Ulama e Deoband (Hakeem ul Ummat Rh.) par Aiteraaz ( Huzur SAW ki Shaan me Gustaqi ka Ilzaam) Ka Jawaab.

Aiteraaz : Jaisa Ilm E Ghaib Rasoolullah SAW Ko Hai Aisa Ilm E Ghaib Toh Har Jaanwar Neez Bach-Che Aur Paagal Ko Haasil Hai.Isme Sarkaar Ki Kya Taqsees Hai.
Al-Jawaab : Yeh Ibaarat Hifz Ul Imaan Me Nahi Hai.Hifz Ul Imaan Ki Ibaarat Yeh Hai.
Phir Yeh Ke Aap Ki Zaat Muqaddasa Par Ilm Ghaib Ka Hukum Kiya Jaana Agar Ba-Qaul E Zaid Saheeh Ho Toh Daryaaft Taalib E Amr Yeh Hai Ke Is Ilm E Ghaib Se Muraad Baaz Ilm E Haib Hai Ya Kul Ghaib.
Agar Baaz Uloom E Ghaibiya Muraad Hai Toh Isme Huzur Saw Ki Kiya Taqsees Hai Aisa Ilm E Ghaib Toh Zaid , Balke Har Saibi Wa Majnoon Balke Jami Haiwaanaat Wa Behaaim Ke Liye Bhi Hassil Hai.
(Hifz Ul Imaan : 18)
Scan Page :
Hifz ul imaan.
Qiyaanat : Yaha Par Ahle Baatil Ne Yeh Alfaaz “ Jaisa Ilm E Ghaib Huzur SAW Ko Hai “ Apni Taraf Se Likh Kar Maulana Ashraf Ali Thanwi Sahaab Rh. Ki Ibaarat Ke Saat Jord Diya Hai Aur Apne Matlab Ke Mutaabiq Ibaarat Banaali Hai Aur Aiteraaz Kardiya Hai.
Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh. Ka Bilkul Saaf Matlab Hai.Isme Huzur SAW Ki Tauheen Qatan Nahi Hai.Nauzbillah Koi Musalmaan Apne Paighambar Ki Tauheen Nahi Karsakta.
Koi Badnaam Hi Karna Chahta Hai Toh Iska Koi Ilaaj Nahi Iska Faisla Qiyaamat Me Hoga.
Is Ibaarat Ka Aasaan Jawaab Bhi Tehreer Kiya Jaa Raha Hai.
Maulana Ashraf Ali Thanwi Rh. Se Sawaal Kiya Gaya Tha Ke Huzur Saw Ko Aalim Ul Ghaib Kaha Jaaye Ya Nahi , Maulana Ke Jawaab Ka Haasil Yeh Hai Ke Huzur Akram Saw Ko Allah Paak Ne Utna Uloom Farmaaye Hai Ke Kisi Ko Utna Uloom Aata Nahi Kiya Gaya Lekin Aalim Ul Ghaib Sirf Khuda Ki Zaat Hai Isliye Huzur Saw Ko Aalim Ul Ghaib Na Kaha Jaayega.
Iske Baad Tehreer Farmaaya Hai Ke Huzur Saw Ko Aalim Ul Ghaib Agar Is Wajeh Se Kaha Jaaye Ke Ghaib Ke Tamaam Uloom Aap Ko Aata Kardiye Gaye Hai Toh Yeh Waqiye Ke Khilaaf Hai.Bahut Se Aisi Baatein Hai Jo Huzur Saw Ko Nahi Bataayi Gayi Aur Na Bataane Me Bahut Si Hikmate Hai.
Aur Agar Is Wajeh Se Aalim Ul Ghaib Kaha Jaaye Ke Baaz Baatein Maloom Hai Khuwa Khuwa Baaz Baatein Itni Hi Ho Jitni Kisi Ko Nahi Maloom Toh Baaz Baatein Maloom Hone Me Huzur Saw Ki Taqsees(Qususiyat) Baaqi Nahi Rehti Kyunke Baaz Baatein Toh Kuch Na Kuch Bach-Cho Ko Aur Jaanwaro Tak Ko Maloom Hoti Hai , Jinko Aqal Nahi Hai. Un Tak Ko Maloom Hojaati Hai Toh Kya Un Sab Ko Aalim Ul Ghaib Kaha Jaayega.
Saail ( Sawaal Karne Waalo) Ko Samjha Ne Ke Liye Yeh Misaale Hai Nazubillah Kahi Bhi Yeh Baat Nahi Likhi Hai Ke Jaisa Ilm E Ghaib Huzur Saw Ko hai Aisa Ilm E Ghaib Toh Zaid ‘Amr’ Wa Bakr Balke Har Sabi (Bach-cha) Wa Majnoon Ko Hai Yeh Ibaarat Ahle Baatil Ne Apni Taraf Se Likhi Hai.