Kashf Wa Karaamat Aur Khulfa e Raasheedin

Kashf Wa Karaamat Aur Khulfa e Raasheedin

Kashf Wa Karaamat Khulfa E Rasheedin Se Bhi Saabit Hai.

Kashf Aur Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. :

Imam Ghazali Rh. , Hazrat Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ka Ek Kashf Naql Karte Huwe Tehreer Karte Hai : Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ne Apni Wafaat Ke Waqt Apni Sahebzaadi Sayyida Hazrat Ayesha Rdh. Se Farmaaya Ke Mere Waaris Tumaare Alaawa Tumaare 2 Bhai Aur 2 Behne Hai (Halaanke Us Waqt Hazrat Ayesha Rdh. Ki Sirf Ek Bahen Hazrat Asma Rdh. Thi) Magar Hazrat Abu Bakr Rdh. Ki Hamal Se Thi Baad Me Unse Ladki Paida Huwi. Isse Maloom Huwa Ke Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ko Ba-Taur E Kashf Wa Karaamat Ke Zariye Pehle Hi Maloom Hogaya Tha Ke Bach-Chi Paida Hogi. (Ahya Ul Uloom Lil Ghazali : Jild 3 : Safa 23) Scan Page : 3_Page23 - Copy Sanad E Hind Imam Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Se Farmaaye : Jo Jaaidaad Maine Aapko Di Hai Agar Aap Ne Haasil Karliya Toh Theek Hai Warna Aap Ke Saat Aap Ke 2 Bhai Aur Behne Shareek Honge Yaani Sabko Miraas Me Milegi. Toh Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Ne Farmaaya Ke Meri Bahen Toh Yahi Asma Hai Dusri Bahen Kaun Si Hai ? Toh Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Farmaaya Ke Mai Samjhta Hu Ke Bint E Khaarja (Siddiq E Akbar Ki Aahliya) Ko Ladki Ka Hamal Hai Aur Uske Pait Me Ladki Hai. Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Siddiq E Akbar Rdh. Ki Wafaat Ke Baad Hazrat Ayesha Rdh. Ki Bahen Umme Kulsum Paida Huwi. Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Par Istedlaal Kiya Hai , Chunaanche Unwaan Bandhkar Likhte Hai : Yeh Waqiya Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ka Kashf Hai Ke Allah Tala Ne Chupi Huwi Baato Ko Unpar Zaahir Kardiya. (Ezaalatul Khafaa : Jild 3 : Safa 77) Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ka Yeh Waqiya , Imam E Darul Hijrah Imam Malik Rh. Ne Bhi Apni Muwatta Me Naql Kiya Hai. (Muwatta Imam Malik : Jild 2 : Safa 1089 , Safa 2783) Scan Page : mem2-5_Page1089

Kashf Aur Hazrat Umar Farooq Rdh. :

Hazrat Mulla Ali Qari Rh. Farmaate Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ke Min Jumla (Total) Karaamaat Aur Kashf Me Se Wo Waqiya Bhi Hai Jisko Amr Ibn Haaris Rh. Ne Bayaan Kiya Hai , Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Jume Ke Khutbe Ke Dauraan Achaanak Khutba Rok Kar Pukaara , Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto. (Mirqaat Ul Mafaateh : Jild 11 : Safa 205) Scan Page : mmsmm11_Page205 Imam Ghazali Rh. Bhi Is Waqiya Se Kashf Par Istedlaal Karte Huwe Farmaate Hai , Chunaanche Likhte Hai : Aur Hazrat Umar Rdh. Ne Darmiyaan E Khutbe Me Farmaaya Ke Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto Aur Yeh Baat Zaahir Hogayi Thi. (Ahya Ul Uloom : Jild 3 : Safa 23) Scan Page : 3_Page23 - Copy (2) Isi Tarah Imam Ibn Ul Qayyim Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Ke Saheeh Hone Par Istedlaal Farmaaya (Kitaab Ur Rooh : Safa 672)

Hazrat Umar Farooq Rdh. Ka Ek Aur Kashf :

Chand Log Qabile Mazhij Se Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Paas Aaye Unme Ashtar Nakh’ii Bhi Tha , Toh Aapne Ghaur Se (Usko) Upar Se Neeche Tak Dekha Aur Pucha Yeh Kaun Hai Toh Logo Ne Kaha , Yeh Maalik Bin Haaris Hai. Toh Hazrat Umar Rdh. Ne Farmaaya Ke Maalik Bin Haaris Ko Allah Tala Tabaah Kare Ke Mai Uski Wajeh Se Musalmaano Par Bahut Pareshaani Dekhta  Hu (Kyunke Yeh Qaatilaan E Usmaan Rdh. Ka Leader Tha). (Kitaabu Ur Rooh : 672) Scan Page : 118630s_Page675 (Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 - Copy Isse Maloom Huwa Ke Aainda Aane Waale Zamaane Me Runumaa Hone Waale Haadse Ke Bare Me Hazrat Umar Rdh. Ko Pehle Allah Tala Ne Ilhaam Aur Kashf Farmaaya Tab Hi Toh Inhone Khabar Di Jo Baad Me 100% Saheeh Saabit Huwi.

Kashf Aur Hazrat Usmaan Rdh. :

Imam Nawawi Rh. , Imam Ibn Ul Qayyim Rh. , Imam Qurtubi Rh. , Imam Ghazali Rh. Aur Imam Raazi Rh. Ne Hazrat Usmaan Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai : Hazrat Usmaan Rdh. Ke Paas Ek Aadmi Aaya Jiski Nigaah Raaste Me Kisi Aurat Par Pardgayi Thi Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya : Tumme Se Koi Ek Hamaari Taraf Aata Hai Aur Uske Aankho Me Zinaa Ka Asar Hai , Toh Us Aadmi Ne Kaha Ke Kya Rasoolullah Saw Ke Baad Bhi Wahi Aati Hai ,Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya Nahi Lekin Baseerat Aur Burhaan Aur Sach-Chi Firaasat Hai Yeh Waqiya Mamuli Ikhtelaaf E Lafzi Ke Saat Darj E Zail Kitaabo Me Maujood Hai : (Bustaan Ul Aarifeen : Safa 388) Scan Page : 71447_Page388 (Kitaab Ur Ruh : Safa 675) Scan Page : 118630s_Page671 (Ahya Ul Uloom Ud Deen : Jild 3 : Safa 23-24) Scan Page : 3_Page24 (Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 - Copy - Copy (Tafseer E Kabeer Lir Raazi : Jild 21 : Safa 89) Scan Page : trazi21_Page89 - Copy Ghaur Farmaaye ! Hazrat Usmaan Rdh. Ko Kaise Pata Chalaa Ke Us Aadmi Ne Raaste Me Ghair Mehram Aurat Ko Dekha Hai , Agarche Dekhna Bilaa Iraada Ho. Hazrat Usmaan Rdh. Aalim Ul Ghaib Nahi The Balke Firaasat Ke Zariye Unpar Yeh Munkashif Hogayi.

Hazrat Ali Rdh. Aur Kashf :

Isi Tarah Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Ne Hazrat Ali Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai Farmaate Hai Ke Harsama Bin Salma Rh. Farmaate Hai Ke Hum Hazrat Ali Rdh. Ke Humrah Safar Par Chale , Aap Rdh. Chalkar Karbala Tak Gaye Aur Daraqt Ke Paas Namaz Padhi Aur Waha Ki Zameen Ki Thodi Si Matti Utaayi Aur Usko Soong Kar Irshaad Farmaaya : Afsoos Hai Tujhpar , Aye Matti Ek Aisi Qaum Tujhpar Qatal Ki Jaayegi Jo Be-Ghair Hisaab Ke Jannat Me Jaayegi. Phir Raavi Aage Likhe Hai Ke Baad Me Maine Khud Dekha Ke Us Jagah Par Hazrat Hussain Rdh. Shaheed Kardiye Gaye. (Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 2 : Safa 348) Scan Page : 02_1511_Page348 Dekhiye ! Hazrat Ali Rdh. Ne Bahut Pehle Se Apne Hazrat Hussain Rdh. Ki Shahaadat Ki Jagah Bataayi Aur Wahi Unki Shahaadat Huwi. Toh Hazrat Ali Rdh. Kya Aalim Ul Ghaib The. Kya Hafiz Ibn Hajar Rh. Ne Aise Naql Karne Ki Wajeh Wo Aur Unki Kitaab Ghair Motabar Aur Shirk Ki Dawaat Deti Hai ? Mazeed Suniye ! Kashf Ke Waqiyaat Hazraat E Khulfa E Rasheedin Se Hi Manqool Nahi Balke Bahut Sahaba Rdh. Aur Taba-In Rhm. Se Saabit Hai. Imam Raazi Rh. Farmaate Hai : Tamaam Ke Unke Ahwaal Is Baab Me Bahut Hai. (Tafseer E Kabeer : Jild 21: Safa 75) Scan Page : trazi21_Page90 Aur Imam Qurtubi Rh. Likhte Hai Ke Aur Sahaba Rdh. Aur Taba-In E Izaam Rhm. Se Kaseer Ta’adaad Me Maujood Hai. (Tafseer E Qurtubi : Jild 5 : Safa 33) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 Imam Ibn Kaseer Rh. Tehreer Karte Hai Ke Aur Ahadees Aur Aasaar Is (Kashf Wa Karaamat Ke) Baab Me Bahut Hai. (Tafseer Ibn Kaseer : Jild 6 : Safa 229) Scan Page : tqa6_Page254 Khulaasa e Kalaam : Kashf Wa Karaamat Ke Mutaalliq Chand Dalaail Zikr Karne Ka Maqsad Yeh Hai Ke Kashf Zaahir Hona Koi Ilm E Ghaib Nahi Hai.