Ulama e Deoband (Hazrat Qaasim Nanotwi Rh.) Par Aiteraaz (Khatme Nabuwwat ke Inkaar ka ilzaam) Ka Jawaab

Ahle Baatil (Bralwi , Munkrine Fiqa Wagaira ) Qususan Ghair Maslak ke Ghair Muqallid Aalim Zubair Ali Zai (aur Degar ) ne Bani e Darul-Uloom Deoband Hujjat ul Islaam Hazrat Maulana Qasim Nanotwi Rh. ke Bare me Yeh Shuba Paida Karne ki koshish ki hai ke Aap Rh. Khatme Nabuwat ke Mutalliq Aqeeda Saheeh Nahi hai. (Nauzbillah )
Chunaanche Likha hai ke Hazrat Qaasim Rh. ne Likha hai ke “ Balke Agar Bilfarz Baad e Zamaana e Nabawi SAW  Sal-im Koi bhi Nabi Paida ho toh Phir bhi Khatmiiyat e Muhammedi me Kuch Farq na Aayega “. (Tahzeer un Naas : Safa 34 )

 Al-Jawaab : Maulana Qasim Sahaab Rh. Ki Ibaarat Is Tarah Hai :
Al Gharz Kamaalaat E Zawil  Uqool ( Aql Rakhne waale ) Kul 2 Kamaalo Me hi Munhasir(Maujood)  Hai , Ek Kamaal E Ilmi Dusra Kamaal Amali Aur Binaaye Madah(Taareef ki bunyaad)  Kul Inhi 2 Baato Par Hai.Chunaache Kalaam Ullah Me 4 Firqo Ki Taareef Ki Hai.
  1. Nabiyeen (Ambiyaa)
  2. Siddiqeen.
  3. Shuhadaa.
  4. Saleheen.


Jinme Se Ambiyaa Aur Siddiqeen Ka Kamaal Toh Kamaal E Ilmi Hai Aur Shuhadaa Aur Saleheen Ka Kamaal Kamaal E Amli Hai Aur Ambiyaa Ko Toh Mambni Ul Uloom Aur Faa-Il Aur Siddiqeen Ko Mama ul uloom Aur Qaabil Samjhe.
Aur Shuhadaa Ko Mambni Aml Aur Faa-Il Aur Saleheen Ko Majma Ul Aml Aur Qaabil E Khiyaal Farmaaye.Daleel Is Dawa Ki Yeh Hai Ke Ambiyaa Apni Ummat Me Jo Mumtaaz Hote Hai Wo Uloom Hi Me Mumtaaz Hote Hai.
Baaqi Raha Amal Is Me Basa Auqaat Ba-Zahir Ummati Masaawi(Baraabar)  Hojaata Hai Balke Bard Jaate Hai.
Qiyaanat : Ahle Baatil Ne Hazrat Rh. Ke Alfaaz “Basa Auqaat Ba-Zahir “ Hazaf Karliye (Chupa Liya) Taake Logo Me Ulama E Haq Se Bughz Aur Kina Bhare.
Scan Page :
Tahzeer un Naas
Wazaahat : Is Ibaarat Ka Matlab Bilkul Waazeh Hai Magar Jisko  Aiteraaz Hi Karna Hai Aur Ilzaam Lagaana Hai Unko Kaun Rok Sakta Hai.Matlab Yeh Hai Ke Ambiyaa AS Ko Allah Paak Jo Uloom Aata Farmaate Hai Isme Koi Ummati Shareek Nahi  Aisa Ilm Kisi Ummati Ko Haasil Nahi Hota.Albatta Amaal Me Basa Auqaat Ba-Zahir Shirkat Hosakti Balke Ba-Zahir Kabhi Kisi Ummati Ka Koi Amal Amal E Nabi Kea Mal Se Dekhne Me Zyaada Maloom Hota Hai.
Masalan Hamare Pyaare Nabi SAW Ne 1 Hajj Kiya Hai Aur Aaj Ke Zamaane Me Kai Ummati Hai Jinhone Ek Se Zyaada Hajj Kiye Hai.
Hamare Nabi SAW Ne Nabuwat Milne Ke Baad 23 Saal Namaz Aada Ki Hai Lekin Aap SAW Ki Ummat Me Kitne Aise Ummati  Hai Jinko 100 Saal Umr Aata Huwi Hai Aur Unhone 100 Saal Ki Namaze Aada Ki.
Ab Zaahir Hai Ke Is Muddat Me Unki Namaz Ki Tadaad Huzur SAW Ki Namaz Ki Tada’ad Se Bad Jayegi.
Aap Hazraat Hi Faisla Kare Ke Is Me Aiteraaz Ki Kya Baat ?
Aqeeda : Hamara Aqeeda Hai Ke “ Amal Me Aap SAW Ke Baraabar Toh Koi Kya Hoga Qareeb Bhi Aap Ke Koi Nahi Balke Dur Aur Usse Bhi Dur Tak Bhi Koi Nahi Pahuch Sakta “


Iska Jawaab  Khud Hazrat Nanotwi Rh. se Hi Mulaheza Farmaaye :
Khaatmiyat e Zamaani Apna Deen wa Imaan hai na haq ki tohmat  ka albatta kuch ilaaj nahi so agar aisi baatein jayez ho toh hamare muh me bhi zubaan hai is tohmat ke jawaab me hum aap par aur aap ke ahle millat par 1000 tohmate lagaasakte hai. (Munazera e Ajeebah : 39)
Scan Page : 
Munazra Ajeebah_Page30
Aage Tehreer Karte hai ke “ Hazrat Khatim ul Mursaleen ki Khatmiyat e Zubaani toh Sabke Nazdeek Musallim(Saabit)  hai aur yeh bhi sabke nazdeek musalllim hai ke aap Awwal ul Maqluqaat hai.
(Munazera e Ajeebah : 3)
Scan Page :
Munazra Ajeebah_Page6
Haa yeh Musallim hai ki Khaatmiyat e Zubaani Ijmaai e Aqeeda hai. (Munazera e Ajeebah : 69)
Aage Likhte hai : ke Nabiyo ki Nabuwwat Par Imaan Hai Par Rasoolullah ke Baraabar Kisi ko Nahi Samajhta. (Munazera e Ajeebah : 50 )
Scan Page :
Munazra Ajeebah_Page37
Hazrat Muhammed Qaasim Nanotwi Rh. Khat me Nabuwwat par apna Aqeeda bayaan karte huwe farmaate hai:
Apne Deen wa Imaan Hai , Baad e Rasoolullah SAW kisi aur Nabi ke Hone ka Ahtemaal Nahi Jo Isme Koi Taweel Kare Usko Kaafir Samjhta hu. (Munazera e Ajeebah : 103 )
Scan Page :
Munazra Ajeebah_Page74
Khatme Nabuwwat ke Mutalliq Ulama e Deoband Ka Aqeeda :
1. Hamare aur Hamare Mashaikh ka Aqeeda Yeh hai ke Sardaar wa Aqaa aur Pyaare Shaafii Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Khaatimun Nabiyyeen Hai. Aapke Baad Koi Nabi Nahi hai ( Al Muhannad Alal Mufannad : Safa 50 )
Scan Page :
Al Muhannad Alal Mufannad & Aqaid Ahlus Sunnah wal Jamaah By SHEIKH KHALEEL AHMAD SAHARANPURI (R.A) & SHEIKH ABDUSH SHAKOOR LAKHNAVI (RA)_Page50
2. Anhazrat SAW Allah Tala ke Akhri Nabi Hai. Aap SAW ke baad Aalam e Dunya me Kisi Bhi Qism ki Jadeed Nabuwwat Ke Jaari  Rehne ka Aqeeda Rakhna Kufr Hai.
( Aqaid e Ahle Sunnat Wal Jamaat : 6 )
Scan Page :.
Aqaid Ahle Sunnat_Page11
Pas In Sab ibaarat se Wazeh Hogaya Ke Ulama e Deoband aur Hazrat Nanotwi Rh. BESHAK Khatme Nabuwwat ke Qaayil Hai.
Aur Jo Log Aisa Baatil Propaganda Karte hai Unko Sharm Aani Chahiye.
Allah Tala se Dua Hai ke Allah Tala Hume Siraat e Mustaqim Par chalne ki taufeeq de aur akabir e deoband ke darjaat me chaar chand lagaade.
Ameen.