Kya Tasbeeh ka Istemaal Bid’at hai ? (Ghair Muqallideen ki Pesh Karda Riwayat ka Jawaab)

Kya Tasbeeh ka Istemaal Bid’at hai ? (Ghair Muqallideen ki Pesh Karda Riwayat ka Jawaab)
Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Yeh Nazariya Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Hai Lekin Ghair Muqallideen Naam Nihaad Ahle Hadees Firqa Ka Kaam Ummat Me Ikhtelaaf Paida Karna, Lehaaza Unka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.
Balke Baaz Juhaala Ka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Bid’at Hai Aur Un Hazraat Ka Ki Daleel Yeh Hai :
Jiska Khulaasa Yeh Hai Ke Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Ek Jamaat Ko Dekha Jo Fajar Se Pehle Halqo Me Baithe, Namaz Ke Intezaar Me Aur Unke Haat Me Kankariya Hai Aur Wo Allah Ka Zikr Kar Rahe Hai.
Aur Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Unke Is Tariqe Ko Gooya Biddat Qaraar Diya Hai.(Sunan E Darmi : Hadees No 210, Darul Mughni KSA Edition)
Al – Jawaab :
Is Hadees Ki Sanad Is Tarah Hai :

أَخْبَرَنَا الْحَكَمُ بْنُ الْمُبَارَكِ، أَنبَأَنَا عَمْرُو بْنُ يَحْيَى، قَالَ: سَمِعْتُ أَبِي، يُحَدِّثُ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: كُنَّا نَجْلِسُ عَلَى بَابِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ

(Sunan E Darmi : Safa 286, Hadees No 210)
Scan Page :
سنن الدارمي_Page286
Tawajjo Farmaaye ! Al Hakam Ibn Ul Mubarak Se Riwayat Karne Waale Amr Bin Yahiya Rh. Hai.
Unko Aimma Ne Zaeef Balke Ibn Abi Yahiya Rh. Ne Unhe Kazzaab Bhi Qaraar Diya Hai.
Aimma ke Aqwaal Darj e Zail  :
1 – Imam Ibn Maeen Rh. Farmaate Hai Ke Yeh Kuch Nahi Hai Aur Maine Uski Hadeeso Ko Dekha Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, Mizaan Ul Aitedaal : Jild 5 : Safa 232, Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232)
Scan Page : Al Kaamil Li Ibn A’adi
kdra6_Page215 - Copy
Scan Page : Mizaan Ul Aitedaal
menr5_Page352
Scan Page : Lizaan Ul Mizaan
Lisan_Mizan_06_Page232 - Copy (2)
2 – Lais Ibn Abda Naql Karte Hai Ke Maine Imam Ibn Maeen  Rh. Ko Farmaate Huwe Suna Ke Mai Usse Khush Nahi Hu. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215)
Yaani Usse Riwayat se Mai Khush Nahi hai.
Scan Page :
kdra6_Page215 - Copy (2)
3 – Imam Ibn Kharaash Rh. Farmaate Hai Ke Wo Pasandida Nahi Hai. (Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Yaani Wo Is Darje ka Raavi nahi ke Usse Riwayat Kiya Jaaye.
Scan Page : Lizaan Ul Mizaan
Lisan_Mizan_06_Page232 - Copy
Scan Page : At-Tazyeel
التذييل علي كتب الجرح والتعديل_Page223 - Copy
4 – Ahmed Ibn Abi Yahiya Al Anmaati Rh. Kehte Hai Ke Wo Kazzab Hai. (At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Scan Page :
التذييل علي كتب الجرح والتعديل_Page223
5 – Imam Ibn A’adi Farmaate Hai Ke Uski Zyaada Riwayate Nahi Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)
Yeh Alfaaz  Ulama ke Nazdeek Jarah hai.
Scan Page :
kdra6_Page215 - Copy (3)
6 – Imam Zehbi Rh. Ne Unko Al Mughni Fil Zuaafa Me Shumaar Karke Zaeef Qaraar Diya Hai. (Al Mughni : Jild 2 : Safa 76, Raqm No 4729)
Scan Page :
02_1610_Page76
7 – Imam Ibn Qayyim Al Jawzi Rh. Ne Bhi Apni Kitaab Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Shumaar Kiya Hai. (Zuaafa Wal Matrookin : Jild 2 : Safa 233, Raqm No 2601)
Lehaaza Yeh Raavi Imam Ibn Qayyim Rh. ke Nazdeek Zaeef wa Matrook hai.
Scan Page :
dmga2_Page233
8 – Imam Ibn A’adi Rh. Ne Inko Apni Kaamil Fii Zuaafa  Ar-Rijaal Me Zikr Kiya Hai. (Al Kaamil : Jild 6 : Safa 215, Raqm No 1287)
Maloom huwa ke Unke Nazdeek bhi Yeh Raavi Zaeef hai.
Scan Page :
kdra6_Page215
9 – Isi Tarah Imam Zehbi Rh. Ne Apni Ek Aur Kitaab Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Naql Karke Zaeef Aur Matrook Qaraar Diya Hai. (Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin : Safa 307, Raqm No 3229)
Scan Page :
Dewaan e Zuaafa By Imam Zehbi Rh_Page307
10 – Imam Taqiuddin Al Maqreezi Rh. Ne Bhi Mukhtasar Al Kaamil Fil Zuaafa Me Unko Zikr Karke Zaeef Qaraar Diya Hai. (Mukhtasar Al Kaamil : Raqm No 1287, Egypt Edition)
Scan Page :
مختصر الكامل في الضعفاء 002_Page9
11 – Imam Haismi Rh. ne bhi Unhe Zaeef hai. (Majmu az Zawaaid : Jild 3 : Safa 178)
Scan Page :
03_73923_Page178
Algarz Yeh Riwayat Zaeef hai.
Aur Badi Ta-ajjud ki Baat hai Jis Jamaat ka dawa hai ke Hum Sirf Saheeh Hadeeso par Amal karte hai.
Dekhiye ! Wo Kis Tarah Apne Nazariye ko Saabit karne ke Liye Zaeef hadeeso se bhi Istedlaal Karte hai.
Yeh Mahez Dhokha aur Ta’assub hai.
Allah tala In Bimaariyo se Hume Mehfooz Rakhe…..Ameen.

MUJTAHIDEEN KE DARMIYAN USOOL W FURO ME IKHTILAF KI NOIYAT

Kashf Wa Karaamat Aur Khulfa e Raasheedin

Kashf Wa Karaamat Aur Khulfa e Raasheedin

Kashf Wa Karaamat Khulfa E Rasheedin Se Bhi Saabit Hai.

Kashf Aur Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. :

Imam Ghazali Rh. , Hazrat Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ka Ek Kashf Naql Karte Huwe Tehreer Karte Hai : Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ne Apni Wafaat Ke Waqt Apni Sahebzaadi Sayyida Hazrat Ayesha Rdh. Se Farmaaya Ke Mere Waaris Tumaare Alaawa Tumaare 2 Bhai Aur 2 Behne Hai (Halaanke Us Waqt Hazrat Ayesha Rdh. Ki Sirf Ek Bahen Hazrat Asma Rdh. Thi) Magar Hazrat Abu Bakr Rdh. Ki Hamal Se Thi Baad Me Unse Ladki Paida Huwi. Isse Maloom Huwa Ke Sayyidina Siddiq E Akbar Rdh. Ko Ba-Taur E Kashf Wa Karaamat Ke Zariye Pehle Hi Maloom Hogaya Tha Ke Bach-Chi Paida Hogi. (Ahya Ul Uloom Lil Ghazali : Jild 3 : Safa 23) Scan Page : 3_Page23 - Copy Sanad E Hind Imam Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Se Farmaaye : Jo Jaaidaad Maine Aapko Di Hai Agar Aap Ne Haasil Karliya Toh Theek Hai Warna Aap Ke Saat Aap Ke 2 Bhai Aur Behne Shareek Honge Yaani Sabko Miraas Me Milegi. Toh Hazrat Ayesha Siddiqa Rdh. Ne Farmaaya Ke Meri Bahen Toh Yahi Asma Hai Dusri Bahen Kaun Si Hai ? Toh Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ne Farmaaya Ke Mai Samjhta Hu Ke Bint E Khaarja (Siddiq E Akbar Ki Aahliya) Ko Ladki Ka Hamal Hai Aur Uske Pait Me Ladki Hai. Shah Wali Ullah Rh. Farmaate Hai Ke Siddiq E Akbar Rdh. Ki Wafaat Ke Baad Hazrat Ayesha Rdh. Ki Bahen Umme Kulsum Paida Huwi. Hazrat Shah Wali Ullah Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Par Istedlaal Kiya Hai , Chunaanche Unwaan Bandhkar Likhte Hai : Yeh Waqiya Hazrat Siddiq E Akbar Rdh. Ka Kashf Hai Ke Allah Tala Ne Chupi Huwi Baato Ko Unpar Zaahir Kardiya. (Ezaalatul Khafaa : Jild 3 : Safa 77) Aur Hazrat Abu Bakr Siddiq Rdh. Ka Yeh Waqiya , Imam E Darul Hijrah Imam Malik Rh. Ne Bhi Apni Muwatta Me Naql Kiya Hai. (Muwatta Imam Malik : Jild 2 : Safa 1089 , Safa 2783) Scan Page : mem2-5_Page1089

Kashf Aur Hazrat Umar Farooq Rdh. :

Hazrat Mulla Ali Qari Rh. Farmaate Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Ke Min Jumla (Total) Karaamaat Aur Kashf Me Se Wo Waqiya Bhi Hai Jisko Amr Ibn Haaris Rh. Ne Bayaan Kiya Hai , Ke Hazrat Umar Rdh. Ne Jume Ke Khutbe Ke Dauraan Achaanak Khutba Rok Kar Pukaara , Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto. (Mirqaat Ul Mafaateh : Jild 11 : Safa 205) Scan Page : mmsmm11_Page205 Imam Ghazali Rh. Bhi Is Waqiya Se Kashf Par Istedlaal Karte Huwe Farmaate Hai , Chunaanche Likhte Hai : Aur Hazrat Umar Rdh. Ne Darmiyaan E Khutbe Me Farmaaya Ke Aye Saariya Pahard Ki Taraf Palto Aur Yeh Baat Zaahir Hogayi Thi. (Ahya Ul Uloom : Jild 3 : Safa 23) Scan Page : 3_Page23 - Copy (2) Isi Tarah Imam Ibn Ul Qayyim Rh. Ne Is Waqiye Se Kashf Ke Saheeh Hone Par Istedlaal Farmaaya (Kitaab Ur Rooh : Safa 672)

Hazrat Umar Farooq Rdh. Ka Ek Aur Kashf :

Chand Log Qabile Mazhij Se Hazrat Umar Farooq Rdh. Ke Paas Aaye Unme Ashtar Nakh’ii Bhi Tha , Toh Aapne Ghaur Se (Usko) Upar Se Neeche Tak Dekha Aur Pucha Yeh Kaun Hai Toh Logo Ne Kaha , Yeh Maalik Bin Haaris Hai. Toh Hazrat Umar Rdh. Ne Farmaaya Ke Maalik Bin Haaris Ko Allah Tala Tabaah Kare Ke Mai Uski Wajeh Se Musalmaano Par Bahut Pareshaani Dekhta  Hu (Kyunke Yeh Qaatilaan E Usmaan Rdh. Ka Leader Tha). (Kitaabu Ur Rooh : 672) Scan Page : 118630s_Page675 (Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 - Copy Isse Maloom Huwa Ke Aainda Aane Waale Zamaane Me Runumaa Hone Waale Haadse Ke Bare Me Hazrat Umar Rdh. Ko Pehle Allah Tala Ne Ilhaam Aur Kashf Farmaaya Tab Hi Toh Inhone Khabar Di Jo Baad Me 100% Saheeh Saabit Huwi.

Kashf Aur Hazrat Usmaan Rdh. :

Imam Nawawi Rh. , Imam Ibn Ul Qayyim Rh. , Imam Qurtubi Rh. , Imam Ghazali Rh. Aur Imam Raazi Rh. Ne Hazrat Usmaan Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai : Hazrat Usmaan Rdh. Ke Paas Ek Aadmi Aaya Jiski Nigaah Raaste Me Kisi Aurat Par Pardgayi Thi Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya : Tumme Se Koi Ek Hamaari Taraf Aata Hai Aur Uske Aankho Me Zinaa Ka Asar Hai , Toh Us Aadmi Ne Kaha Ke Kya Rasoolullah Saw Ke Baad Bhi Wahi Aati Hai ,Toh Hazrat Usmaan Rdh. Ne Farmaaya Nahi Lekin Baseerat Aur Burhaan Aur Sach-Chi Firaasat Hai Yeh Waqiya Mamuli Ikhtelaaf E Lafzi Ke Saat Darj E Zail Kitaabo Me Maujood Hai : (Bustaan Ul Aarifeen : Safa 388) Scan Page : 71447_Page388 (Kitaab Ur Ruh : Safa 675) Scan Page : 118630s_Page671 (Ahya Ul Uloom Ud Deen : Jild 3 : Safa 23-24) Scan Page : 3_Page24 (Tafseer E Qurtubi : Jild 12 : Safa 236) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 - Copy - Copy (Tafseer E Kabeer Lir Raazi : Jild 21 : Safa 89) Scan Page : trazi21_Page89 - Copy Ghaur Farmaaye ! Hazrat Usmaan Rdh. Ko Kaise Pata Chalaa Ke Us Aadmi Ne Raaste Me Ghair Mehram Aurat Ko Dekha Hai , Agarche Dekhna Bilaa Iraada Ho. Hazrat Usmaan Rdh. Aalim Ul Ghaib Nahi The Balke Firaasat Ke Zariye Unpar Yeh Munkashif Hogayi.

Hazrat Ali Rdh. Aur Kashf :

Isi Tarah Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Ne Hazrat Ali Rdh. Ka Ek Waqiya Naql Kiya Hai Farmaate Hai Ke Harsama Bin Salma Rh. Farmaate Hai Ke Hum Hazrat Ali Rdh. Ke Humrah Safar Par Chale , Aap Rdh. Chalkar Karbala Tak Gaye Aur Daraqt Ke Paas Namaz Padhi Aur Waha Ki Zameen Ki Thodi Si Matti Utaayi Aur Usko Soong Kar Irshaad Farmaaya : Afsoos Hai Tujhpar , Aye Matti Ek Aisi Qaum Tujhpar Qatal Ki Jaayegi Jo Be-Ghair Hisaab Ke Jannat Me Jaayegi. Phir Raavi Aage Likhe Hai Ke Baad Me Maine Khud Dekha Ke Us Jagah Par Hazrat Hussain Rdh. Shaheed Kardiye Gaye. (Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 2 : Safa 348) Scan Page : 02_1511_Page348 Dekhiye ! Hazrat Ali Rdh. Ne Bahut Pehle Se Apne Hazrat Hussain Rdh. Ki Shahaadat Ki Jagah Bataayi Aur Wahi Unki Shahaadat Huwi. Toh Hazrat Ali Rdh. Kya Aalim Ul Ghaib The. Kya Hafiz Ibn Hajar Rh. Ne Aise Naql Karne Ki Wajeh Wo Aur Unki Kitaab Ghair Motabar Aur Shirk Ki Dawaat Deti Hai ? Mazeed Suniye ! Kashf Ke Waqiyaat Hazraat E Khulfa E Rasheedin Se Hi Manqool Nahi Balke Bahut Sahaba Rdh. Aur Taba-In Rhm. Se Saabit Hai. Imam Raazi Rh. Farmaate Hai : Tamaam Ke Unke Ahwaal Is Baab Me Bahut Hai. (Tafseer E Kabeer : Jild 21: Safa 75) Scan Page : trazi21_Page90 Aur Imam Qurtubi Rh. Likhte Hai Ke Aur Sahaba Rdh. Aur Taba-In E Izaam Rhm. Se Kaseer Ta’adaad Me Maujood Hai. (Tafseer E Qurtubi : Jild 5 : Safa 33) Scan Page : TfsirQrtby12_Page236 Imam Ibn Kaseer Rh. Tehreer Karte Hai Ke Aur Ahadees Aur Aasaar Is (Kashf Wa Karaamat Ke) Baab Me Bahut Hai. (Tafseer Ibn Kaseer : Jild 6 : Safa 229) Scan Page : tqa6_Page254 Khulaasa e Kalaam : Kashf Wa Karaamat Ke Mutaalliq Chand Dalaail Zikr Karne Ka Maqsad Yeh Hai Ke Kashf Zaahir Hona Koi Ilm E Ghaib Nahi Hai.