’eel Adaalat ke lihaaz se Siqah hain aur Haafzah ke lihaaz se Sa’ee Al-Hifz hain aur in per Jarah Mufassar maujood hai.
Zubair Ali saahab ek aur Usool likhte hain: “Jo KASEER AL-GHALAT, KASEER AL-AUHAAM, KASEER AL-KHATA’ aur SA’EE AL-HIFZ waghera (Raavi) ho Uski Munfarid (Akeli) Hadees ZA’EEF hoti hai.” [Noorul Aynayn Page: 63]
Humne ooper Imaam Bayhaqi (rahmatullahi alaih) ke hawalah de kar Isnaadi Tehqeeq naqal kar di hai ke Mu’ammal is hadees me lafz “Ala Sadrihi” ki Zyadati rivayat karne me Munfarid (Akele) hain.
Qara’een-e-Kiraam.! Ab aap Khud faislah karein ke Mu’ammal bin Isma’eel Jo ke Sa’ee Al-Hifz hain, Unki Ye Munfarid rivaayat in Usoolo se Za’eef sabit hui ke nahi..?
Zubair Ali ne likha hai ke, “Jaariheen ki Jarah Aam hai aur Mu’daleen ki Ta’deel me Takhsees maujood hai, Yahya bin Mu’een (rahmatullahi alaih) ne Mu’ammal bin Isma’eel ko Sufyan Sauri (rahmatullahi alaih) ki rivayat me Siqah qaraar diya hai.” [Namaz me Hath baandhne ka Hukm aur Maqaam Page: 19]
Mazeid likha hai:
“Agar koi kahe ke Mu’ammal is rivayat me Tanha hai to Iska Jawab Ye hai ke…
(1). Sufyan Sauri se rivaayat karne me Siqah hai lihaaza iski hadees Hasan hai.
(2). Iski rivaayat kisi Siqah Raavi ke khilaaf nahi hai.
(3). Bohat si Ahadees iski Shaahid hain.” [Namaaz me Hath baandhne ka Hukm aur Maqaam Page: 20]
“Agar koi kahe ke Mu’ammal is rivayat me Tanha hai to Iska Jawab Ye hai ke…
(1). Sufyan Sauri se rivaayat karne me Siqah hai lihaaza iski hadees Hasan hai.
(2). Iski rivaayat kisi Siqah Raavi ke khilaaf nahi hai.
(3). Bohat si Ahadees iski Shaahid hain.” [Namaaz me Hath baandhne ka Hukm aur Maqaam Page: 20]
Hum yaha’n per Zubair Ali ke in bahaano ka ek ek kar ke Jawab dete hain.
Jawaab#(1):
Awwalan…. Yahya bin Mu’een (rahmatullahi alaih) se Mufassar Ta’deel Ibne Abi Hatim (rahmatullahi alaih) ne apni Kitaab (Jarah wa Ta’deel) me naqal ki hai magar iski Sanad Ma’roof nahi hai kyonke Iski Sanad me Ek Raavi Ya’qoob bin Is’haq hain Jinki Siqahat saabit nahi. Allamah Zehbi (rahmatullahi alaih) ne apni kitab (Tareekh Al-Islam) me inka zikr kiya hai aur in ke liye lafz “Haafiz” ka iste’mal kiya hai magar is se inki Siqaahat saabit nahi hoti. Lihaaza Ye Mufassar Ta’deel Mardood (Rejected) hai.
Jawaab#(1):
Awwalan…. Yahya bin Mu’een (rahmatullahi alaih) se Mufassar Ta’deel Ibne Abi Hatim (rahmatullahi alaih) ne apni Kitaab (Jarah wa Ta’deel) me naqal ki hai magar iski Sanad Ma’roof nahi hai kyonke Iski Sanad me Ek Raavi Ya’qoob bin Is’haq hain Jinki Siqahat saabit nahi. Allamah Zehbi (rahmatullahi alaih) ne apni kitab (Tareekh Al-Islam) me inka zikr kiya hai aur in ke liye lafz “Haafiz” ka iste’mal kiya hai magar is se inki Siqaahat saabit nahi hoti. Lihaaza Ye Mufassar Ta’deel Mardood (Rejected) hai.
Saaniyan…. Yahya bin Mu’een (rahmatullahi alaih) ne khud farmaya hai ke, Sufyan Sauri (rahimahullah) ki rivayat me Mu’ammal se Hujjat nahi pakri ja sakti. [Mu'arifat Ar-Rijaal, Raqam# 549]
Saalisan…. Allamah Ibne Hajar (rahimahullah) se Mu’ammal (‘an) Sufyan ki rivaayat per Jarah Mufassar maujood hai, likhte hain: “Isi tarah se Mu’ammal bin Isma’eel ki hadees Jo Sauri (rahimahullah) se ho Usme Zu’af hota hai.” [Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari; Jild:9, Page:206]
Ghair-Muqallid Zubair Ali ne Usool Likha hai: “10 ne kaha ALIF Siqah hai aur Ek ne Kaha ALIF, BAA me Za’eef hai. Nateejah: ALIF Siqah hai aur BAA me Za’eef hai.” [Noorul Aynayn Page: 61]
Is Usool se saabit hua ke Agar Mu’ammal Siqah bhi hain to Sufyan Sauri (rahmatullahi alaih) se rivaayat karne me Za’eef hain. Aur Hadees-e-Wa’il is Usool se bhi Za’eef Saabit hui. Fa lillahil Hamd.
Raabi’an…. Jin Muhaddiseen ne Mu’ammal (‘an) Sufyan ki doosri rivaayaat ko Hasan Ya Sahih kaha hai to Ye Ta’deel Mubham hai Jo Jarah Mufassar ke muqablah me Mardood hai kyonke Muhaddiseen, Hadees ko Hasan Ya Sahih Shuwaahidaat ki bunyad per bhi Kehte hain Jaise Ghair-Muqallid Albani ne is Hadees-e-Wa’il ko Shwaahid ki bunyaad per Sahih kaha hai aur saath hi bata diya ke Mu’ammal bin Isma’eel Za’eef hain.
Mazeid Ghair-Muqallideen khud in Muhaddiseen ki har har Tasheeh wa Tehseen se Ittifaq nahi rakhte to inka hawaalah peish karna hi Fuzool hai.
Jawaab#(2): Mu’ammal ki rivaayat kisi Siqah Raavi ke khilaf nahi hai kehna bhi Zubair Ali ke apne hi Usool ke Khilaaf hai.
Zubair Ali ne Usool likha hai: “Jo KASEER AL-GHALAT, KASEER AL-AUHAAM, KASEER AL-KHATA’ aur SA’EE AL-HIFZ waghera (Raavi) ho Uski Munfarid (Akeli) Hadees ZA’EEF hoti hai.” [Noorul Aynayn Page: 63]
Mu’ammal Sa’ee Al-Hifz hai aur is Hadees ko rivayat karne me Munfarid hai. Pas Hadees Za’eef hai.
Jawaab#(3): Agar Shuwahidaat se Raavi Siqah Ya Hadees Sahih ho jaati hai to phir “Naaf ke neeche haath baandhne” ki Hadees-e-Ali ke bhi bohat si Shuwahidaat maujood hain. Lihaaza Hamaari Daleel to Hadees-e-Wa’il se bhi Zyadah Sahih aur Qawi ho jayegi kyonke Hamaari Daleel me sirf Ek Raavi Abdur Rahman bin Is’haq per Kalaam baaqi reh jaata hai to Is Hadees-e-Wa’il ke Kul 3 Raaviyo’n per khud Firqa Ahl-e-Hadees ke Ulema’ ne Jarah naqal kar rakhi hai.
Ek to kaha ke is Hadees ki bohat si Ahadees Shaahid hain magar Zubair Ali ne apne poore Risaalah me is Hadees-e-Wa’il ki sirf 2 hi Shaahid zikr kar ke Unse Hujjat Qaayem karne ki Koshish ki hai.
(I). Hadees-e-Hulab: Ye hadees Namaaz ke andar Haath baandhne ke Ta’lluq se Ghair Sareeh hai balke Salaam pheirne ke ba’d Seene per ek hath rakhne ke ta’lluq se hai. Is hadees me Lafz “Ala Sadrihi” ka izaafah Ghair-Mehfooz hai.
Hulab (raziallahu anhu) ki is Hadees ko Hamare Ilm ke mutabiq Simaak bin Harb se 8 Shagirdo ne rivayat kiya hai.Tafseelke liye yeh niche diye link ko dekhe
Sirf isi ek rivayat me Lafz “Ala Sadrihi” ki Zyadati hui hai.
Ya’ni is hadees ki kul 12 Isnaad me se 11 me Lafz “Ala Sadrihi” maujood nahi.
Zubair Ali ke Muhtaram Sheikh Irshaadul Haq Asri Ghair-Muqallid naqal karte hain ke, “Hafiz Abu Bakar Al-Barweiji (rahimahullah) farmaate hain: RAAVI MUNFARID (Akela) HO AUR MATAN KISI AUR TAREEQ SE MARWI NA HO TO USEY BHI MUNKAR KEHTE HAIN.[Muqaddamah Ibne Salah pg 72]” [Dekhiye Touzeehul Kalaam Page: 791, New Edition]
Iske alawah is hadees ke 2 Raavi Simaak bin Harb aur Qabeesah bin Hulab per Kalaam hai.
Isi wajah se Ghair-Muqallid Abdur Ra’oof Sindhoo likhte hain: “Is hadees ki Sanad agarchah Za’eef hai magar Shuwaahid me Ye Qabil-e-Zikr hai.” [Al-Qoulul Maqbool Page: 341]
Pas Ye hadees Ghair Saheeh hai. Isme Illat-e-Qadihah (Hidden Defect) maujood hai. Is Hadees ko doosri Za’eef Ahadees ki Shaahid banaane se kya faydah.?
(II). Taaba’i Taawus (rahmatullahi alaih) ki rivaayat:
Awwalan… Is hadees me Ek Raavi Suleiman bin Moosa Za’eef hain.
Awwalan… Is hadees me Ek Raavi Suleiman bin Moosa Za’eef hain.
Imaam Bukhaari (rahmatullahi alaih) ne kaha: INDAHU MANAAKEER (Iske paas MUNKAR Ahadees hoti hain). [Az-Zu'afaa As-Sagheer Lil Bukhari Page: 55, 56]
Imaam Bukhaari (rahimahullah) ne farmaaya: “Jiske muta’lliq Main Munkar Al-hadees kahoo Us se rivaayat lena Halaal Nahi.” [Fathul Mughais Jild: 1/ Safah: 373]
Ghair-Muqallid Zaahidi Saahab likhte hain: “Jis Aadmi me Ye Wasaf MUNKAR AL-HADEES paaya jaaye Uski Hadees TARK ke laayeq hai.” [Tehqeeq Al-Ghaayah, Page: 62]
Abdur Ra’oof Sindhoo ne bhi iqraar kiya hai ke, Suleiman bin Moosa ki wajah se Iski sanad Hasan hai. [Al-Qoulul Maqbool, Page: 340]
Saaniyan… Taos (rahimahullah) ne baghair Kisi Sahaabi (raziallahu anhu) ka naam le kar is Hadees ko rivaayat kiya hai, isliye Ye Mursal hai. Aur Firqa Ahlul hadees ke nazdeek Mursal Za’eef wa Mardood hoti hai.
Zubair Ali ne khud likha hai: “Har Wo Hadees Jisme SAHEEH Hadees Ya HASAN Hadees ki SIFAAT maujood na ho to Wo Hadees Za’eef hogi.. aur iski Iqsaam ye hain Maslan (Za’eef) MAUZOO’, MAQLOOB, SHAAZ, MU’ALLIL, MUZTARIB, MURSAL, MUNQATA’ aur MU’AZZIL waghera. [Noorul Ainain page: 60]
Zubair Ali ne ek aur jagah likha hai, “Jam’hoor Muhaddiseen ke nazdeek Taaba’i ki Mursal rivaayat har lihaaz se Mardood hai.” [Fataawa Ilmiyah; Jild:2, Page: 290]
Zubair Ali ne Marfoo’ Hukmi Hadees-e-Ali ke Muqaabil me
Is Za’eef Mursal rivaayat ko Ilzaami taur per Ahnaaf ke khilaaf peish kiya hai. Ye to Nari Jihaalat wa Himaaqat hui.
Is Za’eef Mursal rivaayat ko Ilzaami taur per Ahnaaf ke khilaaf peish kiya hai. Ye to Nari Jihaalat wa Himaaqat hui.
Baaqi ki jitni bhi is mazmoon ki Ahadees aayi hain wo Tamaam ki Tamaam Za’eef hain. Isiliye Zubair Ali ne unka zikr tak nahi kiya hai sivaaye Ek ke. Phir bhi Hum un chand Ahadees ka Mukhtasar sa Jawaab de dete hain.
(III). Hadees-e-Wa’il: Wa’il (raziallahu anhu) se ek doosri Sanad se “Seene per Hath baandhne” ki hadees [Sunan Kubra Bayhaqi] me marwi hai.
Iski sanad me kul 3 Raaviyo’n per Kalaam hai.
(i). Abdul Jabbar ki Waalidah ka Haal ma’loom nahi.
(ii). Muhammad bin Hajar ke baare me Imam Bukhari (rahimahullah) ne FEEHI BA’ZUN NAZAR keh kar Inki siqaahat ko mashkook tehraaya hai. Imaam Zehbi (rahimahullah) ne kaha Iske paas Munkar rivaayaat hain. [Meezan Al-aitedaal 3/511]
Iski sanad me kul 3 Raaviyo’n per Kalaam hai.
(i). Abdul Jabbar ki Waalidah ka Haal ma’loom nahi.
(ii). Muhammad bin Hajar ke baare me Imam Bukhari (rahimahullah) ne FEEHI BA’ZUN NAZAR keh kar Inki siqaahat ko mashkook tehraaya hai. Imaam Zehbi (rahimahullah) ne kaha Iske paas Munkar rivaayaat hain. [Meezan Al-aitedaal 3/511]
(iii). Sa’eed bin Abdul Jabbaar ke baare me Imam Nasa’i (rahimahullah) ne kaha, “Qawi nahi hai”. Ibne hajar (rahimahullah) ne kaha, Za’eef hai. [Meezan 3/215; Taqreeb Raqam# 238]
Zubair Ali Zai ka Iqraar hai ke, “Ye rivaayat Sakht Za’eef hai. Muhammad bin Hajar ki rivaayatei’n Munkar hain. Umme Abdul Jabbaar ki Tauseeq ma’loom nahi aur Sa’eed bin Abdul Jabbaar bhi Majrooh hai. [Namaaz Me Haath Baandhne Ka Hukm Aur Maqaam, Page: 25]
(IV). WANHAR (Surah Kausar: 2) ki Tafseer:
Hazrat Ali wa Ibne Abbas (raziallahu anhum) se Iski Tafseer “Seene per Hath baandhne” ki marwi hai.
Hazrat Ali (raziallahu anhu) se marwi Tafseer me Ek Raavi Al-Ijaaj Al-Jahdari hain Jinka haal ma’loom nahi.
Khud Zubair Ali ne likha hai: “Aasim Al-Jahdari (rahimahullah) aur Uqbah bin Sab’han (rahimahullah) ke darmyan Al-Ijaaj Al-Jahdari ka Waastah hai (Tareekh Al-
Kabeer 6/437). Al-Ijaaj Maj’hool Al-Haal hai. [Namaz me hath baandhne ka Hukm aur Maqaam Page 57]
Kabeer 6/437). Al-Ijaaj Maj’hool Al-Haal hai. [Namaz me hath baandhne ka Hukm aur Maqaam Page 57]
Mazeid likha hai: Ibne Turkmani Hanafi ne likha hai ke, “Iski Sanad aur Matan me Iztiraab hai.” [Page: 57]
Lihaaza Ye Tafseer Sanad wa Matan ke lihaaz se Muztarib hone ki wajah se Za’eef hai.
Aur Ibne Abbas (raziallahu anhu) se marwi Tafseer Ki Sanad me Ek Raavi hai Rooh bin Al-Musayyab Jis per Jarah Mufassar (Clear Critical) maujood hai…
Chunanchah Ibne Hibbaan (rahimahullah) farmaate hain: “Ye Siqaat ka hawalah de kar Mauzoo’ (Jhooti) rivaayaat bayaan karta tha.” [Lisaanul Meezaan 3/486]
Aise Jhootay Raaviyo’n ki Hadees Sahih nahi balke Jhooti hoti hai. Phir bhi ba’z Ghair-Muqallideen is Jhooti Hadees ko Apni Daleel banaate hain.
Ye raha Firqa Ahlul Hadees ki “Seene Per Hath Baandhne” ki sab se mazboot Daleel aur Uski Shuwahidaat ka Tajziyah.
Hadees ki Sihat ka Faislah Koi Qur’ani Ya Hadeesi Faislah Nahi hai balke Ye Muhaddiseen ki apni Ijtihaadi Raa’i hoti hai Jisme Khata’ (Ghalti) aur Sawaab (Sahih) dono ka ahtemaal (Possibility) hota hai. Za’eef Hadees ka matlab Ye nahi hota ke wo Hadees Nafs Al-Amr me Jhooti aur Na Qabil-e-Aitemaad hai balke sirf itna matlab hota hai ke Usool-e-Hadees per wo Khadi nahi utri hai.
Isiliye Hum Ahnaaf is Hadees-e-Wa’il ko Za’eef keh kar is ka inkaar nahi karte. Albattah Ye zaroor kehte hain ke “Naaf ke neeche haath baandhne” ki Hadees-e-Ali me SUNNAT ki siraahat hai aur Hadees-e-Wa’il me sirf Ek dafa’h ka amal hai Jo sirf Bayaan Jawaaz ke liye hai lihaaza Ye MARJOOH hai aur “Naaf ke neeche haath baandhna” RAAJEH hai. Is tarah ka mauqaf apnaane se Kisi Hadees ka Inkaar Laazim nahi aata.
Zubair Ali Zai ke peish kardah 3 Ahadees ke Saabit hone me Shakk hai albattah Hadees-e-Wa’il Jo (Sunan Kubra Bayhaqi) me marwi hai aur iski deegar Shuwahidaat me mazeid ek aur Taaweel ye bhi mumkin hai ke, Rasoolullah (Sallallahu alaihi wa Sallam) ne ek dafa’h Seene per haath Aurto’n ko Ta’leem dene ke liye baandha hai ke Aurtei’n apne haath Seene per baandha karei’n, isme unke liye Zyadah Pardah hai Jis tarah Aap (sallallahu alaihi wa sallam) ne Namaaz ke Qa’idah me Tawarruk kiya hai. Aurto’n ka Tawarruk karna Doosri Ahadees se saabit hai. (Wallaahu Aalam Bis-Sawaab)
Fazail e Amaal par Waswasa Part 4 (Hazrat Junaid Baghdadi Rh. ka Tawaaf e Hajj ke Mutalliq Waqiye) ka Jawaab.
Aiteraaz : Hazrat Junaid Baghdadi Rh. ka Tawaaf e Hajj ke Mutalliq Waqiya ko Zikr karke Ghair muqallid aalim tausuf ur rehman ne kaha ke ulama e deoband baitullah ko bhi allah maante hai.
Al – Jawaab :
Ek Dhoka : Tausuf Ur Rehman Sahaab Ne Apni Aadat Ke Mutaabiq Dhoka Dete Huwe Kaha Hai Ke
“Peer Junaid Baghdadi Baitullah Tawaaf Kar Rahe The. Ek Ladki Naujawaan Wo Bhi Saat Tawaaf Kar Rahi Thi , Tawaaf Karte Karte Kehne Lagi Junaid Allah Ka Tawaaf Karte Ho Ya Baitullah Ka Tawaaf Karte Ho ? Kehne Lage Nahi Maine Toh Baitullah Ka Tawaaf Karta Hu , Aasmaan Ki Taraf Mu Karke Kehti Hai Aye Allah ! Yeh Kaisa Pathar Dil Log Hai Jo Patharo Ka Tawaaf Karte Hai
MAI TOH TERA TAWAAF KARTI HU.
Dekhiye Tausuf Sahaab Ki Video Clip Fazail E Amaal Ki Haqiqat : 15 : 34
Jabke Fazail E Amaal Me Yeh Alfaaz (MAI TOH TERA TAWAAF KARTI HU) Qatan Maujood Nahi Hai.
Is Baddiyaanat Shaks Ne Yeh Alfaaz Apni Taraf Se Kahe Hai.
Fazail E Amaal Ki Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
Usne (Ladki) Ne Pucha Ke Junaid Rh. Tum Allah Ka Tawaaf Karte Ho Ya Baitullah Ka Karte Ho Maine ( Hazrat Junaid Rh. Ne) Jawaab Diya Ke Baitullah Shareef Ka Tawaaf Karta Hu Toh Usne Apna Muh Aasmaan Ki Taraf Kiya Aur Kehni Lagi.Subhanallah ! Aap Ki Bhi Kya Ajeeb Mashiyat Hai Jo Maqlooq Khud Pathar Jaisi Hai Wo Patharo Hi Ka Tawaaf Karti Hai.Uske Baad Usne 3 Ash-Aar Padhe Jinka Matlab Yeh Hai Ke
Log Patharo Ka Tawaaf Karke Aap Ka Qurb Dhundte Hai
Unlogo Ke Dil Khud Bhi Patharo Se Zyaada Saqt Hai
Aur Hairaani Me Hairaan Wa Pareshaan Phir Rahe Hai Aur Apne Qiyaal Me Taqarrub Ke Mahel Me Utare Huwe Hai Agar Yeh Log Apne Ishq Me Sach-Che Hote Toh Unki Sifaat Apni Ghayab Hojaati Aur Allah Ki Muhabbat Ki Sifaat Unme Paida Hojaati.
Hazrat Junaid Rh. Farmaate Hai Ke Uski Us Guftagu Se Ghash Khaakar Girgaye Aur Gashi Se Afaaqa Huwa Toh Wo Ladki Jaa Chuki Thi. (Fazail E Amaal : Jild 2 : Fazail E Hajj : Safa 173)
Scan Page :
Wazaahat :
Us Ladki Ke Jawaab Ka Matlab Yeh Hai Ke Jo Log Agarche Makkatul Mukarramah Jaisi Muqaddas Jagah Par Maujood Hai Aur Baitullah Ka Tawaaf Karte Hai Aur Allah Tala Ka Qurb Dhonte Hai.
Lekin Wo Log Cheezo Ki Muhabbat Me Giraftar Yaani Dunya Ki Muhabbat Me Pade Huwe Hai , Baitullah Jaisi Azeem Jagah Me Bhi Allah Ki Muhabbat Ke Muqaamle Me Dunya Ki Muhabbat Unpar Ghaalib Hai.
Tawaaf Jaisi Azeem Ibaadat Jo Dunya Me Baitullah Ke Alaawa Kahi Bhi Kiya Hi Nahi Jaasakta Hai Wo Ibaadat Bhi Allah Ki Muhabbat Se Khaali Ho Toh Phir Yeh Dil Pattar Se Bhi Zyaada Saqt Hai.
Isiko Allama Iqbal Sahaab Rh. Ne Apni Ash-Aar Ke Andar Uska Mataam Manaaya Ke
Rehgayi rasm e azaan ruh e bilaali na rahi
Falsafa rehgaya talqeen e ghazaali na rahi
Masjide marsiya khaa hai , ke namazi na rahe.
Yaani wo sahaab e ausaafe hijaazi na rahe.
Is ash-aar me bhi ibadat ke ruhaaniyat ki taraf tawajjo dilaayi jaarahi hai jaise ke us ladki ne apni ashaar ke andar ibaadat ki ruhaaniyat ko waazeh kiya hai.
Agar Yeh Log Apne Ishq Wa Muhabbat Me Sach-Che Hote (Jaisa Ke Wo Dawa’a Karte Hai Ke Humme Bhi Allah Se Muhabbat Hai)
Toh Unpar allah ki muhabbat ghaalib hoti aur baitullah ke tawaaf se maqsood qurb e khudawandi ke haasil karne me poore khushu aur kuzu ke saat lage rehte.
Gharz Mere Dosto ! Kitni Saaf Ibaarat Hai Aur Isme Jo Jumla Tausuf Ur Rehman Ne bayaan kiya Hai Wo Qatan Qatan Maujood nahi hai.
Beshak , Jhooto Par Allah Ki Laanat Hai.
Note : Yeh Waqia Hazrat Shaik ul Hadees Rh. ne Apni taraf ne nahi likha , Balke Imam Yafa’I Yemeni Rh. (Siqa) ki Kitaab se Riwayat kiya hai.
Unki Ta’aruf Humne Pehle hi Bayaan kardiya hai.
http://www.alijma.org/imam-yafai-yemeni-rh-ka-taaruf/
Aur Yeh Waqia Imam Yafa’I Rh. ne Apni Kitaab Rauz ur Riyaaheen Fii Hikaayatus Saleheen : Safa 70 Par Darj kiya hai.
Scan Page :
Scan Page : Rauz ur Riyaaheen Mutarjim
Sawaal : Tausif Sahaab ! Aapne Jo Jumle Hasad aur Bughaz me Hazrat Shaik ul Hadees Rh. aur Akaabir e Deoband ko Kahe hai.
Agar Tum Apni Baat me Sach-che ho toh yahi jumle Jeddah aur Saudi Arab ki Sar Zameen par Baithkar Imam Yafa’i Rh. ko Kehsakte ho ?
Pas Allah Tala Aisi Jhoote Maulwiyo aur Mullao ke shar wa waswaso se puri ummat ki Hifaazat Farmaaye.
Ameen.
حضرت امام ابو حنیفہرحمتہ اللہ کے مختصر حالات زندگی HAZRAT IMAM AAZAM ABU HANIFA R.A. KE MUKHTASAR HALAT E ZINDAGI
امام ابو حنیفہرحمتہ اللہ "نعمان بن ثابترحمتہ اللہ" ۸۰ھ – ۱۵۰ھ
حضرت امام ابو حنیفہرحمتہ اللہ کے مختصر حالات زندگی
آپ کا اسم گرامی نعمان اور کنیت ابو حنیفہ ہے۔ آپ کی ولادت ۸۰ھ میں عراق کے کوفہ شہر میں ہوئی۔ آپ فارسی النسل تھے۔ آپ کے والد کا نام ثابترحمتہ اللہ تھا اور آپ کے دادا نعمان بن مرزبان کابل کے اعیان و اشراف میں بڑی فہم و فراست کے مالک تھے۔ آپ کے پردادا مرزبان فارس کے ایک علاقہ کے حاکم تھے۔ آپ کے والد حضرت ثابترحمتہ اللہ بچپن میں حضرت علیرضی اللہ کی خدمت میں لائے گئے تو حضرت علیرضی اللہ نے آپ اور آپ کی اولاد کے لئے برکت کی دعا فرمائی جو ایسی قبول ہوئی کہ امام ابو حنیفہرحمتہ اللہ جیسا عظیم محدث و فقیہ اور خدا ترس انسان پیدا ہوا۔
آپ نے زندگی کے ابتدائی ایام میں ضروری علم کی تحصیل کے بعد تجارت شروع کی لیکن آپ کی ذہانت کو دیکھتے ہوئے علم حدیث کی معروف شخصیت شیخ عامر شعبی رحمتہ اللہ کوفی ۱۷ھ – ۱۰۴ھ" جنہیں پانچ سو سے زیادہ اصحاب رسولرضی اللہ کی زیارت کا شرف حاصل ہے، نے آپ کو تجارت چھوڑ کر مزید علمی کمال حاصل کرنے کا مشورہ دیا چنانچہ آپ نے اما شعبی رحمتہ اللہکوفی کے مشورہ پر علم کلام، علم حدیث اور علم فقہ کی طرف توجہ فرمائی اور ایسا کمال پیدا کیا کہ علمی و عملی دنیا میں امام اعظم رحمتہ اللہ کہلائے۔ آپ نے کوفہ ، بصرہ اور بغداد کے بے شمار شیوخ سے علمی استفادہ کرنے کے ساتھ حصول علم کے لئے مکہ مکرمہ ، مدینہ منورہ اور ملک شام کے متعداد اسفار کئے۔
ایک وقت ایسا آیا کہ عباسی خلیفہ ابو جعفر منصور نے حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کو ملک کے قاضی ہونے کا مشورہ دیا لیکن آپ نے معذرت چاہی تو وہ اپنے مشورہ پر اصرار کرنے لگا چنانچہ آپ نے صراحتہ انکار کر دیا اور قسم کھالی کہ وہ یہ عہدہ قبول نہیں کر سکتے، جس کی وجہ سے ۱۴۶ ہجری میں آپ کو قید کر دیا گیا۔ امام صاحب رحمتہ اللہ کی علمی شہرت کی وجہ سے قید خانہ میں بھی تعلیمی سلسلہ جاری رہا اور امام محمد رحمتہ اللہ جیسے محدث و فقیہ نے جیل میں ہی امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ سے تعلیم حاصل کی۔ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کی مقبولیت سے خوفزدہ خلیفہ وقت نے امام صاحب رحمتہ اللہ کو زہر دلوا دیا۔ جب امام صاحب رحمتہ اللہ کو زہر کا اثر محسوس ہوا تو سجدہ کیا اور اسی حالت میں وفات پا گئے۔ تقریبا پچاس ہزار افراد نے نماز جنازہ پڑھی، بغداد کے خیزران قبرستان میں دفن کئے گئے۔ ۳۷۵ھ میں اس قبرستان کے قریب ایک بڑی مسجد "جامع الامام الاعظم رحمتہ اللہ " تعمیر کی گئی جو آج بھی موجود ہے۔ عرض ۱۵۰ھ میں صحابہ و بڑے بڑے تابعین سے روایت کرنے والا ایک عظیم محدث و فقیہ دنیا سے رخصت ہو گیا اور اس طرح صرف اور صرف اللہ تعالی کے خوف سے قاضی کے عہدہ کو قبول نہ کرنے والے اپنی جان کا نذرانہ پیش کر دیا تاکہ خلیفہ وقت اپنی مرضی کے مطابق کوئی فیصلہ نہ کراسکے جس کی وجہ سے مولاء حقیقی ناراض ہو۔
حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کے بارے میں حضور اکرمصلی اللہ علیہ و سلم کی بشارت
مفسر قرآن شیخ جلال الدین سیوطی شافعی مصری رحمتہ اللہ ۸۴۹ھ – ۹۱۱ھ" نے اپنی کتاب "تبییض الصحیفۃ فی مناقب الامام ابی حنیفہرحمتہ اللہ " میں بخاری و مسلم و دیگر کتب حدیث میں وارد نبی اکرم کے اقوال : " اگر ایمان ثریا ستارے کے قریب بھی ہو گا تو اہل فارس میں سے بعض لوگ اس کو حاصل کر لیں گے۔ "بخاری" اگر ایمان ثریا ستارے کے پاس بھی ہو گا تو اہل فارس میں سے ایک شخص اس میں سے اپنا حصہ حاصل کرلے گا۔ "مسلم" اگر علم ثریا ستارے پر بھی ہو گا تو اہل فارس میں سے ایک شخص اس کو حاصل کر لے گا "طبرانی" اگر دین ثریا ستارہ پر بھی معلق ہو گا تو اہل فارس میں سے کچھ لوگ اس کو حاصل کر لیں گے "طبرانی" ذکر کرنے کے بعد تحریر فرمایا ہے کہ میں کہتا ہوں کہ حضور اکرمصلی اللہ علیہ و سلم نے امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ "شیخ نعمان بن ثابت رحمتہ اللہ " کے بارے میں ان احادیث میں بشارت دی ہے اور یہ احادیث امام صاحب کی بشارت و فضیلت کے بارے میں ایسی صریح ہیں کہ ان پر مکمل اعتماد کیا جاتا ہے۔ شیخ ابن حجر الھیتمی المکی الشافعی رحمتہ اللہ "۹۰۹ھ – ۹۷۳ھ" نے اپنی مشہور و معروف کتاب " الخیرات الحسان فی مناقب امام ابی حنیفہ" میں تحریر کیا ہے کہ شیخ جلال الدین سیوطی رحمتہ اللہ کے بعض تلامذہ نے فرمایا اور جس پر ہمارے مشائخ نے بھی اعتماد کیا ہے کہ ان احادیث کی مراد بلاشبہ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ ہیں اس لئے کہ اہل فارس میں ان کے معاصرین میں سے کوئی بھی علم کے اس درجہ کو نہیں پہنچا جس پر امام صاحب رحمتہ اللہ فائز تھے۔
وضاحت : ان احادیث کی مراد میں اختلاف رائے ہو سکتا ہے مگر عصر قدیم سے عصر تک ہر زمانہ کے محدثین و فقہاء علماء کی ایک جماعت نے تحریر کیا ہے کہ ان احادیث سے مراد حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ ہیں۔ علماء شوافع رحمتہ اللہ نے خاص طور پر اس قول کو مدلل کیا ہے جیسا کہ شافعی مکتبہ فکر کے دو مشہور جید علماء مفسر قرآن کے اقوال ذکر کئے گئے۔
حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کی تابعیت
حافظ ابن حجر عسقلانی رحمتہ اللہ "جو فن حدیث کے امام شمار کئے جاتے ہیں" سے جب امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کے متعلق سوال کیا گیا تو انہوں نے فرمایا کہ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ نے صحابہ کرام کی ایک جماعت کو پایا ، اس لئے کہ وہ ۸۰ہجری میں کوفہ میں پیدا ہوئے اور وہاں صحابہ کرام میں سے حضرت عبداللہ بن اوفیرضی اللہموجود تھے، ان کا انتقال اس کے بعد ہوا ہے۔ بصرہ میں حضرت انس بن مالکرضی اللہ تھے اور ان کا انتقال ۹۰ یا ۹۳ ہجری میں ہواہے۔ ابن سعد رحمتہ اللہ نے اپنی سند سے بیان کیا ہے کہ اس میں کوئی حرج نہیں کہ کہا جائے کہ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ نے حضرت انس بن مالکرضی اللہ کو دیکھا ہے اور وہ طبقہ تابعین میں سے ہیں۔ نیز حضرت انس بن مالکرضی اللہ کے علاوہ بھی اس شہر میں دیگر صحابہ کرام اس وقت حیات تھے۔
شیخ محمد بن یوسف صالحی و مشقی شافعی رحمتہ اللہ نے " عقود الجمان فی مناقب الامام ابی حنیفہ رحمتہ اللہ " کے نویں باب میں ذکر کیا ہے کہ اس میں کوئی اختلاف نہیں ہے کہ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ اس زمانہ میں پیدا ہوئے جس میں صحابہ کرام کی کثرت تھی۔
اکثر محدثین " جن میں امام خطیب بغدادی رحمتہ اللہ ، علامہ نووی رحمتہ اللہ ، علامہ ابن حجر رحمتہ اللہ ، علامہ ذہبی رحمتہ اللہ ، علامہ زین العابدین سخاوی رحمتہ اللہ ، حافظ ابو نعیم اصبہانی رحمتہ اللہ ، امام دار قطنی رحمتہ اللہ ، حافظ ابن البر رحمتہ اللہ اور علامہ ابن الجوزی رحمتہ اللہ کے نام قابل ذکر ہیں" کا یہی فیصلہ ہے کہ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ نے حضرت انس بن مالکرضی اللہ کو دیکھا ہے۔
محدثین و محققین کی تشریح کے مطابق صحابی رسولرضی اللہ سے روایت کرنا ضروری نہیں ہے بلکہ صحابی کا دیکھنا بھی کافی ہے۔ امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ نے تو صحابہ کرام کی ایک جماعت کو دیکھنے کے علاوہ بعض صحابہ کرام خاص کر انس بن مالکرضی اللہ سے احادیث روایت بھی کی ہیں۔
غرضیکہ حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ تابعی ہیں اور آپ کا زمانہ صحابہ ، تابعین تبع تابعین کا زمانہ ہے جس دور کی امانت و دیانت اور تقوی کا ذکر اللہ تعالی نے قرآن کریم " سورہ التوبہ آیت نمبر ۱۰۰" میں فرمایا ہے۔ نیز نبی اکرم کے فرمان کے مطابق یہ بہترین زمانوں میں سے ایک ہے۔ علاوہ ازیں حضور اکرم صلی اللہ علیہ و سلم نے اپنی حیات میں ہی حضرت امام ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کے متعلق بشارت دی تھی ، جیساکہ بیان کیا جا چکا ہے جس سے حضرت امام اعظم ابو حنیفہ رحمتہ اللہ کی تابعیت اور فضیلت روز روشن کی واضح ہو جاتی ہے۔
Subscribe to:
Posts (Atom)