Fazail e Amaal par Waswasa Part 5 (Hazrat Abdul Aziz Dab-baagh Rh. ka Waqiye) ka Jawaab
Aiteraaz : Tausuf ur Rehman Sahaab ne Shaik Abdul Aziz Dab-baagh ka Waqiya par Aiteraaz kiya ke Ulama e Deoband ka Aqeeda hai ke Unke Peero ko bhi Ilm e Ghaib hai.(Nauzbillah)
Ek Dhoka : Tausuf Sahaab Ne Kaha Hai Ke
Lekin Jab Unke (Shaik Abdul Aziz Dab-baagh) Koi Quraan Padhta , Hadees E Rasool Bayaan Karta , Hadees E Qudsi Bayaan Karta , Jhooti Baat Bayaan Karta Toh Fauran Kehdete Ke
TUNE QURAAN KI AAYAT PADHI , TUNE HADEES E QUDSI PADHI , TUNE RASOOL KI HADEES PADHI AUR TUNE JHOOT BOLA , MUJHE TUMHAARE BOLNE SE PATA LAGJAATA HAI , NOOR NIKALTA HAI.
Dekhiye Tausuf Sahaab Ki Video Clip Fazail E Amaal Ki Haqiqat : 17 : 50
Jabke Qatan Aisi Ibaarat Fazail E Amaal Me Maujood Nahi Hai :
Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaane Se Pehle , Kuch Hadees Mulaaheza Farmaaye Jo Ke Khud Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ne Fazail E Amaal Ke Fazail E Zikr Me Naql Ki Hai :
Hazrat Abu Hurairah Rdh. Aur Hazrat Abu Saeed Khudri Rdh. Dono Hazraat Is Baat Ki Gawaahi Dete Hai Ke Nabi E Karim SAW Ne Irshaad Farmaaya : Jo Jamaat Allah Tala Ka Zikr Me Mashool Ho Farishte Us Jamaat Ko Ghair Lete Hai , Rehmat Unko Dhaap Leti Hai , Sakeena Unpar Naazil Hota Hai Aur Allah Tala Unka Tazkirah Farishto Ki Majaalis Me Farmaate Hai.
(Saheeh Muslim : Raqm No 6855)
Scan Page :
Hazrat Abu Darda Rdh. Riwayat Karte Hai Ke Rasoolullah SAW Ne Irshaad Farmaaya : Qiyaamat Ke Din Allah Tala Baaz Logo Ka Hashr Is Tarah Farmaayege Ke Unke Chehro Par Nur Chamta Huwa Hoga , Wo Motiyo Ke Mimbero Par Hoge.Log Unpar Rashk Karte Hoge.Wo Ambiyaa Aur Aur Shuhaada Nahi Hoge.
Ek Dihaat Ke Rehne Waale (Sahabi Rdh) Ne Ghutno Ke Bal Baith Kar Arz Kiya : Ya Rasoolullah SAW ! Unka Haal Bayaan Kijiye Ke Hum Unko Pehchaan Le.
Nabi E Karim SAW Ne Irshaad Farmaay : Wo Log Hoga Jo Allah Tala Ke Muhabbat Me Mukhtalif Khandaano Se Mukhtalif Jango Se Aakar Ek Jagah Aakar Jama’a Hoge Aur Allah Tala Ke Zikr Me Mashool Hoge. (Majmua Az Zawaid : Jild 10 : Safa 57 , 16770)
Scan Page :
Is Riwayat Ko Naql Karne Ke Baad Imam Haismi Rh. Farmaate Hai Ke Iski Sanad Hasan Hai.
Ek aur hadees me waarid hai ke jis ghar me allah ka zikr kiya jaata ho wo aasmaan waalo ke liye aisa chamakta hai jaise zameen waalo ke liye sitaare chamakte hai.
Wazaahat : Gharz in tamaam ahadees se maloom hota hai ke Allah tala ke zikr ka noor maujood hota hai aur sakeena naazil hoti hai.
Balke Saheeh Bukhari me Riwayat hai ke
Hazrat Baraa Bin Aazib Rdh. Farmaate hai ke ek shaks suratul kahf ki tilaawat kar raha tha , Uske paas ek Ghoda (horse) tha jo bandha huwa tha. Us ghode ko ek badal ne dhaab liya.Jab usko Badal ne Dhaaba Toh Ghode ne Bidakna Shuru kardiya.
Jab Subah huwi toh wo shaks nabi e karim SAW ki khidmat me haazir huwa aur Yeh Waqia Nabi e Karim SAW ki Khidmat me Arz kiya.
Yeh wo Sakeena aur Allah ki Khaas Rehmat hai jo Quraan e Karim ki Tilaawat ke waqt Naazil huwi.(Saheeh Bukhari : Hadees no 5011)
In Tamaam Ahadees se maloom huwa ke Allah ke Zikr se Sakeena Naazil hoti hai aur Uske Kalaam ka noor hota hai.
Aur Yeh Noor Allah kisi ko dekha de yeh uski marzi par hai.
Ab Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
Shaik Abdul Aziz Dabaagh Abhi Qareeb Hi Zamaane Me Buzurg Guzre Hai Jo Bikul Ummi Thi Magar Quraan E Shareef Ki Aayat , Hadees E Qudsi , Hadees E Nabawi Aur Mauzi Hadees Ko Alaaheda Alaaheda Bataadete The Aur Kehte The Ke Mutakallim Ki Zubaan Se Jab Lafz Nikalte Hai Toh Un Alfaaz Ke Anwaar Se Maloom Hojaata Hai Ke Kis Ka Kalaam Hai Ke Allah Paak Ke Kalaam Ka Not Alaahida Hai Aur Huzur SAW Ke Kalaam Ka Noor Dusra Hai Aur Dusra Kaamo Me Dono Noor Nahi Hote The.
(Fazail E Amaal : Jild 1 : Fazail E Zikr : Safa 335)
Dekhiye ! Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ne Pehle Ahadees Naql Ki Hai Aur Uske Zail Me Is Waqie Ko Zikr Kiya. Aur Is Tarteeb Se Padhne Par Koi Ishkaal Paida Nahi Huwa Lekin Ghair Muqallid Tausuf Ur Sahaab Ne In Un Hadees Ko Chupaaya Aur Naql Na Kiya Taake Logo Me Is Waqiye Ki Ghalat Ta’aweel Ki Aur Khaa-Ma-Kha Hazrat Abdul Aziz Dabaagh Rh. Aur Hazrat Shaik Ul Hadees Rh. Ki Zaat Par Hamla Kiya Jo Ke Intehaai Parle Darje Ki Himaaqat Aur Jahalat Hai.
Mumkin ho ke Koi Yaha Kahe ke Quran ka noor Hazrat Abdul Azizi Rh. Ko Kaise Dikhaayi diya.
Toh Jawaab Arz Hai Ke Yeh Unke Upar Kashf ke Zariye se Zaahir Kiya Gaya hai.
Jo Ke Quran Se Saabit Hai.
Aur Kashf aur Ilm e Ghaib ko Ek Bataana Apne Jehalaat ka Saboot Dena hai.
Kyunke Kashf aur Cheez hai aur Karamat aur hai…Jaisa ke Humne Wazaahat kardi hai.
Sawaal no 1 :
Mashoor Ghair Muqallid Aalim Abdul Majeed Sohadrawi Sahaab Qazi Muhammed Sulaiman Mansoorpuri Ghair Muqallid Ka Waqia Bayaan Karte Huwe Likhte Hai Ke
Hazrat Qazi Sahaab Jab Bhi Lahore Tashreef Laate Toh Maal Road Par Hayaat Brothers Ke Ha Qiyaam Farmaaya Karte The Fazl Kareem Bin Haaji Hayaat Muhammed Maalik Khurram Ka Bayaan Hai Ke Jis Makaan Par Tehra Karte The Uske Qareeb Ek Khanqah Thi Jo Ujdi Huwi Thi.
Ek Din Aapne Mujh Se Pucha Ke Kya Yaha Koi Qabar Hai Maine Arz Kiya “Ji Ha “
Aap Ne Kaha Aaj Raat Khaab Me Hume Wo Buzurg Mile Aur Kaha Ke Qazi Ji Aap Itni Baar Yaha Tashreef Laaye Magar Hume Ek Baar Bhi Nahi Mile.
Qazi Sahaab Ne Yeh Bhi Farmaaya Wo Bahut Naik Aur Saaleh Aadmi The Falah Jagah Ke Rehne Waale The.Edhar Se Guzar Rahe The Ke Inteqaal Hogaya.
Miya Fazl Kareem Kehte Hai Ke Uske Baad Jab Maine Uski Tehqeeq Ki Toh Wo Baatein Waisi Hi Saabit Huwe Jo Qazi Sahaab Ne Bayaan Farmaayi Thi Yaha Tak Ke Unka Naam Aur Pata Bhi Qazi Sahaab Ne Bata Diya Tha. (Karaamaat E Ahlehadees : Safa 83-84)
Scan Page :
Ghaur Farmaaye ! Qazi Sahaab ko Kaise Maloom huwa ke Us Marne Waale ka Naam , Pata aur Uska Kirdaar.
Mazeed Us Marhoom ko yeh Kaise Maloom huwe ke Qazi Sahaab Us Raaste se Kai Baar Guzre hai.
Tausif ur Rehman Sahaab ! Ab Kholiye Zubaan Apne Akaabir par.
Sawaal no 2 :
Imam Ibn Qayyim Rh. Farmaate Hai Ke :
Jab Imam Ibn Taimiya Rh. Ke Khilaaf Pure Mahool Ko Garam Kardiya Gaya Aur Aap Rh. Ko Shaheed Karne Ke Iraade Se Misr Bulaaya Gaya , Toh Muta’alliqeen Aur Muta’allimeen Aap Ko Rukhsat Karne Ke Liye Ikhatte Huwe Aur Arz Kiya : Musalsal Khutoot Aarahe Hai Ke Puri Qaum Aap Rh. Ke Qatal Ke Darpe Hai , Aap Rh. Ne Farmaaya :
“ALLAH KI QASAM WO MUJHE KABHI QATAL NAHI KARSAKGE”.
Logo Ne Pucha : Toh Kya Aap Rh. Qaid Karliye Jaayege ? Aap Rh. Ne Jawaab Diya : Ha ! Aur Mera Qaid Ka Zamaana Taweel Hoga , Phir Mai Reha Hojaoga Aur Alal Aailaan Puri Jurat Ke Saat Quran Wa Hades Ki Ta’alimaat Pesh Karunga.
Imam Ibn Qayyim Rh. Farmaate Hai Ke Maine Apne Kaano Se Aap Rh. Ke Yeh Alfaaz Sune.
(Madaarijus Salekeen Li Ibn Ul Qayyim : Jild 2 : Safa 458)
Scan Page :
Aur Taarekh Gawaah Ke Jaisa Ibn Taimiyah Rh. Ne Kaha Waisa hi huwa ke Aap Qaid Karliya aur Phir Aap Quran wa hades ki ta’alimaat ko pesh kiya.
Ab Tausif Sahaab ! Sawaal yeh hai ke Imam Ibn Taimiya Rh. Ka kehna ke
“ALLAH KI QASAM WO MUJHE KABHI QATAL NAHI KARSAKGE”.
Aur aage jo inhone baatein bayaan ki hai.
yeh unhe kaise maloom huwi.
Ba-qaul e aapke Kya yeh ilm e ghaib nahi hai ?? balke Kitna Pakka Ilm e Ghaib hai ke Allah ki Qasam Khaa kar Kehrahe hai ke Mujhe Kabhi Qatal nahi Karsakte.
Aur jo Jumle Aapne Kaha ke “ Fazail e Amaal ki Dusri Badi Gumrahi Ilm e ghaib Jo Allah Akele ki Sift hai , Yeh Ilm e ghaib Hamaare Peero ko bhi hai”.
Tausif Sahaab , Agar Aap Haq ke Numainde hai Toh Saudiya ki Sar-Zameen par Baith Kar Yeh Fatwa Lagao ke Ibn ul Qayyim Rh. Ki Kitaab MADAARIJUS SALEKEEN par , ke Is Kitaab ne Ummat ko Ta’aleem Di ke Hamaare Peero ko bhi Ilm e ghaib hai.