ISTEQBAL E RAMZAN by MUFTI HUZAIFA SAHAB


ISTEQBAL E RAMZAN by MUFTI HUZAIFA SAHAB

IN MASJID E UMAR BHIWANDI.

ON SUNDAY 22/06/2014



==============================


==============================

Shab e Baraat ki Fazilat Ahadees aur Aslaf ke Irshaadaat ki Roshni me

Shab e Baraat ki Fazilat Ahadees aur Aslaf ke Irshaadaat ki Roshni me

15vi Shabaan Jo ke aam Logo me Shab e Baraat ke Naam se Mashoor hai , Uske Fazilat ke Mutalliq Daur e haazir ke Baaz Raushan Khiyaal Hazraat ka Nazariya hai ke Shab e Baraat se Mutalliq Jitni Riwayaat Kutub Ahadees me Milti hai , sabke sab Ya Yoh Mauzu aur Man-ghadak hai ya Shaheed Qism ki Zaeef hai.
Is Ghalat Nazariye ki Binaa par Yeh Log Is raat ki Fazilat ke Sire se Munkir hogaye hai aur is Shab ki Bedaari aur Ibaadat ko Bura Samajhne Lage hai.
Jabke Shab e Baraat ki Fazilat ke Silsile me Sahaba Ikraam Rdh. Ki Ek Jaleel ul Qadr Jamaat se Muqtalif Turq aur Muqtalif Isnaad ke Saat Riwayaat Marwi hai.
Jinme Baaz Riwayaat ko Baaz ke Zariye Taqwiyat Haasil hoti hai , wo Darja e Hasan ko Pahunch jaati hai.Isiliye Umumi Lehaaza se Shab e Baraat ki Fazilat ki Ahadees Bilaa Shuba Saheeh aur Baaz Hasan Darje Tak Pahuchti hai.
Shab e Baraat ke Mutalliq Jo Ahadees Marwi hai , Un Tehqeeq Darj e Zail hai.
Hadees no 1 :  Hazrat Ma’az Bin Jabal Rdh. Nabi E Karim Saw Se Riwayat Karte Hai Ke Aap SAW Ne Farmaaya Allah Tala Sha’abaan Ki 15 Vi Shab Apni Makhlooq Ki Taraf Nazar E Rehmat Farmaakar Tamaam Maqlooq Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ki.
(Mujjam Ul Ausat : Jild 7 : Safa 36 , Hadees No 6776)
(Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 77-78)
Scan Page : Mujjam ul Ausat
1
Scan Page : Majmua az Zawaid
2
1 – Imam Haismi Rh. Farmaate Hai Ke Is Hadees Ko Tabraani Ne Mujjam Ul Kabeer Aur Al Ausat Me Naql Kiya Hai Aur Dono Ke Rijaal Siqa Hai. (Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 78)
Scan Page :
3
2 – Imam Ibn Rajab Rh. Ma’az Bin Jabal Rdh. Ki Riwayat Ko Zikr Karte Huwe Farmaate Hai Ke Ibn Hibban Ne Isko Saheeh Qaraar Diya Hai Aur Yahi Aitemaad Ke Liye Kaafi Hai. (Sharah Mawaahib Ad-Deeniya Liz Zurqaani : Jild 10 : Safa 561)
Scan Page :
4
3 – Muhaqiq Adnan Abdur Rehman Ne Farmaaya Ke Imam Behaiqi Rh. Ne Apni Kitaab Fazail Auqaat Me Is Riwayat Ko Zikr Kiya Hai Aur Uski Sanad Hasan Hai. (Fazail E Awqaat : Safa 118 , Ba-Tehqeeq Adnan Abdur Rehman)
4 – Allama Albaani Sahaab Ne Is Hadees Ko Hasan E Saheeh Qaraar Diya Hai.(Targheeb Wat Tarheeb Ba-Tehqeeq Albaani : Hadees No 2676)
Scan Page :
6
5 – Shaik Bakhtiyaar Ahmed Nadwi Sahaab Likhte Hai Ke  Iske Rijaal Siqa hai.
(Shoeib Ul Imaan Lil Behaiqi : Jild 5 : Safa 360)
Scan Page :
7
6 – Allama Albaani Ne Silsilatul Ahadees Me bhi Is Hadees Ko Saheeh Qaraar Diya Hai.(Silsilatul Ahadees Us Saheehiya : Jild 3 : Safa 135 , Hadees No 1144)
Scan Page :
8
7 – Hazrat Shoeib Arnaaut Sahaab Likhte Hai Ke Yeh Hadees Saheeh Shuwaahid Ke Binaa Par. (Saheeh Ibn Hibban : Jild 12 : Safa 481 , Hadees No 5665)
Scan Page :
9
8 – Shaik Abdul Majeed Salfi Sahaab Likhte hai ke aur Iske Rijaal Siqa hai.
Aur Mazdeed Tehreer Karte hai ke Shaik Albaani ne Is hadees ko Shuwaahid ki Binaa Saheeh Qaraar diya hai. (Musnad  e Shamineen : Jild 1 : Safa 128 -129)
Scan Page :
01_Page128
9 – Shaik Hussain Saleem Asad ud Daraani aur
10 – Shaik Abduhu Ali Al Kushak Sahaab ne Is hadees ko Saheeh Qaraar diya hai.(Mawaariduz Zamaan: Jild 6 : Safa 278 , Hadees no 1980)
Scan Page :
mzzih6_Page278
11 – Shaik Abi Abdullah Muhammed Bin Ahmed Al Hamood ul Bukhari Sahaab Tehreer Karte hai ke Is Sanad ke Rijaal Siqa hai. (Ibtaalut Ta’awilaat Li Akhbaaris Sifaat : Jild 1 : Safa 225)
Scan Page :
إبطال التأويلات لأخبار الصفات_Page255
12 – Shaik Doctor Ali Bin Muhammed Bin Naasir Al Faqihi Farmaate hai ke Shaik Albaani ne Is hadees ko Saheeh Qaraar diya , Iske Rijaal Siqa hai…….Shawaahid ki Binaa par Yeh hadees hai. (Kitaabun Nuzool Lid Darqutni : Safa 158)
Scan Page :
كتاب النزول للدارقطني_Page158
Aiteraaz : Abdul Aleem Ghair Muqallid Likhte Hai Ke Makhool  Jo Ke Kaseer Ul Irsaal Hai Unka Sima’a  Malik Bin Yakhaamir Se Saabit Nahi Hai. (Shab E Baraat Ki Haqiqat : Safa 30)
Yaani Makhool Rh. Mudallis Hai.
Al – Jawaab No 1 :
Zubair Ali Zai Sahaab Likhte Hai Ke Makhool Rh. Ki ‘An’ Riwayaat Ki Muta’adid Ulama Ne Taseeh Wa Tehseen Ki Hai.
1 – Imam Bukhari Rh.
2 – Imam Muslim Rh.
3 – Imam Abu Dawud Rh.
4 – Imam Tirmizi Rh.
5 – Imam Ibn Hibban Rh.
6 – Imam Behaiqi Rh.
7 – Imam Ibn Khuzaima Rh.
8 – Imam Darqutni Rh.
9 – Imam Haakim Rh.
10 – Imam Khitaabi Rh. (Masla Fatiha Khalful Imam : Safa 62-63)
Scan Page :
10

Lehaaza Jab Ghair Muqallideen Ulama Ne Makhool Rh.  Ki AN Waali Riwayat Ko Qubool Kiya Hai Toh Is Aiteraaz Ki Kya Haqiqat Baaqi Rehgayi.
Al – Jawaab No 2 :
Mudallis Raavi Ki Agar Motabiyat Ya Shawaahid  Miljaaye Toh Raavi Par Tadlees Ka Ilzaam Khatam Hojaata Hai.
Alham-Dulillah Is Riwayat Ki Muta’adid Shawaahid Maujood Hai.

وقد روى مصعب بن أبي ذئب ، عن القاسم بن محمد ، عن أبيه ، أو عمه ، عن أبي بكر قال : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : « إذا كان ليلة النصف من شعبان ينزل الله تبارك وتعالى إلى سماء الدنيا فيغفر لعباده إلا ما كان من مشرك أو مشاحن

(Musnad E Bazzaar : Jild 1 : Safa 157, Hadees No 80)
Scan Page :
11

حدثنا أحمد بن منصور ، قال : أخبرنا أبو صالح الحراني يعني عبد الغفار بن داود ، قال : أخبرنا عبد الله بن لهيعة ، عن عبد الرحمن بن زياد بن أنعم ، عن عبادة بن نسي ، عن كثير بن مرة ، عن عوف رضي الله عنه قال : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم : « يطلع الله تبارك وتعالى على خلقه ليلة النصف من شعبان ، فيغفر لهم كلهم إلا لمشرك أو مشاحن

(Musnad E Bazzar : Jild 7 : Safa 186 , Hadees No 2754)
Scan Page :
12

حَدَّثَنَا حَسَنٌ حَدَّثَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ حَدَّثَنَا حُيَيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْحُبُلِيِّ عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍوأَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ يَطَّلِعُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ إِلَى خَلْقِهِ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِعِبَادِهِ إِلَّا لِاثْنَيْنِ مُشَاحِنٍ وَقَاتِلِ نَفْسٍ

(Musnad E Ahmed : Jild 6 : Safa 197-198 , Hadees No 6642)
Scan Page :
13
حَدَّثَنَا رَاشِدُ بْنُ سَعِيدِ بْنِ رَاشِدٍ الرَّمْلِيُّ حَدَّثَنَا الْوَلِيدُ عَنْ ابْنِ لَهِيعَةَ عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ أَيْمَنَ عَنْ الضَّحَّاكِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَرْزَبٍ عَنْ أَبِي مُوسَى الْأَشْعَرِيِّ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِنَّ اللَّهَ لَيَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِجَمِيعِ خَلْقِهِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِن
(Ibn Majah : Hadees No 1390)
Scan Page :
14
حَدَّثَنَا أَبُو بَكْرٍ مُحَمَّدُ بْنُ جَعْفَرٍ الْمَطِيرِيُّ، حَدَّثَنَا يَعْقُوبُ الْفُلُوسِيُّ، حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ غَالِبٍ، حَدَّثَنَا هِشَامُ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْكُوفِيُّ، وَقَدِمَ عَلَيْنَا مُرَابِطًا عَنِ الأَعْمَشِ، عَنْ أَبِي صَالِحٍ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: ” لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ يَغْفِرُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ لِعِبَادِهِ، إِلا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ
( أمالي ابن سمعون الواعظ : Safa 124 , Hadees No 66)
Scan Page :
15
أَخْبَرَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أنا إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُمَرَ الْأَنْبَارِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ الْوَضِينَ بْنَ عَطَاءٍ، يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ اللَّهَ يَطَّلِعُ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ الذُّنُوبَ لِأَهْلِ الْأَرْضِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ وَلَهُ فِي تِلْكَ اللَّيْلَةِ عُتَقَاءُ عَدَدُ شَعَرِ مُسُوكِ غَنَمِ كَلْبٍ» . قَالَ إِسْحَاقُ: فَسَّرَهُ الْأَوْزَاعِيُّ أَنَّ الْمُشَاحِنَ الْمُبْتَدِعَ الَّذِي يُفَارِقُ أُمَّةً
(Musnad E Ishaq Bin Rahawe : Jild 2 : Safa 326-327 , Hadees No 850)
Scan Page :
16
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مِسْكِينٍ، ثنا أَبُو الْأَسْوَدِ، عَنِ ابْنِ لَهِيعَةَ، عَنِ الرَّبِيعِ بْنِ سُلَيْمَانَ، عَنِ الضَّحَّاكِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي مُوسَى، قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «يَنْزِلُ رَبُّنَا تَبَارَكَ وَتَعَالَى إِلَى سَمَاءِ الدُّنْيَا لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَغْفِرُ لِأَهْلِ الْأَرْضِ؛ إِلَّا مُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ» .
(Al Sunnah Li Ibn Abi Aasim : Safa 355 , Hadees No 522)
Scan Page :
17
حَدَّثَنَا الْحَسَنُ، ثَنَا الْجَوْهَرِيُّ، ثَنَا عُبَيْدُ بْنُ أبي فرد، ثَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ، عَنِ الزُّبَيْرِ بْنِ سُلَيْمَانَ، سمعت الضحاك بن عبد الله بن عروب، عَلَى مِنْبَرِ دِمَشْقَ حَدَّثَنِي أَبِي، عَنْ أَبِي مُوسَى الأَشْعَرِيِّ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ((يَنْزِلُ اللَّهُ تَعَالَى لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِكُلِّ مُسْلِمٍ إِلا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ
(Juz Ibn Feel : Jild 1 : Safa 109)  
Scan Page :
18
مُحَمَّدُ بْنُ نَاصِرٍ الْحَافِظُ قَالَ أَنْبَأَنَا أَبُو مَنْصُورٍ مُحَمَّدُ بْنُ الْحُسَيْنِ الْمُقْوِي قَالَ أَنَا أَبُو طَلْحَةَ الْقَاسِمُ بْنُ أَبِي الْمُنْذِرِ عَنْ أَبِي الْحَسَنِ الْقَطَّانِ قَالَ نا مُحَمَّدُ بْنُ يَزِيدَ بْنِ مَاجَهْ قَالَ حَدَّثَنَا رَاشِدُ بْنُ سَعْدٍ الرَّمْلِيُّ قَالَ نا الْوَلِيدُ بْنُ مُسْلِمٍ عَنِ ابْنِ لَهِيعَةَ عَنِ الضَّحَّاكِ بْنِ أَيْمَنَ عَنِ الضَّحَّاكِ بْنِ عبد الرحمن بن عزرب عَنْ أَبِي مُوسَى عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ ” إِنَّ اللَّهَ يَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِجَمِيعِ خَلْقِهِ إِلا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ”
 (Al Elal ul Mutanaahiya Fil Ahadees ul Waahiya : Jild 1 : Safa 561 , Hadees No 922)
Scan Page :
19
Pas Yeh Riwayat Par Aiteraaz Karna Hi Himaaqat Aur Na-Daani Hai.
Hadees No 2 : Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Se Riwayat Hai Ke Anhazrat SAW Ne Farmaaya : “Jab Shabaan Ki 15vi Shab Hoti Hai Toh Allah Tala Aasmaan E Dunya Par Nuzool Farmaate Hai Aur Apne Tamaam Bandho Ko Baksh Dete Hai Lekin Mushrik Aur Apne Bhai Ke Saat Kina Rakhne Waala Nahi Baksha Jaata”.
(Musnad E Bazzaar : Jild 1 : Safa 157, Hadees No 80)
Scan Page :
20
1 – Hafiz Zakiuddin Munziri Rh. Farmaate Hai Ke Is Hadees Ko Bazzaar Aur Behaiqi Ne La Ba-Sa Bihi (Jis Ki Sanad Me Koi Harj Nahi ) Ke Saat Riwayat Kiya Hai.
(Targheeb Wat Tarheeb :Jild 3 : Safa 283)
Scan Page :
21
Waazeh Hai Ke Agar Imam Behaiqi Rh. Aur Imam Bazzaar Rh. Ne Kisi Sanad Par Laa-Ba-Sa Bihi Kaha Hai Toh Yeh Us Riwayat Ki Tauseeq Par Dalaalat Karta Hai.
2 – Imam Haisimi Rh. Farmaate Hai Ke Is Hadees Ko Bazzaar Ne Riwayat Kiya.Isme Abdul Malik Bin Abdul Malik Ek Raavi Hai.
Ibn Abi Haatim Rh. “Jarah Wa Ta’adeel” Me Uska Tazkirah Kiya Lekin Usko Zaeef Qaraar Nahi Diya Aur Baaqi Rijaal Siqa Hai. (Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 77)
Scan Page :
22
Zaahir Hai Ke Ibn Abi Haatim Jis Kisi Raavi Par Sukoot Kare Toh Us Raavi Ki Tauseeq Par Dalaalat Karta Hai.
3 –Imam Bazzar Ne Is Hadees Ki Takhreej Ke Baad Farmaaya Ke Yeh Hazrat Abu Bakr Ke Alaawa Degar Sahaba Rdh. Se Bhi Marwi Hai , Uski Sanad Me Agarche Kuch Kami Hai Magar Abu Bakr Rdh. Ki Jalaalat Wa Azmat Is Hadees Ki Tehseen Karti Hai.(Musnad E Bazzaar : Jild 1 : Safa 207)
Scan Page :
23
4 – Allama Albaani Sahaab ne Is hadees ko Saheeh Qaraar diya hai. (Silsilatul Ahadees Us Saheehiya : Jild 3 : Safa 135 , Hadees No 1144)
Scan Page :
24
5 – Shaik Baasim Bin Faisal Al Jawaabirah Sahaab ne Is hadees Ko saheeh Qaraar Diya hai. (Al Sunnah Li Ibn Abi Aasim : Jild 1 : Safa 354 , Hadees no 521)
Scan Page :
ksiaa_Page354
6 – Shaik Doctor Ali Bin Muhammed Bin Naasir Al Faqihi Farmaate hai ke Shaik Albaani ne Is Hadees ko Saheeh Qaraar Diya hai. (Kitaabun Nuzool Lid Darqutni : Safa 157)
Scan Page :
كتاب النزول للدارقطني_Page157
7 – Shaik Al Waleed Bin Muhammed Nabiyaa An Nasr Sahaab ne Is hadees ko Saheeh Lighairihi Qaraar Diya hai. (Ebaanatul Kubra Li Ibn Batta Rh. : Jild 3 : Safa 222)
Scan Page :
07_110507_Page224
8 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Ne Is Hadees ko Hasan Qaraar Diya hai. (Al Amaaliyul Mutalaqa Li Ibn Hajar : Safa 122)
Scan Page :
الأمالي المطلقة_Page121png_Page122
Aiteraaz No 1 : Imam Ibn A’adi Rh. Kehte Hai Ke Yeh Hadees Is Sanad Se Munkir Hai.
Al – Jawaab : Ibn A’adi Rh. Ka Is Hadees Ke Mutalliq منكر بهذا الإسنادKehne Se Uska Zaeef Hona Laazim Nahi Hota Kyunke Mutaqaddimeen Hazraat Ke Nazdeek Tafarrud (Akele) Raavi Ki Wajeh Se Lafz E Munkir Ka Itlaaq Hadees E Hasan Aur Saheeh Par Bhi Hota Hai.
Aur Ibn A’adi Rh. Ka Shumaar Mutaqaddimeen Me Se Hai.
Is Aitebaar Se Aap Rh. Ne Mahez Tafarrud Raavi Hone Ki Binaa Par Mazkoor Hadees Ki Sanad Par Lafz E Munkir Ka Itlaaq Kiya Hai.
Jaisa Ke Ar Rafa’a Wal Takmeel Fii Jarah Wa Ta’adeel Me Hai.
Kaamil Aur Mizaan Ki Riwayat Ke Haq Me Munkir Ka Lafz Maujood Hone Ki Surat Me Unke Raavi Par Zaeef Ka Hokum Lagaane Me Jaldi Aur Sabqat Na Karo Kyunke Yeh Dono (Kaamil Aur Mizaan) Is Lafz E Munkir Ko Mahez Raavi Ke Tafarrud Ki Wajeh Se Hasn Aur Saheeh Hadees Par Itlaaq Karte Hai.
Aur Mutaqaddimeen Aur Mutaakhireen Ke Qaul “Yeh Hadees Munkir Hai “ Ke Darmiyaan Farq Karna Chahiye.
Kyunke Mutaqaddimeen Aksar Raavi Ke Tafarrud Par Hadees E Munkir Ka Lafz Itlaaq Karte Hai Agar Che Wo Hadees Siqa Raavi Se Marwi Ho Aur Mutaakhireen Lafz E Munkir Ka Itlaaq Aise Zaeef Raavi Ki Riwayat Par Karte Hai Jo Siqa Raavi Ki Riwayat Ke Muqaalif Hota Hai.
(Ar Rafa’a Wal Takmeel Fii Jarah Wa Ta’adeel : Safa 98)
Scan Page :
25
Aiteraaz No 2 : Imam Bukhari Rh. Ne Kaha Hai Ke فيه نظر(Yeh Hadees Qaabil e Qaur hai)
Al Jawaab : Imam Bukhari Rh. Ka فيه نظر  Kehne Se Sehat E Hadees Par Koi Farq Nahi Padhta Kyunke Is Hadees Degar Shuwaaid Maujood Hai.
Hadees No 3 : Hazrat Abdullah Bin Amr Rdh. Se Riwayat Hai Ke Rasool E Akram SAW Ne Farmaaya Ke Allah Jalle Shaanahu 15vi Shabaan Ki Raat Ko Apni Maqlooq Ki Taraf Mutawajje Hota Hai Kina Rakhne Waale Aur Na-Haq Qatal Karne Waale Ke Alaawa Apne Tamaam Bando Ki Bakshish Farmaate Hai.
(Targheeb  Wat Tarheeb : Jild 4 : Safa 239)
(Musnad E Ahmed : Jild 6 : Safa 197-198 , Hadees No 6642)
(Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 78 , Hadees No 12961)
Scan Page : Musnad e Ahmed
26
1 – Imam Munziri Rh. Ne Is Riwayat Ko Targheeb Wa Tarheeb Me Zikr Kiya Aur Farmaaya Ke Imam Ahmed Ne Isko Isnaad E Leen Ke Saat Riwayat Kiya. (Targheeb  Wat Tarheeb : Jild 4 : Safa 239)
Scan Page :
27
2 – Imam Haismi Rh. Farmaate Hai Ke Is Hadees Ko Imam Ahmed Ne Riwayat Kiya Aur Isme Ek Raavi Ibn Lahiya Hai Jo Leen Ul Hadees Hai Aur Baaqi Raavi Ko Muhaddiseen Ne Siqa Qaraar Diya Hai. (Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 78 , Hadees No 12961)
Scan Page :
29
Imam Haismi Ke Qaul Se Maloom Huwa Ke Mazkoor Riwayat Ki Sanad Me Ibn Lahiya Ke Alaawa Baaqi Raavi Siqa Hai.
3 – Alama Ahmed Shaakir Ghair Muqallid Ne Is Riwayat Ki Sanad Ko Saheeh Qaraar Diya Hai. (Musnad E Ahmed , Ba-Tehqeeq Ahmed Shakir : Jild 6 : Safa 197 , Hadees No 6642)
Scan Page :
30
4 – Shaikh Shoeib Arnaaut Sahaab Likhte Hai Ke Yeh Riwayat Shuwaahid Ki Binaa Par Saheeh Hai. (Musnad E Ahmed : Jild 11 : Safa 216 , Hadees No 6642)
Scan Page :
31
5 – Shaik Nuaim Al Urqasusi
6 – Shaik Ibrahim Az Zaibaq ne bhi Is Hadees ko Shuwaahid ki Binaa Saheeh Kaha hai.
(Musnad E Ahmed : Jild 11 : Safa 216 , Hadees No 6642)
Scan Page :
26
Note : Is Riwayat me Kalaam Abdullah Bin Lahiya ki Wajeh se hai.
Lekin Ibn Lahiya Rh. Ki Mutaabiyat Rashdeed Bin Sa’ad Rh. Ne Ki Hai Jo Ke
7 – Shaik Albaani Rh. Ne Naql Kiya Hai , Farmaate hai ke
Aur Rasheed Bin Sa’ad Bin Hai ne us riwayat ki mutaabiyat ki hai.
Ibn Haiwa Apni hadees me iski takhreej ki hai Lehaaza yeh hadees hasan hai. (Silsilatul Ahadees ul Saheehiya : Jild 3 : Safa 136)
Scan Page :
32
Lehaaza Ibn Lahiya Ki Yeh Riwayat Qaabil E Qubool Hai Aur Isko Mazeed Quwat Bhi Shuwaaid Se Pahuchti Hai.
Hadees No 4 : Hazrat Ayesha Rdh. Farmaati Hai Ke …………………Aap SAW Ne Farmaaya Allah Tala 15vi Shaaban Ki Raat Me Aasmaan E Dunya (Pehle Aasmaan) Par Nuzool Farmaata Hai Aur Qabila E Banukalb (Ki Bakriyo) Ke Raiward Ke Baalo Se Bhi Zyaada Ta’adaad Me Gunahgaaro Ko Bakshta Hai.
(Tirmizi : Hadees No 739)
Scan Page :
mhks
1 – Shaik Doctor Abdul Ghafoor Abdul Haq Hussain Farmaate hai ke Is Hadees ke Rijaal Siqa hai. (Musnad e Ishaq Bin Rahaawe : Jild 2 : Safa 326 , Hadees no 850)
Scan Page :
16
2 – Shaik Hamza Ahmed Zain Sahaab ne Is Hadees no Hasan Qaraar Diya hai. (Musnad e Ahmed : Hadees no 25896)
Scan Page :
musnda18_Page114
Aiteraaz No 1 : Yahiya Bin Abi Kaseer Ka Sima’a Arwa Saabit Nahi Hai.
Yaani Yahiya Bin Abi Kaseer Mudallis Hai.
Iske Mutalliq Arz Hai Ke Yahiya Bin Abi Kaseer Ka Sima’a Arwa Se Na Hona Musallam Nahi.
Kyunke Ibn Maeen Rh. Wagaira Ne Arwa Se Yahiya Ki Sima’at Saabit Ki Hai.Chunaanche Allama Zurqaani Rh. Farmaate Hai :
Aur Hajjaaj ne nahi suna Yahiya se aur musallam hai , barhaal Yahiya ka urwa se sunna iski bhi nafi karte hai abu zura’a aur abu haatinm rh. aur ibn maeen rh. uska isbaat (Sunne ko saabit ) karte hai.
Aur isbaat nafi par muqaddam hai.(Sharah Mawaahib Lad-dunya : Jild 10 : Safa 561)
Scan Page :
33
Aiteraaz No 2 : Hajjaaj Bin Artaa Ka Yahiya Bin Abi Kaseer Se Sima’a Saabit Nahi Hai.(yaani Hajjaj Bin Artaa Rh. Mudallis hai)
Al – Jawaab :
Ahnaaf Ke Yaha Is Qism Ka Inqata Hadees Ki Asliyat Ke Suboot Ke Liye Muzr Nahi Jabke Iske Raavi Bhi Siqa Hai.Aur Iski Taa-Id Bhi Degar Riwayato Se Horahi Hai.
Yahi Wajeh Hai Ke Ibn Hibban Ne Apni Saheeh Me Hazrat Ayesha Rdh. Ki Is Riwayat Ko Hasan Qaraar Diya. Jaisa ke Sharah Mawaahib : Jild 10 : Safa 559 par hai.
Scan Page :
34
Yahi Riwayat Jo Ke Hazrat Ayesha Rdh. Se Marwi hai Dusri Sanad se aayi hai Jo ke Yeh hai.
حَدَّثَنَا بَكْرُ بْنُ سَهْلٍ، ثنا عَمْرُو بْنُ هَاشِمٍ الْبَيْرُوتِيُّ، ثنا سُلَيْمَانُ بْنُ أَبِي كَرِيمَةَ، عَنْ هِشَامِ بْنِ عُرْوَةَ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا قَالَتْ: كَانَتْ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ لَيْلَتِي، فَبَاتَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عِنْدِي فَلَمَّا كَانَ فِي جَوْفِ اللَّيْلِ فَقَدْتَهُ فَأَخَذَنِي مَا يَأْخُذُ النِّسَاءَ مِنَ الْغَيْرَةِ فَتَلَفَّعْتُ بِمِرْطِي، أَمَا وَاللَّهِ مَا كَانَ مِرْطِي خَزًّا وَلَا قَزًّا وَلَا حَرِيرًا وَلَا دِيبَاجًا وَلَا قُطْنًا وَلَا كَتَّانًا، قِيلَ: وَمِمَّ كَانَ يَا أُمَّ الْمُؤْمِنِينَ؟ قَالَتْ: كَانَ سَلَاوهُ شَعَرًا وَلُحْمَتُهُ مِنْ أَوْبَارِ الْإِبِلِ، قَالَتْ: فَطَلَبْتُهُ فِي حُجَرِ نِسَائِهِ فَلَمْ أَجِدْهُ، فَانْصَرَفْتُ إِلَى حُجْرَتِي فَإِذَا بِهِ كَالثَّوْبِ السَّاقِطِ عَلَى وَجْهِ الْأَرْضِ سَاجِدًا وَهُوَ يَقُولُ فِي سُجُودِهِ: «سَجَدَ لَكَ سَوَادِي وَخَيَالِي وَآمَنَ بِكَ فُؤَادِي، هَذِهِ يَدِي وَمَا جَنَيْتُ بِهَا عَلَى نَفْسِي، يَا عَظِيمُ يُرْجَى لِكُلِّ عَظِيمٍ، اغْفِرِ الذَّنْبَ الْعَظِيمَ، سَجَدَ وَجْهِي لِلَّذِي خَلَقَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ» ثُمَّ رَفَعَ رَأْسَهُ فَعَادَ سَاجِدًا فَقَالَ: ” أَعُوذُ بِرِضَاكَ مِنْ سَخَطِكَ، وَأَعُوذُ بِمُعَافَاتِكَ مِنْ عُقُوبَتِكَ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْكَ، أَنْتَ كَمَا أَثْنَيْتَ عَلَى نَفْسِكَ، أَقُولُ كَمَا قَالَ أَخِي دَاوُدُ عَلَيْهِ السَّلَامُ: أُعَفِّرُ وَجْهِي فِي التُّرَابِ لِسَيِّدِي، فَحَقٌّ لَهُ إِنْ سَجَدَ ” ثُمَّ رَفَعَ رَأْسَهُ فَقَالَ: «اللَّهُمَّ ارْزُقْنِي قَلْبًا مِنَ الشَّرِّ نَقِيًّا لَا كَافِرًا وَلَا شَقِيًّا» قَالَتْ: ثُمَّ انْصَرَفَ فَدَخَلَ مَعِي فِي الْخَمِيلَةِ وَلِي نَفَسٌ عَالٍ فَقَالَ: «مَا هَذَا النَّفَسُ يَا حُمَيْرَاءُ؟» فَأَخْبَرْتُهُ فَطَفِقَ يَمْسَحُ بِيَدِهِ عَنْ رُكْبَتِي وَيَقُولُ: «وَبِئْسَ هَاتَيْنِ الرُّكْبَتَيْنِ مَاذَا لَقِيَتَا فِي هَذِهِ اللَّيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، يَنْزِلُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا فَيَغْفِرُ لِعِبَادِهِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ» سَمِعْتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ أَحْمَدَ بْنِ حَنْبَلٍ يَقُولُ: سَمِعْتُ أَبِي يَقُولُ فِي مَعْنَى حَدِيثِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَطَّلِعُ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ عَلَى عِبَادِهِ فَيَغْفِرُ لِأَهْلِ الْأَرْضِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ» قَالَ: الْمُشَاحِنُ: هُمْ أَهْلُ الْبِدَعِ الَّذِينَ يُشَاحِنُونَ أَهْلَ الْإِسْلَامِ وَيُعَادُونَهُمْ
Imam Tabraani Rh. –> Bakr Bin Sahal Rh. –> Amr Ibn Haashim Al Beiruti –> Sulaimaan Ibn Abi Kareema Rh. –> Hishaam Ibn Urwa  Rh. –> Hazrat Urwa Rh. –> Hazrat Ayesha Rdh. –> Nabi e Karim SAW.
(Dua ut Tabraani : Safa 1071 , Hadees no 606)
Scan Page :
duaa_Page1072
Is hadees ko Imam Ibn Hajar Rh. Sulaimaan Ibn Abi Kareeema ki Wajeh se Hadees e Ghareeb Kaha hai aur Iske Rijaal ko Siqa Qaraar diya hai. (Al Amaali ul Mutlaqa : Safa 121)
Scan Page :
الأمالي المطلقة_Page121
Jabke Tirmizi Waali  Riwayat ki Sanad Yu hai
Imam Tirmizi Rh. –> Ahmed Bin Mani Rh. –> Yazeed Bin Haroon Rh. –> Hajjaaj Bin Arta Rh. –> Yahiya Bin abi Kaseer Rh. –> Urwa Rh. –> Hazrat Ayesha Rdh. –> Nabi e Karim SAW.
Scan Page :
mhks
Ghaur Farmaaye ! Hajjaaj Bin Arta aur Yahiya Bin Abi Kaseer Rhm. Ki Mutaabiyat Sulaimaan Ibn Abi Kareema aur Hishaam Ibn Urwa Kar Rahe hai.
Lehaaza Unpar Tadlees ka Ilzaam Khatam Hochuka hai aur Yeh Riwayat bhi Qaabil e Qubool hai aur Isko Mazeed Quwat Dusre Shuwaahid se Pahuch Rahi hai.
Hadees No 5 : Hazrat Abu Musa Ashari Rdh. Se Riwayat Hai Ke Anhazrat SAW Ne Farmaaya Beshak Allah Tala 15vi Shabaan  Ko (Maqlooq Ki Taraf) Mutawajje Hota Hai Mushrik Aur Kina Rakhne Waale Ke Alaawa Tamaam Maqluqaat Ki Maghfirat Farmaa Deta Hai.
(Ibn Majah : Hadees No 1390)
Scan Page :
35
1 – Shaik Shoaib Al Arnaaut
2 – Shaik Aadil Murshid
3 – Shaik Saeed ul Lahaam ne Is Hadees ko Shuwaahid ki Binaa Hasan Qaraar Diya hai.(Sunan Ibn Majah : Hadees no 1390 , Jild 2 : Safa 400)
Scan Page :
02_98842_Page400
4 – Shaik Doctor Musa Ismail Baseet Sahaab ne Is Hadees ko Hasan Qaraar Diya hai.(Juz e Feel : Safa 109 , Hadees no 83)
Scan Page :
18
5 – Shaik Doctor Ali Bin Muhammed Bin Naasir Al Faqeehi Farmaate hai ke Shaik Albaani ne Is Hadees ko Saheeh qaraar Diya hai. (Kitaab un Nuzool Lid Daruqtni : Safa 173)
Scan Page :
كتاب النزول للدارقطني_Page173
6 – Shaik Al Waleed Bin Muhammed Nabiyaa An Nasr Sahaab ne Is hadees ko Saheeh Lighairihi Qaraar Diya hai. (Ebaanatul Kubra Li Ibn Batta Rh. : Jild 3 : Safa 224)
Scan Page :
07_110507_Page224
Iski Sanad Me Ibn Lahiya Rh. Hai. Chunke Shuwaahid Maujood Hai Yeh Hadees Saheeh Hai Aur
Shuwaahid ki Wajeh se Albaani Sahaab Rh. Ne bhi is hadees ko Hasan Qaraar Diya hai.(Ibn Majah , Ba-Tehqeeq Albaani : Hadees No 1390)
Scan Page :
36

Hadees No 6 : Hazrat Aauf Bin Maalik Rdh. Se Riwayat Hai Ke Rasool E Akram SAW Ne Farmaaya Allah Tala 15vi Shabaan Ki Shab Me Apni Maqlooq  Ki Taraf Mutawajje Farmaate Hai Pas Sab Ki Maghfirat Farmaadete Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina parke.
(Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 77 , Hadees No 12959)
Scan Page :
37

Iski Sanad Me Bhi Ibn Lahiya Rh. Maujood Hai.
Aur Abdur Rehman Bin Ziyaad Bin An’am Ek Raavi Maujood Hai Jinko Ahmed Bin Saaleh Ne Siqa Qaraar Diya Hai.
Abdullah Bin Mubarak Rh. Aur Sufiyan Suri Rh. Ne Unse Riwayat Ki Hai.
Aur Yahiya Bin Saeed Rh. Aur Imam Bukhari Rh. Jaise Hazraat Ne Unki Tauseeq Ki Hai.
Aur Ahmed Bin Saaleh Rh. Ne Unpar Tanqeed Ki Hai Aur Unke Qaul Ko Ghair Maqbool Qaraar Diya Hai Jinhone Abdur Rehman Bin Ziyaad Par Jarah Ki Hai. (Tehzeeb : Jild 2 : Safa 505-507)
Scan Page :
tt2_Page507
Lehaaza Yeh Riwayat bhi Shuwaahid ki Binaa Par Maqbool hai.
Hadees No 7 : Hazrat Abi Sa’alaba Rdh. Riwayat Karte Hai Ke Aap SAW Ne Farmaaya Allah Tala 15vi Shabaan Ki Shab Ko Apne Bando Ki Taraf Mutawajje Hote Hai
Pas Momino Ki Maghfirat Farmaa Dete Hai Aur Kaafiro Ko Mohlat Dete Hai Aur Kina Rakhne Waalo Ko Unke Kina Ki Wajeh Se (Maghfirat Kiye Beghair) Chor Dete Hai.
(Al Sunnah Li Ibn Abi Aasim : Jild 1 : Safa 224)
(Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 78 , Hadees No 12962)
Scan Page : Majmua az Zawaid
39
1 – Shaik Baasim Bin Faisal Jawaabarah Ne Is hadees ko Saheeh Qaraar Diya hai. (As Sunnah Li Ibn Abi Aasim : Jild 1 : Safa 356 , Hadees no 523)
Scan Page :
ksiaa_Page356
2 – Shaik Hamdi Abdul Majeed Salfi Sahaab Likhte hai ke Shaik Albani ne Is hadees Saheeh Qaraar diya hai. (Mu-jjam ul Kabeer Ba-Tehqeeq Shaik Abdul Majeed : Jild 22 : Safa 223 , Hadees no 590)
Scan Page :
mtk22_Page223
3 – Shaik Doctor Ali Bin Muhammed Bin Naasir Al Faqihi Farmaate hai ke Shaik Albaani ne Is Hadees ko Saheeh Qaraar Diya hai. (Kitaabun Nuzool Lid Darqutni : Safa 160)
Scan Page :
كتاب النزول للدارقطني_Page160
Is Riwayat Me Ek Raavi Ahwaas Bin Hakeem Rh. Maujood Hai Aur Wo Zaeef Hai.
Lekin Degar Shuwaaid Maujood Hai.
Pas Yeh Hadees Qaabil E Qubool Hai.
Hadees No 8 : Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Riwayat Hai Ke Rasool E Akram SAW Ne Farmaaya Jab Shabaan Ki 15vi Shab Hoti Hai Toh Allah Tala Siwaaye Mushrik Aur Kina Parwar Ke Apne Tamaam Bando Ki Maghfirat Farmaadete Hai.
(Majmua Az Zawaid : Jild 8 : Safa 77 , Hadees No 12985)
Scan Page :
40

Imam Haismi Rh. Farmaate Hai Ke Bazzaar Ne Apni Musnad Me Is Riwayat Ko Naql Kiya Hai.Isme Ek Hishaam Bin Abdur Rehman Hai Mai Usko Nahi Jaanta Aur Baaqi Raavi Siqa Hai.
Shuwaaid Ki Binaa Par Yeh Hadees Qaabil E Qubool Hai.
Hadees No 9 :
Hazrat Kaseer Bin Marrah Rh. Se Riwayat Hai Ke Aap SAW Ne Farmaaya Beshak Allah Tala 15vi Shabaan Ki Raat Mutawajje Hote Hai.Is Raat Me Wo Gunaaho Ko Ma’af Farmaate Hai Siwaaye Mushrik Aur Kina Warke. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 10  :Safa 190 , Hadees No 30357)
Scan Page :
musnfsh10_Page190
Yeh Riwayat Mursal Hai.
Mursal Riwayat Imam E Azam Abu Hanifa Rh. , Imam Malik Rh. Aur Imam Ahmed Rh. Ke Nazdeek Hujjat Hai Aur In Hazraat Ne Isko Qubool Kiya Hai.Chunaanche Imam Nawawi Rh. Farmaate hai ke
Imam Abu Hanifa Rh. , Imam Malik Rh. Aur Imam Ahmed Rh. Ne (Mashoor Riwayat Ke Mutaabiq) Isko Qubool Kiya Hai. (Taqreeb Lin Nawawi : Jild 1 : Safa 198)…..Jaisa ke Humne Tafseel Bayaan ki hai ke Mursal Riwayat Jamhoor ke Nazdeek Hujjat hai.
Aur Is Riwayat ko Mazeed Quwat Degar Riwayato se Pahunchti hai Lehaaza Iske Qubool Karne me Koi Harj nahi hai.
Hadees No 10 :
Hazrat Usmaan Bin Abi A’aas Rdh. Nabi E Karim SAW Se Riwayat Karte Hai Ke Aap Ne Farmaaya Jab Shabaan Ki 15vi Shabaan Hoti Hai Toh (Allah Ki Taraf Se) Ek Pukaarne Waala Pukaarta Hai Ke Hai Koi Maghfirat Ka Talabgaar Ke Mai Uski Maghfirat Kardo.
Kya Koi Mangne Waala Ke Mai Usko Aata Kardo , Us Waqt Jo Koi Khuda Se Jo Kuch Mangta Hai Usko Milta Hai Siwaaye Badkaar Aurat Aur Mushrik Ke.
(Shoaib Ul Imaan : Jild 5 : Safa 362)
(Shoaib Ul Imaan Mutarjim : Jild 3 : Safa 306 , Hadees No 3836)
Scan Page : Shoaib Ul Imaan
42
Scan Page : Shoaib Ul Imaan Mutarjim
43
Iski Sanad Me Jaame ibn Saheeh Ar Ramali Ke Alaawa Baaqi Tamaam Raavi Siqa Aur Motabar Hai.Iski Sanad Me Sirf Ek Raavi Hai Jo Ke Zaeef Hai.
Magar Chunke Degar Shuwaaid Ke Zariye Taa-id Haasil Hoti Hai Isliye Ek Zaeef Raavi Hone Se Asal Hadees Ke Suboot Par Kuch Asal Nahi Pardta Balke Ta’dud e Turq se hadees Hasan Darje tak pahuchjaati hai.
Hadees No 11 :
Hazrat Ali Rdh. Se Riwayat Hai Ke Rasool E Akram SAW Ne Farmaaya Ke Jab Shabaan Ki 15vi Shab Ho Toh Raat Ko Qaiyaam Kare Aur Agle Din Ka Roza Rakho Isliye Ke Isme Allah Tala Suraj Ghuroob Hone Ke Baad Aasmaan E Dunya Ki Taraf Nuzool Farmaate Hai (Yaani Apni Rehmat A’ama Ke Saat Mutawajje Hote Hai) Aur Farmaate Hai Ke Hai Koi Maafi Mangne Waala Jisko Mai Maaf Karu ? Hai Koi Rizq Mangne Waala Jisko Mai Rizq Aata Karu.
Hai Koi Musibat Zada Jise Mai Musibat Se Najaat Du.Kya Koi Fala Fala Cheez Mangne Waala Hai ?
Isi Tarah Tulu Fajar Tak Farmaate Rehte Hai. (Ibn Majah : Hadees no 1388)
Scan Page :
44
Is Hadees Ke Tamaam Raavi Siqa Hai Magar Ibn Abi Sabrah Ke .Unko Muhaddiseen Ne Zaeef Qaraar Diya Hai.
Magar Shuwaahid Ki Binaa Par Yeh Hadees Bhi Qaabil E Qubool Hai.
Hadees no 12 :

ثنا عَلِيُّ بْنُ عَمْرِو بْنِ سَهْلٍ الْحَرِيرِيُّ، ثنا أَحْمَدُ بْنُ عُمَيْرٍ، ثنا سَعِيدُ بْنُ عُثْمَانَ التَّنُوخِيُّ الْحِمْصِيُّ، وَعَلِيُّ بْنُ مَعْرُوفٍ الْقَصَّارُ، قَالَا: ثنا عَبْدُ الْعَزِيزِ بْنُ مُوسَى، عَنْ سَيْفِ بْنِ مُحَمَّدٍ الثَّوْرِيِّ، عَنِ الْأَحْوَصِ بْنِ حَكِيمٍ، عَنْ أَبِي أُمَامَةَ الْبَاهِلِيِّ، قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «يَهْبِطُ اللَّهُ عَزَّ وَجَلَّ إِلَى سَمَاءِ الدُّنْيَا إِلَى عِبَادِهِ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَطَّلِعُ إِلَيْهِمْ، فَيَغْفِرُ لِكُلِّ مُؤْمِنٍ وَمُؤْمِنَةٍ، وَكُلِّ مُسْلِمٍ وَمُسْلِمَةٍ، إِلَّا كَافِرًا أَوْ كَافِرَةً، أَوْ مُشْرِكًا أَوْ مُشْرِكَةً، أَوْ رَجُلًا بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ مُشَاحَنَةٌ، وَيَدَعُ أَهْلَ الْحِقْدِ لِحِقْدِهِمْ»

Hazrat Abu Umaama Baaheli Rdh. Farmaate hai ke Maine Nabi e Aqdas SAW ko Farmaate huwe Suna ke Allah Tala Aasmaan e Dunya ki Taraf aur Apne Bando ki Taraf Utarta hai 15vi Shabaan ki Raat me , Phir Unki Taraf Nazr e Rehmat Karta hai , Har Momin Bande wa Bandiyo ki Maghfirat karta hai aur Musalmaan Bande wa Bandiyo ki (Bhi) Maghfirat karta hai Siwaaye Kafir Mard aur aurat Ya Mushrik Mard aur Aurat ya Aisa Aadmi ke Uske aur Uske Bhai Darmiyaan Kinaa Ho aur Ahle Hasad ko Unke Hasad ki Wajeh se Chore Rakhta hai.
(Al Majaalisul ashra Al Amaali Lil Hasan ul Khilaal Makhtotaa : Safa 3)
Scan Page :
المجالس_العشرة_الأمالي_للحسن_الخلال_خ_Page3
Hadees no 13 :

أَخْبَرَنَا الْقَاضِي أَبُو الْقَاسِمِ الْحَسَنُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْأَنْبَارِيُّ أَخْبَرَنَا أَبُو عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدُ بْنُ أَحْمَدَ بْنُ الْبَلْخِيِّ حَدَّثَنَا أَبُو مُحَمَّدُ نَافِعُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْخُزَاعِيُّ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهِيبٍ حَدَّثَنَا مُورِعُ بْنُ جُبَيْرٍ حَدَّثَنَا الْمُعَافَى ابْن مُطَهَّرٍ عَنْ حُصَيْنٍ عَنْ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ عَنْ عَلِيِّ بْنِ أَبِي طَالِبٍ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ (مَنْ أَحْيَا أَرْبَعَ لَيَالٍ أَحْيَاهُ اللَّهُ مَا شَاءَ لَيْلَتَيِ الْعِيدَيْنِ وَلَيْلَةِ عَاشُورَاءَ وَلَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ أَحْيَاهُ اللَّهُ مَا شَاءَ)

Hazrat Ali Rdh. Se Riwayat hai ke Nabi SAW ne Irshaad Farmaaya ke Jo Shaks 4 Raato me Ibaadat Karega Allah Tala Usko (Behtar) Zindagi Aata Karega Jaise Allah chaahe , (Wo Raatein ) Eidain ki 2 Raat , Aashura (10 Muharram )  ki Raat aur 15vi Shabaan ki raat.
(Mashikhatu Ibn Taahir Ibn Abi Safar : Safa 127)
Scan Page :
مشيخة أبي طاهر ابن أبي الصقر_Page128
Hadees no 14 :

نا عَلِيٌّ، نا يَحْيَى بْنُ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ بُكَيْرٍ، حَدَّثَنِي الْمُفَضَّلُ بْنُ فَضَالَةَ، عَنْ عِيسَى بْنِ إِبْرَاهِيمَ، عَنْ سَلَمَةَ بْنِ سُلَيْمَانَ الْجَزَرِيِّ، عَنْ مَرْوَانَ بْنِ سَالِمٍ، عَنِ ابْنِ كُرْدُوسٍ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ أَحْيَا لَيْلَةَ الْعِيدِ، وَلَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ لَمْ يَمُتْ قَلْبُهُ يَوْمَ تَمُوتُ الْقُلُوبُ

Hazrat Ibn Kurdoos Apne Waalid se Riwayat Karte hai ke Nabi e karim SAW ne Irshaad Farmaaya ke Jo Shaks Eid aur 15vi Shabaan ki raat ko Jaage Toh uska Dil Us Din Nahi Marega Jis Din Sabke Dil Marjaate hai. [Mujjam ibn Arabi : Hadees no 2252 , Safa 1047]
Scan Page :
Kitaab ul Mujjam_Page1047
Hadees no 15 :

أَخْبَرَنَا عَبْدُ الرَّزَّاقِ، أنا إِبْرَاهِيمُ بْنُ عُمَرَ الْأَنْبَارِيُّ، أَنَّهُ سَمِعَ الْوَضِينَ بْنَ عَطَاءٍ، يَقُولُ: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ اللَّهَ يَطَّلِعُ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ الذُّنُوبَ لِأَهْلِ الْأَرْضِ إِلَّا لِمُشْرِكٍ أَوْ مُشَاحِنٍ وَلَهُ فِي تِلْكَ اللَّيْلَةِ عُتَقَاءُ عَدَدُ شَعَرِ مُسُوكِ غَنَمِ كَلْبٍ» . قَالَ إِسْحَاقُ: فَسَّرَهُ الْأَوْزَاعِيُّ أَنَّ الْمُشَاحِنَ الْمُبْتَدِعَ الَّذِي يُفَارِقُ أُمَّةً

Wazeen Ibn Aata Rh. Mursal Bayaan karte hai ke Rasoolullah SAW ne Farmaaya ke Yaqinan Allah Tala 15vi Shabaan ki Raat Nazr e Rehmat farmaata hai , Phir Zameen Waalo ke Gunaaho ko Bakshta hai Siwaaye Mushrik aur Kinaa Parwar ke.
(Musnad e Ishaq Bin Rahaawe : Jild 3 : Safa 981 , Hadees no 1702)
Scan Page :
02-03_Page985
Hadees no 16 :

فَحَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ زِيَادٍ قَالَ: أنا الْحَسَنُ بْنُ عَلِيِّ بْنِ شَبِيبٍ، قَالَ: سَمِعْتُ عَمْرَو بْنَ عُثْمَانَ، قَالَ: أنا بَقِيَّةُ، قَالَ: عُتْبَةُ بْنُ أَبِي حَكِيمٍ، قَالَ: حَدَّثَنِي مَكْحُولٌ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِنَّ اللَّهَ عَزَّ وَجَلَّ يَطْلُعُ فِي كُلِّ لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، فَيَغْفِرُ لِكُلِّ عَبْدٍ لَهُ إِلَّا مُشْرِكًا وَمُشَاحِنًا»

Hazrat Makhool Rh. (Mursal) Riwayat karte hai ke Nabi e karim SAW ne Irshaad Farmaaya ke Yaqinan Allah Tala 15vi Shabaan ki Raat Nazr e Rehmat farmaata hai , Phir Har Bande ke Gunaaho ko Bakshta hai Siwaaye Mushrik aur Kinaa Parwar ke. (Kitaabun Nuzool Lid Darqutni : Jild 1 : Safa 168 : Hadees no 87)
Scan Page :
كتاب النزول للدارقطني_Page168
Algarz In Tamaam Ahadees ka Khulaasa yeh hai ke
Shab e Baraat ki Fazail ki riwayat me Darj e Zail Sahaba Rdh. Se Marwi hai :
1 – Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh.
2 – Hazrat Ali Al Murtuza Rdh.
3 – Hazrat Abdullah Bin Amr Rdh.
4 – Hazrat Ma’az Bin Jabal Rdh.
5 – Hazrat Abu hurairah Rdh.
6 – Hazrat Aauf Bin Malik Rdh.
7 – Hazrat Abi Sa’alaba Rdh.
8 – Hazrat Usmaan Bin Aa’as Rdh.
9 – Hazrat Abu Musa Ashari Rdh.
10 – Hazrat Ayesha Rdh.
11 – Hazrat Abu Umaama Baheli Rdh.
12 – Hazrat Kurdoos Rdh.
13 – Hazrat Kaseer Bin Murrah Rh. (Mursal)
14 – Hazrat Aata Bin Wazeen Rh. (Mursal)
15 – Hazrat Makhool shaami Rh. (Mursal)
Aur Humne Tafseel se Bayaan kiya hai ke
Jab Hadees Zaeef Hoti Magar Muqtalif Sanado se Marwi hoti hai toh Wo Hasan Lighairihi ke Darje ko Pahuch jaati hai.
Hasan Lighairihi se aitejaaj Yaani Istedlaal karna durust hai Jabke Uske Khilaaf Koi saheeh hadees na Ho.

Sahaba Rdh. Wa Tabien Rhm. wa Tabe-Taaba-in Rhm. Aur Ulama e Ummat Ke Aqwal :


1 – Ibn Omer Rdh. Se Riwayat Hai Ke Aap Ne Farmaaya 5 Raatein Aisi Hai Jinme Dua Radd Nahi Hoti Aur Wo Juma’a Ki Raat , Rajab Ki Pehli Raat , Shabaan Ki 15vi Raat Aur Eidain Ki Dono Raatein Hai. (Musannaf Abdur Razzak : Hadees no 7927)
Scan Page :
45
2 –

عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ رَاشِدٍ قَالَ: حَدَّثَنَا مَكْحُولٌ، عَنْ كَثِيرِ بْنِ مُرَّةَ «أَنَّ اللَّهَ يَطَّلِعُ لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ إِلَى الْعِبَادِ، فَيَغْفِرُ لِأَهْلِ الْأَرْضِ إِلَّا رَجُلًا مُشْرِكًا أَوْ مُشَاحِنًا»،

Hazrat Kaseer Bin Murrah Rh. Farmaate hai ke Yaqinan Allah Tala 15vi Shabaan ki Raat Bando ki Taraf Nazr e Rehmat farmaata hai , Phir Zameen Waalo ke Gunaaho ko Bakshta hai Siwaaye Mushrik aur Kinaa Parwar ke. (Musannaf Abdur Razzak : Jild 4 : Safa 316-317 , Hadees no 7923)
Scan Page :
miar04_Page317
3 –

عَنِ ابْنِ عُيَيْنَةَ، عَنْ مِسْعَرٍ، عَنْ رَجُلٍ، عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ قَالَ: «تُنْسَخُ فِي النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ الْآجَالُ، حَتَّى إِنَّ الرَّجُلَ ليَخْرُجُ مُسَافِرًا، وَقَدْ نُسِخَ مِنَ الْأَحْيَاءِ إِلَى الْأَمْوَاتِ، وَيَتَزَوَّجُ وَقَدْ نُسِخَ مِنَ الْأَحْيَاءِ إِلَى الْأَمْوَاتِ»

Hazrat Aata Bin Yasaar Rh. farmaate hai ke 15vi shanbaan maut likhi jaati hai yaha tak ke aadmi , safar me nikalta hai halaanke zindo se murdo me wo likha jaa chuka hota hai aur aadmi nikah karta hai halaanke zindo se nikaal kar murdo, me likaa jaachuka hota hai. (Musannaf Abdur Razzak : Jild 4 : Safa 317 , Hadees no 7925)
Scan Page :
miar04_Page317 - Copy
4 – Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Rh. Basre ke Aamil (Governor) ko Khaqt me Farmaate hai ke Tujh par 4 Masnoon Raato me Ibaadat karna Laazim hai , Kyunke Allah Tala Faraaghat ke Saat Unme Rehmat Nuzool farmaate hai.
1 – Rajab ki Pehli Raat.
2 – Shabaan ki 15vi Raat.
3 – Eid ul Fitr ki Raat.
4 – Eid ul Azha ki Raat. (Lata-e-ful Ma’arif : Safa 263)
Scan Page :
4
5 –  Ahle Shaam ke Taaba-in Khalid Bin Ma’adaan Rh. Aur  Makhool Rh. Aur Luqmaan Bin Aamir Rh. Wagaira Hazraat Bhi 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil hai. (Lata-e-ful Ma’arif : Safa 263)
Scan Page :
5
6 – Imam Ishaq Bin Rahaawe Rh.  Aur
7 – Imam Auzaayi Rh. Bhi 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil hai. (Lata-e-ful Ma’arif : Safa 263)
Scan Page :
6-7
8 – Imam Shafa’i Rh. Farmaate hai ke Dua 5 Raato me Qubool hoti hai.
1 – Juma ki Raat. 2 – Eid ul Azha ki Raat. 3 – Eid ul Fitr ki Raat. 4 – Rajab ki Pehli Raat.
5 – 15vi Shabaan ki Raat.
(Kitaab ul Umm : : Jild 2 : Safa 485 , Hadees no 492 , Lata-e-ful Minan : Safa 264)
Scan Page : Kitaab ul Umm
alom02_Page485
9 – Imam Behaiqi Rh. Imam Shafii Rh. Ka Yeh Qaul Muta’adidi Maqaamaat par Naql kiya Jisse Maloom hota hai ke wo Bhi 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil hai.
(Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 3 : Safa 319)
(Maarifatus Sunan Wal Aasaar Lil Behaiqi : Jild 5 : Safa 118 , Raqm no 7028)
(Shoaib ul Imaan : Jild 5 : Safa 287 , Hadees no 3438)
Scan Page : Sunan e Kubra Lil Behaiqi
9 -3
Scan Page : Maarifatus Sunan Wal Aasaar Lil Behaiqi
9 -2
Scan Page : Shoaib ul Imaan
9 - 1
11 – Imam Nawawi Rh. Farmaate hai ke Imam Shafa’i Rh. Ne Kitaab ul Umm me Farmaaya hai ke Dua 5 Raato me Qubool hoti hai.
1 – Juma ki Raat. 2 – Eid ul Azha ki Raat. 3 – Eid ul Fitr ki Raat. 4 – Rajab ki Pehli Raat.
5 – 15vi Shabaan ki Raat. (Al Majmu Lin Nawawi : Jild 5 : Safa 50)
Scan Page :
magm05_Page50
11 – Imam Ibn Taimiya Rh. Farmaate hai ke Barhaal 15vi Shabaan ki Raat Uski Fazilat hai aur Salaf me se Log Usme Namaaz Padha Karte the.
Lekin Ijtemaayi Taur Ibaadat karna Bidat hai.(Mustadrak Alaa Majmua al Fatawaa : Jild 3 : Safa 112)
Scan Page :
mmf3_Page112
12 – Imam Suyuti Rh. Farmaate hai ke 15vi Raat Fazilat ki Raat hai aur Usme Ibaadat karna Mustahab hai. (Haqiqatus Sunnah wal Bidaah : Safa 54)
Scan Page :
حقيقه السنة والبدعة = الأمر بالاتباع والنهي عن الابتداع_Page56
13 – Imam Ibn ul Haaj al Maaliki Rh. Shab e Baraat ke Mutalliq Aslaaf ka Nazariya aur is raat me unka ma’amool bayaan karte huwe farmaate hai ke
“aur koi shak nahi ke yeh raat badi barkat aur allah tala ke yaha badi azmat waali hai , hamaare aslaaf uski badi ta’azeem karte the aur uske aane se pehle hi us(ki barkat ke liye ) taiyaari karte the , jab yeh raat aati thi toh wo uski mulaaqaat aur uski hurmat wa azmat ba-jalaane ke liye muta’adid rehte the aur…… yahi is raat ki ta’azeem hai. (Al Mudkhal : Jild 1 : Safa 299)
Scan Page :
Almad5al_01_Page299
14 – Fiqh  e Hanbali ke Mashoor Faqi Allama Mansoor Bin Yunus Al Behaiqi Rh. Tehreer Farmaate hai ke “Barhaal nisf e Sha’abaan (shab e Baraat) ke bare me bahut se fazail hai , salaf e saleheen is raat ko namaz padhte the lekin is raat ke qiyaam ke liye masjido me jama’a hona bidat hai
Nisf e shabaan ki raat ko bedaar rehkar ibaadat me mashgool rehne ke wahi fazail hai jo eidain ki raat ke hai. (Kasaaful Qaane : Safa 530)
Scan Page :
61265_Page530

15 – Allama Abu Ishaq Ibn Muflah Rh. 884 Hij Farmaate hai ke
Masghrib aur Ishaa ke Darmiyaan Bedaar Rehkar Ibaadat me Mashgool Hona Mustahab hai hadees ki wajeh se (yaani Uske Mutalliq Hadees Waarid huwi hai) ek jamaat ne farmaaya (ke) Aashura ki raat , rajjab ki pehli raat aur nisf e shabaan ki raat ibaadat karna mustahab hai. (Al Mubdi : Jild 2 : Safa 33)
Scan Page :
mbshmqn2_Page33
16 – Imam Haskafi Rh. Farmaate hai ke Safar se Pehle 2 Rakaat aur Safar se Waafis Aake 2 rakaat padhna aur dono eidain me , shabaan ki 15vi raat me , ramzaan ki aakhri 10 raato aur zil-hajjah ke pehle 10 din me shab bedaari karna mustahabaat me se hai. (Durr Mukhtaar : Safa 92)
Scan Page :
75496_Page92
17 – Shaik Abdul Qadar Jilaani Rh. Bhi Shab e Baraat ki Fazilat ka Zikr Apne Kitaab Karte hai.
Lehaaza Maloom huwa ke Wo bhi Is Raat ke Fazilat ke Qaayil hai. (Ghunayatut Taalibeen Mutarjim : Safa 368)
Scan Page :
GhunyatutTalibeenUrduAbdulQadirJilaniR.a.--www.momeen.blogspotcom_Page370
18 – Allama Ibn Nujaim Rh. 970 Hij Farmaate hai ke
Mustahabaat me se hai ramzaan ke aakhri 10 raato me , eidain ki raato me , zil hajjah ki pehli 10 raato me aur sha’abaan ki 15vi raat me shab bedaari karna jaisa ke ahadees me aaya hai. (Bahrur Raaiq : Jild 2 : 92-93)
Scan Page :
02_50267_Page93
19 – Allama Hasan Bin Ammaar Bin Ali 1069 Hij Farmaate hai ke Nisf e Shabaan ki Shab Bedaari Karna Mustahab hai. (Miraaqul Falaah : Safa 325)
20 – Shaik Abdul Haq Muhaddis Dehelwi Rh. Farmaate hai ke
Pas Ahadees se Saabiqa ki Binaa par Is Raat me Shab Bedaari Karna Mustahab hai aur Fazail me In Jaisi Ahadees par Amal kiya jaasakta hai. (Maa Sabata Bis Sunnah : Safa 360)
21 – Muhaddis ul Asr Allama Anwar Shah Kashmiri Rh. Farmaate hai ke

هذه الليلة ليلة البراءة وصح الروايات في فضل ليلة البراءة

Yeh Lailatul Baraat hai aur is raat ki fazilat ke silsile me riwayaat e saheeh hai.(Arful Shazi : Jild 2 : Safa 172)
Scan Page :
02_64096_Page172
22 – Ghair Muqallid Allama Nasiruddin Albaani Rh.Farmaate hai ke
Khulaasa e Kalaam yeh hai ke In Tamaam Turq ke Sabab yeh hadees (Shab e Baraat ke Mutalliq) Bilaa Shak wa Shuba Saheeh hai aur Sehat e Hadees Toh Un Turq se bhi Kam se Saabit hoti hai jab tak ke wo shaheed zof se salaamat rahe jaisa ke hazrat Ayesha rdh. Ki hadees ka muaamla hai (ke uska zof shaded nahi hai lehaaza yeh ta’adaad e turq ki wajeh se saheeh hai)
(Silsilatul Ahadees ul Saheehiya : Jild 3 : Safa 138-139)
Scan Page :
rtgt_Page1png_Page139
23 – Ghair Muqallid Aalim Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. Farmaate hai ke
“To Yeh Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hain Un logo ke KHILAAF jo ye dawa karte hain ke koi baat 15 Shaban ki fazeelat me Saabit nahi, Wallahu Ta’ala Alam.”  (Tohfatul Ahwazi : Jild 3 : Safa 441 -442)
Scan Page :
tohfatul-ahwazi
24 – Ghairmuqallid Muhaqqiq Obaidullah Mubarakpuri Sahab Mishkaat ki Sharah mai Shabaan ki darmiyani Shab (Shab-e-Baraat) ki Fazilaat ke silsile se warid Ahadees ka zikr karne ke baad likhte hai:
“Ye Saari Hadees’en  Shabaan ki Darmiyaani Shab ki Azmat aur uski Shaan-e-Jalalat per Dalalat karti hai aur usper bhi ke ye Raat DEGAR AUR RATO’N KI TARHA NAHI hai. Lihaza Isse ghaflat baratna Munasib Nahi, balke Ibadat aur Dua aur Zikr aur Fikr ke Zariye Isme Jaagna MUSTAHAB hai.” [Miraat Sharah Mishqaat : Jild 4 : Safa 341-342)
Scan Page :
mirqat
25 – Imam Abu Abdullah Muhammad Bin Ishaaq bin Abbas Faakihi Makki  275 Hijri ne Apni Tareekh ki Kitab “Akhbaar-e-Makkah” mai ek  BAAB (heading) baandha hai:
“Ahle Makkah Ka Amal 15 Shaban Aur Unka Mujaheda Us Raat Me Uski Fazeelat Ki Wajeh Se”
Fir likhte hain:
Aur Ahle Makka Zamana-E-Maazi Se Aaj Tak Jab Bhi 15vi Shabaan ki Raat Hoti Toh Tamaam (Ahle Makkah ke) Mard Aur Aurat Masjid e (Haram) Jaate, Phir Namaz Padhte Aur Taw’aaf Karte Aur Sari Raat Ibaadat Karte , Subah Tak Tilawat Karte Masjid-E-Haram Mein. Yahan Tak Ke Pura Quran Mukammal Karte Aur Namaz Padhte.
(Akhbaar e Makkah Fii Qadaamin Dahri Wa Hadeesihi : Safa 84)
Scan Page :
akhbar-makka3
26 – Imam Ibn Rajab Rh. Farmaate hai ke

فينبغي للمؤمن أن يتفرغ في تلك الليلة لذكر الله تعالى ودعائه بغفران الذنوب وستر العيوب وتفريج الكروب

Momin ke Liye Munaasib yeh hai ke Is Raat m Faarigh Hojaaye , Allah Rabbul Izzat ke Zikr Ke Liye aur apne Rab Apni Maghfirat ki Dua Kare aur Apne Uyoob (Aaib ki Jama) Par Parda Dalwaale aur Apne Liye Kushaadgi ki Dua Kare. (Lataa-e-Ful Ma’arif : Safa 138 , Publisher Darul Ibn Hazm 2004 Edition)
Algarz Is Raat me Ibaadat Karne ki Targheeb Salaf se Saabit hai.
Aiteraaz : Ahle hadees Abu Zaid Zameer Sahaab Lata-e-ful Ma’arif ke Hawaale se Likhte hai ke Aksar Ulama e Hijaaz Jinme Aata Rh. Aur Ibn Abi Mulaika Rh. Fuqaaha e Ahle Madina aur Ashaab e Maalik Wagaira ne Is Raat (Yaani Shab e Baraat) me Akele ya jamaat se Ibaadat Karne ko Bidat Qaraar diya hai. (15 Shabaan ki Haqiqat : 22)
Scan Page :
15th-Shabaan_Page23
Al – Jawaab : Lata-e-ful Ma’arif  ki Abu Zaid Sahaab ne Safa 22 par Aadhuri Ibaarat Naql ki hai.
Lekin Unhone Safa 20 par Mukammal Ibaaraat Naql ki hai.
Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :

أكثر علماء الحجاز منهم عطاء وابن أبي مليكة ونقله عبد الرحمن بن زيد بن أسلم عن فقهاء أهل المدينة وهو قول أصحاب مالك وغيرهم

(Lata-e-ful Ma’arif  : Safa 263)
Scan Page : 
9983_Page263
Ibn Rajab Rh. Farmaate hai ke Aksar Ulama e Hijaaz Jinme Aata Rh. Wa Ibn Abi Mulaika Rh. Aur NAQL KIYA ABDUR REHMAN BIN ZAID BIN ASLAM NE ke Fuqaaha e Ahle Madina aur Ashaab e Maalik Wagaira.
Ghaur Farmaaye , Ahle Madina ke Qaul ko Naql Karne Waale raavi Abdur Rehman Bin Zaid Bin Aslam hai aur Uski Bayaan Karda Riwayat ki Kya Haisiyat hai , Wo Khud Abu zaid Zameer Sahaab se Sunle.
00:00
00:00
Algarz Jab Yeh Raavi Nihaayat hi Zaeef hai Toh Is Raavi ki Riwayat se Istedlaal Kaise Durust hoga.
Mazeed Ajeeb Baat yeh hai ke Agar Aisa Raavi Hamaare Riwayaat me Aajaaye toh Riwayat ko Mauzu Kehne me Dair Nahi karte aur Jab Apne Matlab ki Koi Baat Aajaaye Toh Aise Kamzoor Raavi ki Riwayat se Istedlaal Karke , Logo ko Dhoka Dete hai.
Allah Tala Hamaari Ghaltiyo ko Maaf Farmaaye….Ameen.

Shab e Baraat me Qabarastaan Jaane ka Hukum :

Shab e Baraat me Ek Hadees Waarid huwi jisko humne muqtasar taur par hadees no 4 ke tahet me zikr kiya hai.Jisko Imam Tirmizi Rh. Ne Apni Sunan me Hazrat Ayesha Rdh. Se Naql kiya hai aur Jispar Humne Mufassal Bahez Kardi hai.
Is Riwayat se Shab e Baraat me Qabarastaan Jaane aur Ahle Quboor ki Ziyaarat karna Saabit hota hai : Lekin Chand e Baatein Qaabil e Ghaur karne ki hai.
1 – Huzur SAW ka Shab e Baraat me Qabarastaan Sirf Hazrat Ayesha Rdh. Ki hi Riwayat me hai , Iske Alaawa Degar Riwaayaat Maujood Is Riwayat ke Fazail me Lekin Siwaaye Hazrat Ayesha Rdh. Ki riwayat ke alaawa kisi riwayat ziyaarat e quboor ka zikr nahi hai.
Jisse Saaf Zaahir hota hai ke Aap SAW ka Qabarastaan Jaana Har Saal ka Ma’amool Nahi tha,Balke Kabhi Kabhi Aap Tashreef Legaye.
2 – Ziyaarat e Quboor ka Maqsad yeh hai ke Marne Waalo ki Quboor ki Ziyaarat ke Baad Apne Andar Fikr e Akhirat Paida ho , Apni Maut Yaad Aaye aur Amaal e Saaleha ka Jazba Paida ho.
3 – Huzur SAW Qabarastaan Akeele Tashreef Legaye , Na Sahaba Rdh. Ko Ittelaa aur Na hi Apne Azwaaj ko , Jisse Saaf Maloom hota ke Ziyaarat e Ahle Quboor ke Liye Akeela Jaana Behtar hai.
Lekin Is Amal Aaj Is Qadar Quloo Hochuka hai ke
Kahi Qabaro ko Raushan Kiya Jaarahe hai , Toh Kahi Mela si ki Shakal Bana Huwi hai aur Qabarastaan me Khaane Khilaaye Jaarahe hai, toh kahi Qabarastaan Jaane ke liye Sawaariyo ka Intezaam karne ki Targheeb Dijaarahi hai.
Aur Phir Qabaro ke Aas paas Phoolo aur Khilono ki dukaane Khuli Hoti hai.aur Baaz Jagah toh aisi hai ke Aurto bhi Qabarastaan Jaati hai.
Yeh Sab ka Shariyat se Koi Ta’alluq nahi hai.
Gharz yeh hai ke Aaj Ziyaarat e Qulu Horaha hai aur Yeh Qaabil e Islaah hai.Har Kaam Uske Had ke Andar Hona Chaahiye.Usse Aage Jaana Saqt Khatre ki Baat.

Shab e Baraat ki Ijtemaayi Ibaadat ka Hukum :

Magar ibaadat ke liye masjid me jama’a hona khair ul kuroon ki riwayat se saabit nahi hai.balke waha nafli ibaadat chup kar apne gharo me ki jaati thi , isi waje se ulama e ikraam wa fuqaaha e izaam ne shab e barat me ibaadat ke liye masaajid me ijtema’a ko makrooh likha hai.
Allama ibn nujaim Misri Rh. Al Bahrur Raa-iq me farmaate hai “In Raato me kisi raat me jaagne ke liye masjid me jama’a hona makrooh hai”. (Al Bahrur Raa-iq : Jild 2 : Safa 52)
Allama Hasan Bin Ammaar Rh. Jo ke Mashoor Faqi  farmaate hai :
“Lekin In raato me kisi raat me shab bedaari ke liye Masaajid me Jama’a Hona Makrooh hai , Lekin Rasoolullah SAW aur Aap ke Ashaab ne Aisa nahi kiya.Lehaaza Aksar Ulama ne Unko Munkir Qaraar diya hai. (Miraaqi Al Falaah : Safa 219)
In Ibaaraat se Waazeh huwa ke In Raato me Shab Bedaari aur Ibaadat ke Liye Masaajid me Jama’a hona Munkir aur Bura hai.
Ha , Bilaa Kisi Ahtemaam ke Koi Masjid Aagaya aur Ibaadat me Mashool hogaya Toh Theek hai , Magar Ahtemaam na Kiya Jaaye.Jaisa ke Aaj kal Aam Riwaaj hogaya hai.
Barhaal , Is Raat me Ibaadat Karna Mustahab hai lekin Ijtemaayi Taur Par nahi.
Aakhiri Baat :
In Tamaam tafsilaat wa Tehqiqaat se yeh baat Roz Raushan ki tarah waazeh huwa ke Shab e Baraat ki Fazilat me Saheeh hadees Waarid huwi hai.
Kyunke sanad me Kalaam hone ke bawajood muta’adid sanado ki wajeh se yeh darja e sehat ko pahuch jaachuki hai aur Baaz Hadeeso par toh Muhaddiseen wa Ulama Saaf Taur par Saheeh Qaraar diya hai.
Jaisa ke upar Guzar Chuka hai.
Toh Un Hazraat ko chahiye Jo yeh Hadees par amal karte hai ke Is Raat me Ibaadat ka Ahtemaam kare, Lekin Ijtemaayi Taur par nahi.
Mazeed Salaf e Saleheen ne bhi is raat me ibaadat karne ki targheeb karte the.
Jiski tafseel guzar chuki hai aur targheeb bhi diya karte the.
Algarz jo log yeh dawa’a karte hai ke Hum Quran aur hadees ko salaf ke manhaj aur salaf ke fahem par samajhte hai , Toh unhazraat se Mu-azzaabana Guzaarish hai ke Wo bhi haq ka muzaahira karte huwe usko qubool kare.
Allah Tala se Dua hai ke Ummat e Muslima me Ittehaad wa Ittefaaq Qaayam Rakhe aur Shariyat par Chalne ki Taufeeq Aata Farmaaye.
Ameen.