Quran e Kareem aur Taqleed ka Hukum (Surah Nisaa ki Aayat)

Taqleed Ki Usooli Hidayate Khud Quraan E Kareem Me Maujood Hai.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آَمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ
(Sureh Nisaa : 59)
Allah Tala Ka Irshaad Hai Ke “ Aye Imaan Waalo ! Allah Ki Itaa-At Karo Aur Rasool ( Sallallahu Alaihi Wasallam ) Ki Itaa-At Karo Aur Apne Me Se “ Ulil Amr” Ki Itaa-At Karo
Ulil Amr Se Muraad Kaun Hai ?
Is Aayaat Ki Tafseer Karte Huwe Sahabi E Rasool
1 – Hazrat Jabir Bin Abdullah Rdh. Farmaate Hai Ke
“ Ulil Amr ” Se Ashaab E Fiqa Aur Arbaab E Khair Muraad Hai. (Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 123)
Scan Page :
1801036_498573626918732_271362309_n
Isi Tarah
2 – Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. ( Jo Hibur Ummah Aur Tarjumaanul Quraan Ke Laqab Se Mashoor Hai) Se Bhi Yahi Tafseer Manqool Hai.Chunaanche Farmaate Hai
“ Ulil Amr” Se Ahle Fiqa Aur Ahle Deen Muraad Hai ( Jo Logo Ko Amr Bil Maroof Aur Na-Hi Anil Munkar Karte Hai)(Aage Farmaaya Ke ) Allah Tala Unki Itaa-At Waajib Kardi Hai. (Mustadrak Al Haakim : Jild 1 : Safa 123)
Scan Page :
1797276_498573450252083_404352325_n
Aur Ulama E Ikraam Ka Tafseer E Sahabi Ke Mutalliq Faisla Darj E Zail Hai.
Sahabi Ki Tafseer Musnad Hai (Yaani Huzur Saw Ka Farmaan Hota Hai) Aur Sahabi Ki Tafseer Hujjat Hai Aur Sahabi Ki Tafseer Marfu Hoti Hai.
(Mustadrak Haakim : Jild 1 : Safa 123 , Maarifah Uloom Ul Hadees : Safa 20 , Zaad Ma’ad : Jild 4 : Safa 52 , Tadreeb Ur Raavi : Safa 165 Misr Edition , Tauji Un Nazr : Safa 165 Misr Edition Wagairah )
Aur Isi Tarah Hazraat Tabien Ke Bare Me Hai Ke
“ Aur Isi Tarah Tabien Ki Tafseer Hujjat Hai”. (Al Junah : Safa 96)
Aur Muta’adid Tabien E Izaam Se Manqool Hai Ke “ Ulil Amr ” Se Muraad Ulama Aur Ahle Fiqa Hai.
1 – Hazrat Ataa Bin Abi Rabah Rh. 114 Hij Farmaate Hai Ke
“ Ulil Amr ” Se Ahle Ilm Aur Ashaab E Fiqa Muraad Hai. (Daarami : Safa 40 Misr Edition , Safa 72 India , Dimishq Edition)
Scan Page :
Sunan al-Darimi vol1_Page83
Scan Page : Sunan e Darmi Mutarjim
1167449_432264726883120_817444516_o
 Aur 2 – Imam Abu Bakr Khisaas Ar Raazi 370 Hij “ Ulil Amr ” Ki Tafseer Karte Huwe Likhte Hai Ke
“ Ulil Amr ” Ki Tafseer Me Ikhtelaaf Kiya Gaya Hai Hazrat Jabir Bin Abdullah Rdh. Aur Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Se Riwayatan Aur
3 – Hazrat Hasan Rh. ,
4 – Hazrat Aata Rh. Aur
5 – Hazrat Mujahid Rh. Se Marwi Hai Ke “ Ulil Amr ”  Ahle Fiqa Aur Ahle Ilm Hai Aur
Hazrat Abdullah Bin Abbas Rdh. Se Riwayatan Aur Hazrat Abu Hurairah Rdh. Se Marwi Hai Ke Isse Muraad Umaraye Juyoosh (Lashkar Ke Ameer)  Hai Aur Jayez Hai Ke Is Ayaat E Karima Se Dono Muraad Ho Kyunke “ Ulil Amr ” Lafs Dono Ko Shaamil Hai Isliye Ke Umar-Raaye Tadbeer E Juyush Faujo Aur Dushman Se Ladai Ke Kaam Ki Sarparsti Karte Hai Aur Ulama Hifz E Shariat Aur Jayez Aur Na Jayez Cheezo Ki Sarparasti Karte Hai. (Ahkaam Ul Quran : Jild 2 : Safa 210)
Scan Page :
03_Page178 - Copy
Aur Dusre Maqaam Par Likhte Hai Ke
6 – Hazrat Hasan Rh. ,
7 – Hazrat Qatata Rh. , Aur
8 – Hazrat Ibn Abi Laila Rh. Farmaate Hai Ke “ Ulil Amr ” Ahle Ilm Wa Fiqa Hai Aur Hazrat  Suddi Rh. Farmaate Hai Ke Umr Aur Ahkaam Muraad Hai Imam Abu Bakr Al Jisaas Rh. Farmaate Hai Ke Jayez Hai Ke Isse Ahle Fiqa Aur Ahkaam Ke Dono Fareeq Ho Kyunke Yeh Lafs Dono Par Waqai Hota Hai. (Ahkaam Ul Quran : Jild 2 : Safa 210)
Scan Page :
03_Page183
9 – Alama Aalusi Rh. Farmaate Hai Ke “ Ulil Amr ” Se Muraad Umaraye Juyoosh(Lashkar Ke Ameer) Hai Aur Yeh Tafseer Hazrat Abu Hurairah Rdh. Aur Hazrat Maimoon Bin Mehraan Rh. Se Marwi Hai (Phir Aage Farmaaya)
Aur Yeh Bhi Kaha Gaya Hai Ke Isse Muraad Ahle Ilm Hai Aur Yeh Bhi Tafseer Beshumaar Hazraat Ne Hazrat Ibn Abbas Rdh. , Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Mujahid Rh. Aur Hazrat Hasan Rh. Aur Hazrat Aata Rh. Aur Ek Jamaat Se Riwayat Ki Hai Aur Hazrat Abul Aaliya Rh. Ne Ispar Istedlaal Yu Kiya Hai Ke Allah Tala Ka Farmaan Hai Aur Agar Wo Log Is Mu-Aamle Ko Rasool Aur Inme Se “ Ulil Amr ” Ke Lautaate Toh Inme Se Istambaat Waale Uski The Ko Bahuch Jaate .
Farmaate Hai Ke Ulama Hi Ahkaam Ka Istambaat Aur Istaikraaj Karte Hai Aur Bahut Se Hazraat Dono Ke Liye Aam Kiya Hai Aur Yeh Bhi Ba-Eed Nahi Hai Kyunke “ Ulil Amr ” Ka Ism Dono Ko Shaamil Hai Umaraaya Ko Toh Isliye Ke Wo Jaish Aur Jihaad Ki Tadbeer Karte Hai Aur Ulama Ko Isliye Ke Wo Shariat Aur Jayez Wan A Jayez Umoor Ki Hifaazat Karte Hai.
(Tafseer Ul Ruhul Ma’ani : Jild 5 : Safa 65)
Scan Page :
rohmaani05_Page66
Aur Isi Tarah 10 – Maulana Nawaab Siddiq Hasan Khansahaab Rh.  Likhte Hai Ke :
Hazrat Ibn Abbad Rdh. , Hazrat Jabir Rdh. , Hazrat Hasan Basri Rh. , Hazrat Abu Aaliya Rh. , Hazrat Aata Rh. , Hazrat Zahaak Rh. , Hazrat Mujahid Rh. Aur Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Farmaate Hai Ke Ulil Amr Se Muraad Ulama Hai.
(Al Junah : Safa 4)
Lehaaza Maloom Huwa Ke Ulil Ul Amr Se Muraad Fuqaaha Aur Ahle Fiqa Hai Aur Allah Tala Ne Quraan Ko Me Unki Itaa’at Ka Hokum Diya Hai.
Ek Shuba : Ghair Muqallideen Hazraat Kehte Hai Ke Aage Aayat Me Hai
فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ فِي شَيْءٍ فَرُدُّوهُ إِلَى اللَّهِ وَالرَّسُولِ إِنْ كُنْتُمْ تُؤْمِنُونَ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآَخِرِ ذَلِكَ خَيْرٌ وَأَحْسَنُ تَأْوِيلًا
Pas Agar Kisi Muaamle Me Tumaara Bahem Ikhtelaaf Hojaaye Toh Is Muaamle Ko Allah Aur Uske Rasoolullah Saw Ki Taraf Lauta Do Agar Allah Aur Yaum E Akhirat Par Imaan Rakhte Ho.
Lehaaza Allah Tala Khud Keh Rahe Hai Ke Jab Apas Me (Hanafi , Maliki , Shafii , Hanbali Me ) Ikhtelaaf Hojaaye Toh Usko Kitab Wa Sunnat Ki Taraf Lautao.
Aur Yahi Kaam Hum Ahle Hadees Karte Hai.
Al – Jawaab : Suniye Janaab ! Is Ayat Me

 “فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ “

Ka Khitaab Har Jaahil Wa Nadaan Ghair Muqallid Ko Nahi Hai.
Yeh Khitaab MUJAHIDEEN Ko Hai.
Chunaanche Imam Abu Bakr Khisaas Rh. “Ulil Amr “ Ki Tafseer Ulama  Se Karne Ki Taa-Ed Me Likhte Hai :
Aur “Ulil Amr” Ki Itaa-At Ka Hokum Dene Ke Fauran Baad Allah Tala Ka Yeh Farmaana Ke
“Agar Kisi Muaamle Me Tumaare Darmiyaan Ikhtelaaf Ho Toh Usko Allah Aur Rasool Saw Ki Taraf Lautaa Do” Is Baat Ki Daleel Hai Ke “Ulil Amr “ Se Muraad Fuqaaha Hai.
Kyunke Allah Tala Ne Tamaam Logo Ko Unki Itaa-At Ka Hukum Diya , Phir “فَإِنْ تَنَازَعْتُمْ “ Farmaakar “Ulil Amr “ Ko Hokum Diya Ke Jis Muaamle Me Unke Darmiyaan Ikhtelaaf Ho Use Allah Ki Kitaab Aur Nabi E Karim Saw Ki Sunnat Ki Taraf Lauta Do.
Yeh Hukum Fuqaaha Ko Hi Hosakta Hai
KYUNKE AWAAM UN NAAS AUR GHAIR AHLE ILM KA YEH MAQAAM NAHI HAI ISLIYE WO IS BAAT SE WAAQIF NAHI HOTE KE ALLAH KI KITAAB AUR SUNNAT KI TARAF KISI MUAAMLE ME LAUTA NE KA KYA TARIQA HAI ?
AUR NA UNHE NAYE MASAIL MUSTAMBAT KARNE KE LIYE DALAIL KE TARIQO KA ILM HOTA HAI.
Lehaaza Saabit Hogaya Ke Yeh Khitaab Ulama (Mujahideen) Ko Hai.
(Ahkaam Quraan : Jild 2 : Safa 257)
Scan Page :
03_Page178
Lehaaza Ghair Muqallideen Ke Aisi Shaitaani Waswaso Me Na Aaye Aur Allah Tala Aur Uske Rasool SAW Ki Itaa-At Kare , Kisi Ek Faqi Ki Rehbhari Me.
Pas Allah Tala se dua hai ke allah tala hume in fuqaaha ki azmat karnw aur unke tariqo par chalne waala banaaye taake ,
Aye Allah ! Aap humse raazi hojaaye.
Ameen.