Imam Abu Hanifah (Rh.) Par Imam Nasai (Rh.) Ki Jarah Ka Jawaab.

Imam e Azam Abu Hanifah (Rh.) Par Imam Nasai (Rh.) Ki Jarah Ka Jawaab : 

Imam Nasai Rh. Ki Is Jarah Ke  Mutalliq Alama Hussain Al Sad Seer Alam Ul Nubala Ke Muhaqiq Likhte Hai :
Aur Imam Nasai Rh. Aur Ibn A’adi Rh. Se Hafz Ke Aitebaar Se Jo Imam Abu Hanifa Rh. Ki Ta’azeef Manqool Hai , Pas Wo Mardood Hai , Ima Jarah Wa Ta’adeel Ali Bin Madeeni Rh. , Yahiya Bin Maeen Rh. , Shoba , Israel , Yahiya Bin Aadam , Ibn Dawud Aur Hasan Bin Saleh Wagaira Ahem Ki Tauseeq Ki Muqaable Me Iska Koi Aitebaar Nahi Hai. Yeh Tamaam Ke Tamaam Abu Hanifa Rh. ke Mu-aasir Ya Unse Qareeb Hai Aur Yeh Tamaam Log Nasai Aur Ibn A’adi Se Kahi Zyaada Imam Abu Hanifa Rh. Se Waaqif The.
(Tehqeeq Seer Alamul Nubula : Jild 2 : Safa 392)
Imam Abu Hanifah (Rah) Siqah (Qaqbil E Aitemad) Hain.
Muhammad Ibn Saad Alawfi Farmate Hain Ke  Mai Ne Ibn Maeen (Rah) Ko Farmate Huwe Suna Ke Imam Abu Hanifah (Rah) Siqah (Qaqbil E Aitemad) Hain, Wo Jis Hadees Ko Mahfooz Kiye Wahi Hadees Bayan Karte Hain Aur Jis Ko Mahfooz Nahi Kiye Us Ko Bayan Nahi Karte.
Saleh Bin Muhammad Alasadi Ibn Maeen (Rah) Se Rivayat Karte Hain Ke Imam Abu Haifah (Rah) Hadees Me Siqah (Qaqbil E Aitemad) Hain.
Ibn Muharriz Ibn Maeen (Rah) Se Rivayat Karte Hain Ke Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Hadees Me Koi Kamzoori Nahi Hai, Aur Farmaya Ke Imam Abu Hanifah (Rah) Hamare Nazdeek Sachchon Me Se Hain Un Ko Jhoot Ke Sath Muttahm Nahi Kiya Jaasakta , Aur Ibn Hubaira Ne Qazi Banana Chaha ,Tu Unhone Qazi Banne Se Inkar Kar Diya.
Abu Wahab Muhammad Bin Muzahim Farmate Hain Ke Mai Ne Abdullah bin Mubarak (Rah) Ko Farmaate Huwe Suna Ke Logon Me Sab Se Bade Faqeeh Imam Abu Hanifah (Rah) Hain Mai Ne Un Ki Tarah Koi Faqeeh Nahi Dekha , Aur Farmate Ke Agar Allah (Swa) Imam Abu Hanifah (Rah) Sufiyan (Rah) Ke Zaria Meri Madad Na Karta Tu Mai Aam Logon Ki Tarah Hota.
Ibn Abi Khaisama Farmate Hain Ke Humse Sulaiman Ibn Abi Shaik Ne Bayan Kiya Ke Imam Abu Hanifah (Rah) Muttaqi Aur Sakhi Aadmi Hain.
Ibn Isa Ibn Tabba Rivayat Karte Hain Ke Mai Ne Rwh Ibn Ubadah Ko Farmate Huwe Suna Ke Wo Ibn Juraij Ke Pas The 150hj Me Us Waqt Un Ke Pas Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Inteqal Ki Khabar Pahubchi, Tu Unhone Innalillah Padha Aur Gham Ka Izhar Kiya, Aur Farmaya Bahot Bada Ilm Chalagaya , Aur Usi Sal Ibn Juraij Ka Bhi Inteqal Hoga.
Yahya Ibn Maeen (Rah)Farmate Hain Ke Mai Ne Yahya Bin Sayeed Qattan (Rah) Farmate Huwe Suna Allah Ki Qasam Hum Ne Imam Abu Hanifah (Rah) Se Behtar Kisi Ki Raiye Nahi Suna Aur Hum Un Ke Aksar Aqwal Par Amal Karte Hain.
Rabee Aur Harmalah Farmate Hain Ke Hum Ne Imam Shafae (Rah) Ko Farmate Huwe Suna Ke Log Fiqah Me Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Bachchon Ki Tarah Hain.
1. (Tahzeeb At Tahzeeb Vol 4 Page No:229,230)
Scan Page :
Tehzeeb ut Tehzeeb
2) Tahzeeb Al Kamaal Vol 29 Page No:424
Scan Page :
Tehzeeb ul Kamaal
3) Tareekh E Baghdad Vol 15 Page No: 580,581.
 Scan Page :
Taarekh e Baghdad
4) Tareekh E Kabeer Lil Bukhari Vol 8 Pg No : 81
Scan Page :
tareekh e kabir vol 8 p 81_Page1
Aur Jo Scan Ghair Muqallideen ne Dalaah Hai  Ussi  Page par Arabic Me Likha Hai(Black Colour in Scan Page)  Sabaqat Taleeq Yani Is Ke Mutalliq Hum Ne Peeche Zikar Kiya Hai,
Scan Page : 
1
Aur Wo Isi Kitab Ke Page No: 240,241 Me Serial No(586) Me Maujood Hai Ke “ Aur Khak Mizan Me Imam Nasae Ibn Adi Waghairah Ka Zaeef Kahna Aur Un Ke Halat Mizan Me Ek Zanni(Zahni) Baat Hai ,
Aur Tahqeeqi Baat Ye Hai Ke Imam Zahabi Ne Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Halat Ko Tazkirah (Kitab) Me Zikar Kiya Aur Un Ke Hadees Ke Muaamle Ko Mazboot Qarar Diya Hai ,Aur Hazrat Ata(Rah) Se Abu Ishaq(Rah) Tak Imam Abu Hanifah(Rah) Ke Asateza Ka Zikar Kiya Hai ,Aur Farmaya Ke Imam Abu Hanifah(Rah) Ne Kai Martaba Hazrat Anas Bin Malik (Raz) Ka Didar Kiya Hai Jab Wo Un Ke Pas Kofah Aaye,  Ibn Maeen (Rah) Farmate Hai Ke Imam Abu Hanifah (Rah) Siqah (Qaqbil E Aitemad) Hain, Wo Jis Hadees Ko Mahfooz Kiye Wahi Hadees Bayan Karte Hain Aur Jis Ko Mahfooz Nahi Kiye Us Ko Bayan Nahi Karte, Aur Ibn Mubarak (Rah) Farmate Hai Ke Mai Ne Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Jaysa Kisi Ko Faqeeh Nahi Dekha,
Scan Page :
Kitaab ul Zu-aafa
Aur Makki Ibn Ibrahim (Rah) Farmate Hain Ke Imam Abu Hanifah(Rah) Apne Zamane Me Sab Se Ziyada Janne Wale The Aur Mai Ne Kofion Me Un Se Ziyada Muttaqi Nahi Dekha, Imam Shafae (Rah)  Farmate Hain  Ke Log Fiqah Me Imam Abu Hanifah (Rah) Ke Bachchon Ki Tarah Hain, Yazid Ibn Haroon Se Sawal Kiya Gaya Hai  ,
Dono Me Kaun Bade Faqi Hai Abu Hanifa Ya Sufiyan Toh Inhone Kaha Sufiyan Hadees Ke Bade Hafiz Hai Aur Abu Hanifa Rh. Bade Faqi Hai , Aur Abuhanifa Rh. Ko Qaza-At (Qazi Banne ) Par Majboor Kiya Gaya Toh Inhone Qazi Banne Se Inkaar Kardiya Aur Wo Bahut Kasrat Se Roza Rakhne Waale Shab Guzaar The.
Yahya Ibn Maeen (Rah)Farmate Hain Ke Mai Ne Yahya Bin Sayeed Qattan (Rah) Farmate Huwe Suna Allah Ki Qasam Hum Ne Imam Abu Hanifah (Rah) Se Behtar Kisi Ki Rae Nahi Suna Aur Hum Un Ke Aksar Aqwal Par Amal Karte Hain.
Tehzeeb Ul Kamaal Me Ibn Maeen Ke Qaul Me Itna Izaafa Hai , (Yahiya Bin Saeed) Qattan Rh. Kufi-een Ke Aqwal Me Se Kisi Ke Qaul Ko Ikhtiyaar Karte The.Abu Dauwd Rh. Farmaate Hai Ke Abu Hanifa Rh. Imaam The.
Aur Barhaal Jo Baat Kahi Gayi Ke Imam Abu Hanifa Rh. Murji The Toh Yeh Lambi Bahez Hai Hamari Is Kitaab Ke Likhne Ke Tariqe Se Wo Bahez Alag Hai Yaha Par Itna Kehde Hamare Liye Kaafi Hai Ke Yaqinan Murjiya Me Do Firqe Hai Ek Gumraah Murjiya Aur Ahle Sunnat Murjiya Aur Abu Hanifa Rh. Unke Shargird Aur Unke Asteza Wagaira Qaabil E Aitemaad Raaviyo Me Se Hai Aur Ahle Sunnat Murjiya Me Shumaar Kiye Gaye Hai Na Ke Gumrah Murjiya Me.
Wallahu Aalaam.
Wazahat : Is Tehqeeq Se Yeh Baat Wazeh Hoti Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Fuqaaha O Muhaddiseen Wa Aimma E Jarah Ta’adeel Ki Nazar Me Siqa Aur Qaabil E Aitemaad Aur Fiqa Me Sabse Bade Faqi Aur Apne Zamaane Ke Ulama Me Bahut Bade Aalim The.
Ghair Muqallideen Ne Jo Hawaala  Pesh Kiya Hai Uske Bare Me Zyaada Se Zyaada Yahi Kaha Jaayega Ke Yeh Imam Nasai Rh. Ki Qata Hai Aur Ahle Hadees Ulama Bhi Imam Abu Hanifa Rh. Ko Faqi Aur Siqa Maante Hai.
(Dekhiye : 22 Naamwar Fuqaaha Wa Muhaddiseen Az Maulana Md Meer Ibrahim Sialkoti) Me Sabse Pehle Ibrahim Sialkoti Sahaab Ne Imam Abu Hanifa Rh. Ka Hi Tazkirah Kiya Hai Jisse Maloom Hota Hai Ke Fuqaaha Wa Muhaddiseen Me Ahle Hadees Ulama Ki Nazar Me Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Ka Maqaam Wa Martaba Sabse Buland Wa Baala Hai.
Scan Pages :
1.
2
3
4
5
6
Mazeed Tehqeeq Ke Liye (Tareekh E Ahle Hadees ) Bhi Mulaaheza Farmaaye Jisme Maulana ne Imam Abu Hanifa Rh. ka Difa Kiya Hai aur Farmaaya hai ke Aimma e Arba se Husn e Aqeedat Nuzool e Barkat ka Zariya Hai. (Taarekh e Ahlehadees : 72 )
Scan Page :
2
Mazeed Likhte hai ke Aimma e Arba ke Haq me Be-adbi Kare Wo Neem Raafzi Hai. (Taarekh e Ahlehadees : 73 )
Scan Page : 
1240304_1414895388733226_695869504_n
In Tamaam Baato se Yeh Baat Wazeh Hogayi ke Imam Abu Hanifa Siqa Hai aur Jab Ghair Muqallid Aalim ne Is Baat ka Aiteraaf Karliya Hai Toh Is Aiteraaz ki Kya Haqiqat Rehgayi ?