Juma ka Khutba Arabi Zubaan me Zaruri Hai

KHUTBA E JUMAH KA ARBI ZUBAN ME HONA:
Khutba E Jumah Ka Arbi Zuban Me Hona Zaruri Hai. Arbi Ke Alawah Kisi Aur Zuban Me Khutba Padhna Makruhe Tehreemi Hai. Iski Bohot Si Wujuhaat Hai.
1- Khutba E Jumah Dar Haqeeqat “Zikrullah” Hai:
“Aye Iman Walo ! Jab Jumuah Ke Din Namaz Ke Liye Azan Di Jaye To Allah Ke Zikr Ki Taraf Daudo” [Suratul Jumuah : 9]

Imaamut Tafseer Abul Barkaat Abdullah Bin Ahmad Bin Mahmud Annasafi Reh. Likhte Hai, “Allah Ke Farmaan “Ilaa Zikrillah” Se Jamhur Mufassireen Ke Yaha Khutbah Muraad Hai.” [Tafseerun Nasafi Jild:4 Pg:201]

Taaeede Hadeese Paak:
“Hazrat Abu Hurerah Rad. Se Rivayat Hai Ke Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jab Imam (Khutbe Ke Liye) Nikalta Hai, To Farishte Apne Register Band Karlete Hai Aur Tawajjuh Se Zikr (Khutbah) Sunte Hai.” [Saheeh Bukhari Jild:1 Pg:127 Baabul Istimaa Ilal Khutbah, Saheeh Muslim Jild:1 Pg:281 Kitabul Jumuah]

Mindarjah Baala Tasreehaat Se Malum Hua Ke Khutbah Dar Asal “Zikrullah” Hai. To Jis Tarah Sanaa, Ta’awwuz, Tasme Ea, Tahmeed, Attahiyyaat Wagerah Zikrullah Hai Aur Arbi Zuban Hi Me Padhi Jaati Hai, Isi Tarah Khutbah Ke Liye Bhi Arbi Zuban Hona Zaruri Hai.
Hukm Me Nabvi Sallallahu Alaihi Wasallam Hai Ke Khutbah Mukhtasar Diya Jaye:
“Hazrat Ammar Bin Yaasar Rad. Kehte Hai, “Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hume Mukhtasar Khutbe Padhne Ka Hukn Diya.” [Al Mustadrak Lil Haakim Jild:1 Pg:584, Hadis No:1105]

Arbi Ke Alawah Kisi Aur Zuban Me Ki Gayi Aadha Ya Pauna Ghante Ki Taqreer Ko Agar Masnun Khutbah Qarar Diya Jaye To Hukme Nabvi S.W Ke Hukm Ki Mukhalifat Lazim Ayegi.
2- Arbi Zuban Me Khutba E Jumuah Par Hameshgi:
Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wasallam Se Arbi Zuban Me Khutba E Jumuah Par Muvazabat Aur Hameshgi Sabit Hai. Halanke Uswaqt Aap Sallallahu Alaihi Wasallan Ke Khutbe Me Ajmi Log Bhi Maujud Hote The. Jinko Tableege Deen Ki Zarurat Bhi Thi Lekin Aap S.W Ne Arbi Khutbe Par Iktifaa Farmaya Isi Tarah Hazraat Khulafae Rashideen Aur Deegar Sahabae Kiraan Rad. Adwaar Me Islam Jab Jazeerae Arab Se Nikal Kar Deegar Ajam Ilaqo Me Faila, Log Arbi Zuban Se Naa Ashnaa The Lekin Khutba E Jumuah Arbi Me Hi Padha Gaya. Arbi Khutbe Par Ummate Muslimah Ka Tawaruz Aur Ta’ammul Wazeh Daleel Hai Ke Khutabah Sirf Arbi Zuban Hi Me Hona Chahiye.
3- Akabir Fuqahaa Wa Salafe Saaliheen Ki Tasreehaat:
Ummate Muslimah Ke Akabir Fuqahaa Wa Salafe Saaliheen Ki Tasreehaat Se Bhi Yahi Sabit Hota Hai Ke Khurbe Ke Liye Arbi Zuban Ka Hona Zaruri Hai.
1: Imam Yahya Bin Sharf An Nawawi Reh. (Shaareh E Muslim) Farmate Hai, “Khutba E Jumuah Ka Arbi Zuban Me Hona Shart Hai.” [Kitaabul Azkaar Lin Nawwi Pg:148 Kitabu Hamdillahi Taalaa]

2: Imam Abul Qaasim Abdul Kareem Bin Muhammad Ar Raafaee Reh. Farmate Hai, “Kya Saare Khutbe Ka Arbi Hona Shart Hai ? Isme Do Wajhe Hai Aur Saheeh Ye Hai Ke Arbi Me Hona Shart Hai.” [Ittihaafus Saadatul Muttaqeen Lizzubaidi, Jild:3 Pg:368]

3: Shaikhul Islam Abu Yahya Zakariyaa Al Ansari Farmate Hai, “Sharait Me Se Ek Shart Jo Piche Mazkur Hui Wo Ye Hai Ke Khutbah Arbi Zuban Me Ho.” [Amniul Mataalib Fee Sharah Rowzut Taalib Jild:1 Pg:258]

4: Imam ul Hind Shah Waliyullah Ahmad Bin Abdur Raheem Reh. Farmate Hai, “Khutbah Ka Arbi Zuban Me Hona, Kyon ke Musalmano Ka Mashriqo Magrib Me Hamesha Ka Amal Yahi Raha Hai (Yani Khutba Arbi Me Padhne Ka) Bawajud Ye Ke Bohot Sare Mamalik Me Inke Mukhatib Ajmi Log The.” [Musaffaa Sharah Muatta Pg:154]

5: Umdatul Mutaakhireen Allama Abul Hasanaat Abdul Hayy Lakhnawi Reh. Farmate Hai, “Isme Shak Nahi Ke Arbi Zuban Ke Alawah Kisi Dusri Zuban Me Khutba Dena Us Sunnat Ke Khilaf Hai Jo Nabie Kareem S.W Aur Hazraate Sahabae Kiraam Rad. Se Mutavatir Chali Aarahi Hai, Lehaza (Ghair Arbi Me Khutba Dena) Makruhe Tehreemi Hoga.” [Umdatur Ri'aayah Alaa Sharhil Waqayah Jild:1 Pg:200]