Ulama e Deoband (Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh.) Par Aiteraaz ( Allah Tala ki Taraf Jhoot ki Nisbat ka ilzaam) Ka Jawaab

Ahle Baatil Aur Unke Ulama Yeh Propaganda Karte Ke Mufti Maulana Rasheed Ahmed Gangohi Rh. Ne Fatwa Diya Hai Ke Allah Jhoot Bolsakta Hai (Nauzbillaahi Min Zaalik)???
Al Jawaab : Ulama E Deoband Par Yeh Sarheeh  Bohtaan Hai Unki Koi Ek Tehreer Bhi Aisi Nahi Pesh Ki Jaa Sakti Jisme Yeh Baat Kahi Gayi Ho Ke Khuda Jhoot Bolsakta Hai.
Is Silsile Me Ulama E Deoband (Mufti Rasheed Ahmed Gangohi Rh.) Ka Waazeh Fatwa Darj E Zail Hai.
Scan Page :
Fatawa-e-RasheedyahByShaykhMuftiRasheedAhmadGangohira_Page1
Sawaal : Kya Farmaate Hai Ulama E Deen Is Masle Me Ke Zaat E Baari Tala Azzaismuhu  Mausoofu Bisifatul Kizb (Zaat Tala Milsakti Hai Jhoot Ki Sifat Se Ya Nahi) Aur Khuda Tala Jhoot Bolta Hai Ya Nahi ???Aur Jo Shaks Ne Allah Tala Ko Yeh Samjha Ke Wo Jhoot Bolta Hai Wo Kaisa Hai ?????
Al Jawaab  : Zaat E Paak Haq Tala Jalle Jala-Lahu Ki Paak Wa Munazza Hai Usse Muttasif Bisifatul Kizb Kiya Jaaye. Maaz Allah Tala Uske Kalaam Me Harghiz Harghiz Shaiba (Bahut Buland Ho) Kzab(Jhoot) Nahi Hai.
Jo Shaks Haq Tala Ki Nisbat Yeh Aqeeda Rakhe Ya Zubaan Se Kahe Wo Harghiz Momin Nahi Hai Wo Qata-An Kaafir Hai , Maloon Hai Aur Muqaalif Quraan Aur Hadees Aur Ijma E Ummat Ka Hai.’Wo Har Ghiz Momin Nahi.
Albatta Yeh Aqeeda Ahle Imaan Ka Sab Ka Hai Ke Khuda Tala Ne Misl Firaun , Haamaan , Ube Bin Ka’ab Ko Quraan Me Jahannumi Hone Ka Irshaad Farmaaya Hai Wo  Hukm E Qatii Hai Uske Khilaaf Harghiz Harghiz Na Karega.Magar Wo Allah Qaadir Hai Is Baat Par Ke Unko Jannat De Deve , Aajiz Nahi Hogaya Qaadir Hai Agar Che Aisa Apne Ikhtiyaar Se Nahi Karega.
Allah Tala Ka Irshaad Hai :
وَلَوْ شِئْنَا لَآَتَيْنَا كُلَّ نَفْسٍ هُدَاهَا وَلَكِنْ حَقَّ الْقَوْلُ مِنِّي لَأَمْلَأَنَّ جَهَنَّمَ مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ     
(Sureh Sajda : 13)
Is Ayaat Se Waazeh Hai Ke Agar Khuda Tala Chaahta Sabko Momin Kardeta Magar Jo Farmachuka Uske Khilaaf Nahi Karega Aur Yeh Sab Ikhtiyaar Se Hai Istaraar(Be-Ikhtiyaari) Se Nahi.
Is Aayaat Ki Rooshni Me Hum Musalmaano Ka Yeh Aqeeda Hai Ke Allah Tala Apne Kiye Gaye Faislo Ke Tabdeel Farmaane Par Qaadir Hai Agar Chew O Faislo Ko Badalte Nahi. (Aqaid E Ahle Sunnat Wal Jamaat : 9)
Scan Page :
Aqaid Ahle Sunnat_Page1
Aur Agar Koi Baatil Parast Yeh Aqeeda Rakhta Ho Ke Allah Tala Faislo Ke Badalne Par Qudrat Nahi Rakhta Toh Usko Chahiye Ki Apni Tauheed Ki Khushiya Manaaye Ke Kyunke Yeh Aqeeda Musalmaano Ka Nahi Hai.
Algarz Is Ibaarat Me Aisa Kuch Bhi Likha Huwa Nahi (Jaisa Ke Ahle Baatil (Ghair Muqallideen , Razakhani Wagaira) Ka Daawa Hai) Balke Iske Bar-aks