Taweez Ka Masla Aur Ghair Muqallideen Ki Daleel Ka Ilmi Muhaasaba.

Taweez Ka Masla Aur Ghair Muqallideen Ki Daleel Ka Ilmi Muhaasaba.

Ghair Muqallideen Ke Har Chote Bade Maulwi Ka Kehna Hai Ke Taweez Shirk Hai , Apne Is Baat Ko Saabit Karne Ke Liye Un Hazraat Ki Daleel Darj E Zail Hai : Uqba Bin Aamir Riwayat Karte Hai Ke Nabi SAW Ke  Paas Ek Jamaat Aayi.Nabi SAW Ne Unme Se 9 Se Bait Leli Aur Ek Ko Chor Diya. Logo Ne Kaha Ke Aye Allah Ke Rasool Aap Ne 9 Se Bait Leli Aur Ek Ko Chor Diya. Irshaad Farmaaya Ke Usse Isliye Bait Nahi Li Ke Wo Taweez Pahane Huwe Hai.Yeh Sunkar Un Sahaab Ne Haat Andar Daalkar Taweez Tord Daala. Ab Nabi SAW Ne Unse Bait Leli Aur Farmaaya Ke Jisne Taweez Latkaaya Usne Shirk Kiya. (Musnad  e Ahmed : Jild 28 : Safa 636-637) Al – Jawaab : Is Hadees ke Matan me Tameemah ke Alfaaz hai , Matan Mulaaheza Farmaaye :

عَنْ عُقْبَةَ بْنِ عَامِرٍ الْجُهَنِيِّ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَقْبَلَ إِلَيْهِ رَهْطٌ، فَبَايَعَ تِسْعَةً وَأَمْسَكَ عَنْ وَاحِدٍ، فَقَالُوا: يَا رَسُولَ اللهِ، بَايَعْتَ تِسْعَةً وَتَرَكْتَ هَذَا؟ قَالَ: ” إِنَّ عَلَيْهِ تَمِيمَةً ” فَأَدْخَلَ يَدَهُ فَقَطَعَهَا، فَبَايَعَهُ، وَقَالَ: ” مَنْ عَلَّقَ تَمِيمَةً فَقَدْ أَشْرَكَ

(Musnad  e Ahmed : Jild 28 : Safa 636-637) Scan Page : ahmd 28_Page637 Tameemah ka Matlab aur Wazaahat : Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai ke Tamaaim Tameemah Ki Jama’ Hai, Is Se Muraad Wo Daane Aur Maale Hai Jo Gale Me Latkaaye Jaate Hai, Ahle Arab Zamaana E Jaahiliyat Me Yeh Aqeedah Rakhte The  Ke Yeh Tamaaim Aafaat Ko Dafa Karte Hai. (Fathul Baari : Jild 10 : Safa 196) Scan Page : فتح الباري 10_Page196 Imam e Lught Az-Zuhri  Kehte hai ke Tamaaim Tameema ki Jama’a hai aur Wo Munke (Maale aur Daane) hote hai Jo Arab log Bach-cho ke Gale me Latkate the ke Bad-Nazar se Mehfooz Rahe. (Maghrib : Jild 1 : Safa 107 , Tehzeeb ul Lughaat : Jild 14 : Safa 260) Imam Mulla Ali Qari Rh. Farmaate hai ke

جَمْعُ تَمِيمَةٍ، وَالْمُرَادُ بِهَا التَّعَاوِيذُ الَّتِي تَحْتَوِي عَلَى رُقَى الْجَاهِلِيَّةِ مِنْ أَسْمَاءِ الشَّيَاطِينِ وَأَلْفَاظٍ لَا يُعْرَفُ.

Jiska Khulaasa aur Mafhoom yeh hai ke Tamaaim Tameemah ki jama hai aur uspar Log Zamaana e Jahiliyat me Shaitaan ke Naam aur Aise Alfaaz Likhte the ke Jiska Ma’ana Maloom Nahi tha. (Mirqaat ul Mafaateh : Jild 8 : Safa 255) Scan Page : mmsmm08_Page255 Toh Maloom huwa ke Tameemah ek Khaas Ta’aweez hai Jisko Log Qususan Ahle Arab Zamaana e Jahiliyat me Istemaal karte the. Aur Yahi Baat Darj e Zail Muhaddiseen ne Kahi hai : 1 – Imam suyuti Rh. (Haashiya Suyuti Alaa Sunan e Nasaai : Jild 8 : Safa 138, Sharah Sunan e Ibn Majah Lis Suyuti Wagaira : Jild 1 : Safa 252) 2 – Imam Zainuddin Al Manaawi al Qaahiri Rh. 1031 Hij. (At-Taiseer Ba-Sharah Jamius Sagheer : Jild 1 : Safa 286) 3 – Imam Abul Hasan Nuruddin Sindhi Rh.  1038 Hij.  (Haashiya Sindhi Alaa Sunan e Nasaai : Jild 8 : Safa 141) 4 – Allama Shaukaani Rh. (Nail ul Autaar : Jild 8 : Safa 243) 5 – Ghair Muqallideen ke Mashoor Muhaddis Shamsul Haq Azeembadi Rh. (Aaun ul Ma’abood : Jild 10 : Safa 262) ALGARZ MALOOM HUWA KE TAMEEMAH EK KHAAS DAANE KA NAAM JISKO LOG ZAMAANA E JAHILIYAT ME ISTEMAAL KARTE THE AUR USPAR SHAITAAN KE NAAM LIKHE HOTE THE. Aur Imam e Lughat Qa’anabi Farmaate hai ke Baaz Logo ko Yeh Wahem hogaya ke Ta’aweez hi Tamaaim Halaanke Aisa Nahi hai Tameemah Toh ek Munka (Daana) hai , Lekin In Ta’awizaat ki Koi Mumaaniyat nahi jab ke un me koi aayaat e quraani aur allah tala ke asmaa e giraami likhe ho aur Az-Zuhri ne Farmaaye ke Jisne Ta’aweez ko Tameemah Kaha wo Ghalti par hai. (Maghrib : Jild 1 : Safa 107) Mazeed Suniye ! Sayyidina Ayesha Rdh. Ne Farmaaya ke Aafaat Aane ke Baab Jo Cheez Latkaayi Jaaye wo TAMEEMAH NAHI. (Sunan e Kubra Lil Behaiqi : Jild 9 : Safa 589) Scan Page : skb09_Page589 Lehaaza Yeh Baat Saabit hochuki hai ke Tameemah Ek Khaas Daana hai jisko Log Zamaana e Jahiliyat me Istemaal Karte the aur Uspar Shaitaan ke Naam Wagaira Likhe Hote the aur Tameemah aur Cheez hai aur Taweez aur hai. Mazeed Yeh ke Taweez par Quraani Aayaat aur Allah tala ke Asma e husna Likhe Hote hai Jaisa ke Tafseel Upar Guzar chuki hai. Taaweez ke Jawaaz ke Dalaail : 1 – Hazrat Abdullah Bin Omer Rdh. Ka Taweez Likh kar dena. (Abu Dawud : Jild 2 : Safa 543) 2 – Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Bach-che ki Padaish ke Liye 2 Aayaat e Quraani Likh kardete the ke Unko Dhokar Mareeza (Bimaar Aurat)  ko Pilaa do. (Musanaaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 24) 3 – Hazrat Ayesha Siddiqui Rdh.  usko Mana’a Nahi karti thi ke Paani me Taweez daalkar wo Paani Mareez par Chird ka Jaaye. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 24) 4 – Hazrat Mujahid Rh. Isme Koi Harj na Jaante the ke Quraani Aayaat Likh kar Darni Waale Mareez ko Pilaayi Jaaye. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 24) 5 – Hazrat Saeed Bin Jubair Rh. Jo Bhi Aata Usko Taweez Likh Dete the. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 24) 6 – Hajjaaj Ibn ul Aswad Rh. Kehte hai ke Maine Makkah Mukarramah  ke Mufti Hazrat Aata Rh. se Is Bare me Pucha Toh farmaaya ke Humne Toh Nahi Suna ke Koi Isko Makrooh Kehta ho. 7 – Abu asma  Rh. Kehte hai ke Maine Hazrat Saeed Bin Musaiyib Rh. se Taweez ke bare me Pucha  toh Farmaaya : Koi Harj Nahi Jab Chamde me ho. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 31) 8 – Hazrat Aata Bin Abi Rabah Rh. se Pucha Gaya ke Aurat ke Gale me Taweez hai , Jab Haiz Aaye Toh Kya Kare ? Farmaaya : Agar Chamde par Likha ho toh Usko Utaarde aur Agar Chaandi me Band ho Toh Chaahe Utaare Chaahe Na Utaare. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 31) 9 – Madina e Munawwara ke Jaleel ul Qadr Taba’i Hazrat Mujahid Rh. Taweez Likh kar Logo par Latkaate. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 32) 10 – Imam Baaqar Rh. Isme koi Harj Nahi Samjhte the ke Chamde par Quran Likhkar Latka Liya Jaaye. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 32) 11 – Hazrat Zahhaak Rh.  Allah ki Kitaab se Likhkar Taweez Banaane me Koi Harj nahi Samajhte the Jabke Rafe-Hajaat aur Ghusul ke Waqt Utaarle. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 8 : Safa 33) 12 – Imam Muhammed Rh. Farmaate hai ke Hum Is Masla ko Maante hai Jab ke wo Dam ya Taweez Allah ke Zikr ya Allah ki Kitaab se ho aur Yahi Imam Abu hanifa Rh. ka Farmaan hai. (Kitaab ul Aasaar : 377) Taweez ke Jawaaz par Ummat ka Ijma hai : Imam Ibn Hajar Rh. Farmaate hai ke

وَقَدْ أَجْمَعَ الْعُلَمَاءُ عَلَى جَوَازِ الرُّقَى عِنْدَ اجْتِمَاعِ ثَلَاثَةِ شُرُوطٍ أَنْ يَكُونَ بِكَلَامِ اللَّهِ تَعَالَى أَوْ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَبِاللِّسَانِ الْعَرَبِيِّ أَوْ بِمَا يُعْرَفُ مَعْنَاهُ مِنْ غَيْرِهِ وَأَنْ يُعْتَقَدَ أَنَّ الرُّقْيَةَ لَا تُؤَثِّرُ بِذَاتِهَا بَلْ بِذَاتِ اللَّهِ تَعَالَى

Ulama ka Ispar Ijma hai ke Dam aur Taweez 3 Sharto ke Saat Jayez hai : 1 – Allah ke Kalaam Yaani Quran se ho Ya Allah ke Asmaa wa Sifaat se ho. 2 – Arabi me ho aur Kisi Ajmi Zubaan me ho Toh Uski Alfaaz ke Ma’ani Maloom ho. 3 – Dam Karna aur Karaane Waale ka Yeh Aiteqaad ke Dam aur Taweez me Ba-Zaatiya Koi Taseer Nahi Balke Mausar e Haqeeqi Sirf Allah hai. Yeh Dam aur Taweez Sirf Sabab hai. (Fathul Baari : Jild 10 : Safa 195) Scan Page : فتح الباري 10_Page196 - Copy Salaf Bhi Taweez ke Jawaaz ke Qaayil hai : 1 – Imam Abu Bakr Marwazi Rh. Bayaan karte hai ke : Abu Abdullah (Imam Ahmed Rh.) ki Khidmat me Ek Shaks Aakar Kehne Laga : Aye Abu Abdullah Ek Aurat 2 Rooz se Dard e Zada ki Takleef me Mubtelaa hai , Isliye Koi Taweez Likh Dijiye ! Aap Rh. ne Farmaaya : Us Shaks Kaho ke Ek Chauda Piyaala aur Za’afraan Laaye. Imam Abubakr Marwazi Rh. Kehte hai ke Maine Aap Rh. ko Kai Logo ke Liye Taweez Likhte Dekha. (Tibbe Nabawi : Safa 277) Scan Page : الطب النبوي_Page278 2 – Abdullah Bin Ahmed Rh. Naql Karte hai ke Maine Waalid e Mohtaram ko Dekha , Dard Zada me Mubtela Aurat ke Liye Kisi Bade Safed Piyaale ya Kisi Paak Saaf Cheez par Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Ki yeh Hadees Tehreer Farmaate :

لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ الْحَلِيمُ الْكَرِيمُ، سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ، الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ: كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَ مَا يُوعَدُونَ لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا ساعَةً مِنْ نَهارٍ بَلاغٌ  ، كَأَنَّهُمْ يَوْمَ يَرَوْنَها لَمْ يَلْبَثُوا إِلَّا عَشِيَّةً أَوْ ضُحاها

(Tibbe Nabawi : Safa 277) Scan Page : الطب النبوي_Page278 - Copy 3 – Imam Marwazi Rh. Farmaate hai ke Ek Martaba Mujhe Bukhaar Aagaya , Jab Imam Ahmed Rh. ko Iski Khabar huwi , Toh Aap Rh, ne Mere Waaste Bukhaar ki Taweez Likhi , Usme Likha tha :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ، بِسْمِ اللَّهِ، وَبِاللَّهِ، مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ، قُلْنَا: يَا نَارُ كُونِي بَرْدًا وَسَلَامًا عَلَى إبراهيم، وأرادوا به كيدا، فجعلناهم الأخسرين، اللَّهُمَّ رَبَّ جَبْرَائِيلَ، وَمِيكَائِيلَ، وَإِسْرَافِيلَ، اشْفِ صَاحِبَ هَذَا الْكِتَابِ بِحَوْلِكَ وَقُوَّتِكَ وَجَبَرُوتِكَ، إِلَهَ الْحَقِّ آمين

(Tibbe Nabawi : Safa 276) Scan Page : الطب النبوي_Page278 - Copy (2) 4 – Imam Marwazi Rh. se Yeh Bhi Manqool hai ke Imam Ahmed Rh. ke Saamne Yeh Riwayat Padhi Gayi aur mai usko Sun Raha tha , Humse Abu Mundah Amr Bin Majmi Rh. ne Bayaan kiya , Unse Yunus Bin Hibban Rh. ne Bayaan kiya ke Maine Abu Jafer Muhammed Bin Ali Rh. se Gale me Taweez ke Mutalliq Sawaal Kiya , Toh Aap Rh. ne Farmaaya : Aap Rh. ne Farmaaya : Agar Usme Quran ki Koi ayat ho Ya Koi Duaa e Maasoor ho toh Usko Daal do aur Ba-qadr Isteta’at Usse Shifa Haasil Karo. Maine Kaha ke Bukhaar ke Shuru me ,Yeh Kalimaat

بسم اللَّهِ، وَبِاللَّهِ، وَمُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ

Se Aakheer Tak Likh Lu ? Aap Rh. ne Farmaaya : Haa ! Likh Lo. (Tibbe Nabawi : Safa 276) Scan Page : الطب النبوي_Page278 - Copy (3) - Copy 5 – Imam Ahmed Rh. se Taweezo ke bare me Pucha gaya : Toh Aap Rh. ne Jawaab Diya , Balaa ke Naazil hone ke baad Latkaa Liya Jaasakta hai aur Farmaaya : Mujhe Umeed hai ke isme Koi gunah nahi hai , Abdullah Bin Ahmed Rh. Bayaan karte hai ke Maine Waalid  e Mukarram ko Musibat me Giraftaar hone ke baad Gamraaye huwe shaks ke liye aur Bukhaar ke Liye Taweez Likhte huwe dekha. (Tibbe Nabawi : Safa 277) Scan Page : الطب النبوي_Page278 - Copy (2) - Copy 6 – Imam Ibn Taimiya Rh. Nakseer ke Liye Nakseer Zada ki Peshaani par Tehreer Karte the. Imam Ibn Qayyim Rh. Likhte hai ke Ibn Taimiya Rh. ne Farmaaya : Maine Yeh Aayaat Kai Logo ke Liye Likhi aur Usko Is Marz se Najaat Milgayi. (Tibbe Nabawi : Safa 278) Scan Page : الطب النبوي_Page279 7 – Shaik Abdul Wahaab Apne Muallifaat me Tehreer karte hai : Taweez Wo Shai hai Jo Nazr e Bad se Hifaazat ki Khaatir Bach-cho ke Gale me Latkaayi Jaati hai.Agar wo Quraan se ho toh Baaz Aslaaf ne Uski Ijaazat di hai. (Al Muallifaat : Jild 1 : Safa 29) Scan Page : 01-1_50041_Page29 Ek Dusri Jagah Likhte hai : Maozateen ki Taweez aur Duaye Karna aur Dawaaye Istemaal Karna Jayez hai. (Al Muallifaat : Jild 1 : Safa 79) Scan Page : 01-1_50041_Page79 Taweez ke Istemaal ka Sharii Hukum : Taweez ka Istemaal Jayez hai Is Shart ke Saat Taweez ka Asbaab ke Darje me Rakhe aur Shifa ki Umeed Allah ki Zaat par Ho. Jaisa Dawaayi ke Masle me Mareez Doctor ya Hakeem se Ruju karta hai aur Uski Bataayi Dawa Istemaal karta hai aur Yeh Samajhta hai ke Dawaayi toh Asbaab hai, Lekin Shifa Dena Allah ke Haat me hai. Bilkul Isi Tarah Taweez Jab Kisi Marz ke Liye Li Jaaye , Toh Usko bhi Asbaab Samjha jaaye aur Shifa ki Umeed Allah Rabbul Izzat ki Zaat se ho. Is Aqeedat se Taweez Lena Durust hai. Warna Agar Yeh Nazariya hojaaye ke Sirf Taweez ki Wajeh se Halaat Durust Hote hai , Toh Yeh Gooya Allah ki Shaan me Gustaaqi aur Bahut Bade Gunah ka Sabab hai. Isi Tarah Baaz Log Hamesha Taweez Pehente hai , Agar Waqai Kisi Bimaari ya Aur Wajeh ho Toh Koi Harj Nahi hai Lekin Bilaa Kisi Wajeh Usko Hamesha Pehene Rakhna, Achi Baat nahi hai. Mazeed Tafsilaat ke Liye Ulama se Puche. Khulaasa e Kalaam : 1 – Taweez aur Cheez hai aur Tameema aur hai. 2 – Taweez ka Istemaal Jayez hai aur Salaf-o-Saleheen se Saabit hai. 3 – Taweez par Quraani Aayaat aur Allah ki Ta’arif wa Asma e Giraami hote hai , Lehaaza Yeh Jayez hai aur Taweez ko Zarurat ke Waqt hi Istemaal karna chahiye. Mazeed Yeh ke Ummat ko Chahiye ke Aitedaal ka Raasta Ikhtiyaar kare ,Na Deen ke Saabit Shuda Cheez ka Inkaar kare aur Na hi Kisi Masle me Ghulu kare. Allah Tala Is muqtasar Risaale se Hum Sab ki Islaah kare. Ameen.