Tahajjud aur Taraveh me Farq Hai.

Tahajjud aur Taraveh me Farq Hai.
Maujuda ke Daur ke Ghair Muqallideen Naam Nihaad La-Madhab Munkirine Fiqa Firqa e Ahle Hadees yeh waswasah daalte hai ke Tahajjud aur taraveh yeh dono ek hi namaz ke alag alag naam hai.

Jab ke haqiqat ke aaine me unka yeh qiyaal bilkul baatil hai aur kyunke nabi e karim SAW , Sahaba Ikraam Rdh. , Tabien e izaam aur Ummat ke Salaf o Saleheen se Taraveh ke baad tahajjud padhna Saheeh hadeeso se saabit hai.aur isi par 4 maazahib e arba ka ittefaaq wa ijma hai.

Taraveh ki Tareef :

Hafiz Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai :

Jo namaz jamaat ke saat ramzaan ki raato me padhi jaati hai uska naam taraveh hai. (Fathul Baari : 178/4)

Tahajjud ki Tareef :

Tahajjud wo namaz hai jo (Raat ki ) neend ke baad padhi jaati hai. (Sharah Zaad ul Mustaqni Lil Shanqeeti :Jild  53: Safa 8)

Tahajjud aur Taraveh me Zahiri Farq :

1.tahajjud quraan se saabit hai.(Sureh Bani Israel : Ayat 79 ) Lekin Taraveh Sunnat e Rasool se Saabit hai.

2. Tahajjud Makkah Mukkaramah me Shuru Huwi Jabke Taraveh Madine Munawwarah me Shuru Huwi hai.

3. Tahajjud Farz thi Lekin Baad me Uski Farziyat Mansooq Hogayi Jaisa ke Ibn Hishaam Rh. ne Iski wazaahat ki hai.(Abu Dawud : Jild 1 : Safa 189) Lekin Taraveh Sunnat hai.

4. Tahajjud Aap SAW par Farz thi.(Zurqaani Sharah Muwatta Imam Malik Rh. : Jild 1 : Safa 311) Magar Taraveh Aap SAW par Farz na Thi.

5. Tahajjud Sunnat e Ghair Mokida hai aur Taraveh Sunnat e Mokida hai.

6. Taraveh me Jamaat Sunnat e Mokida Kifaaya hai Lekin Tahajjud me Yeh Shart Zaruri nahi hai.

Barhaal Yeh chand Tahajjud aur Taraveh me Zahiri Farq the.

TAHAJJUD AUR TARAWEH ME FARQ par Dalail:

Rasoolullah SAW  Ka Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhna :

1. Hazrat Anas Rdh.  Farmaate Hai Ke Rasoolullah SAW  (Ek Raat) Ramzaan Ul Mubarak Me Namaz E (Taraveh) Padhrahe The , Mai Aaya Aur Aapke Pahelu  Me Khada Hogaya , Ek Dusre Sahabi Rdh. Tashreef Laaye Wo Bhi Isi Tarah Khade Hogaye Yaha Tak Ke Hamari Ek Jamaat Ban Gayi.Nabi E Karim SAW Ne Jab Yeh Mehsoos Farmaaya Ke Hum Aap SAW Ke Peeche Khade Hogaye Yaha Tak Aap SAW Ne Namaz Ko Muqtasar Karke Khatam Kardiya Aur Apne Hujre Me Tashreef Legaaye Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi. (Saheeh Muslim : Jild 1 : 352 )
image
Ab Zaahir Hai Ke Jo Namaz Aap SAW Ne Sahaba Ikraam Rdh. Ko Padhaayi Wo Namaz E Taraveh Thi Aur Jo Apne Hujre Me Jaa Kar Padhi Wo Namaz E Tahajjud Thi.Kyunke Aap SAW Ki Namaz E Tahajjud Hamesha Apne Hujre Me Padhte The.Chunaanche Hazrat Ayesha Rdh. Se Riwayat Hai Ke Aap Rdh. Farmaati Hai : Rasoolullah SAW Raat Ki Namaz Apne Hujre Me Padha Karte The. (Bukhari : Jild 1 : Safa 101)

Aur Hazrat Anas Rdh. Ke Alfaaz “Apne Hujre Me Tashreef Legaaye Aur Waha Aap SAW Ne Wo Namaz (Tahajjud) Padhi Jo Hamare Paas Nahi Padhi Thi.”  Me Saraahat Hai Ke Allah Ke Nabi SAW Ne Jo Namaz  Sahaba Rdh. Ko Padhaai Wo Namaz E Taraveh Hai Aur Jo Namaz Apne Hujre Me Padhi Wo Namaz E Tahajjud Hai.

2. Ameer Ul Momineen Hazrat Umar Rdh. Bhi Taraveh Aur Tahajjud Ko Alag Alag Namaz Samajhte The :

Chunaanche Aap Rdh. Ne Taraveh Ki Jamaat Ko Dekhkar Logo Se Farmaaya : Wo Namaz Jisse  Tum Sojaate Ho(Yaani Tahajjud) Wo Us Namaz Se Afzal Hai Jisko Tum Qayaam Kar Rahe Ho(Yaani  Taraveh).(Bukhari : Jild 1 : Safa 299)
image
Taraveh Ke Baad Tahajjud Ki Targheeb Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ke Hazrat Umar Rdh. Bhi Tahajjud Aur Taraveh Ko Alag Alag Namaze Samajhte Hai.

3. Sahabi E Rasool Hazrat Talq Bin Ali Rdh. Ka Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhna :

Hazrat Talq Bin Ali Rdh. Ke Saaheb Saade Hazrat Qais Bin Talq Apne Waalid Ka Qissa Bayaan Karte Hai : Hazrat Qais Bin Talq Rdh. Farmaate Hai Ke (Hamare Waalid) Hazrat Talq Rdh. Bin Ali Ramzaan Ul Mubarak Me Ek Din Hamaare Paas Mulaaqaat Ke Liye Tashreef Laaye Aur Sham Tak Hamare Hi Paas Rahe Aur Yahi Rooza Iftaar Kiya.Phir Aap Rdh. Usi Raat Hume Namaz(E Taraveh ) Padhaayi Aur Witr Bhi Padhaayi , Phir Apni Masjid Ki Taraf Gaaye Aur Apne Saathiyo Ko Namaz (E Tahajjud) Padhaayi Yaha Tak Ke Witr Baaqi Reh Gaye Toh Aapne Ek Saathi Ko Aage Kardiya Aur Farmaaya : Tum Apne Saathiyo Ko Witr Padhaao Kyunke Maine Rasoolullah SAW Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Tha Ke Ek Raat Me 2 Witr Padhna Jayez Nahi.(Sunan E Abi Dawud : Jild 1 Safa 310, Nasai : Jild 1 : Safa 119 )
image
Ab Is Asar Se Saaf Zahir Hai Ke Hazrat Talq Bin Ali Rdh. Ne Taraveh Ke Baad Tahajjud Padhi.

4. Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Bhi  Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Imam Abu Yusuf Rh. Ne Farmaaya : Ke Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Har Raat Aur Din Ek Quraan E Kareem Ka Ek Karte The Lekin Ramzaan Aur Eid Me Quraan E Karim Ke 62 Khatam Karte.(Ramzaan E Shareef Me Ek Ko , Ek Raat Ko Aur Ek Pure Mahine Ki Taraveh Me Khatam Karte Aur Ek Eid Ke Din Khatam Karte).

(Al Khairaat Ul Hisaan : Safa 85 )

(Uqdul Jumaan : Safa 313 )

( Manaaqib Maufiq : Jild 1 : Safa 235 )

( Manaaqib Kurdi : Jild 1 : Safa 241,244)

( Akhbaar Abi Hanifa Wa Ashaabi : Safa 41)

(Manaaqib Maufiq Ba-Riwaayat E Imam Yahiya Bin Maeen : Safa 230)

Isi Tarah Ki Riwayat Ali Bin Sadaayi Rh. Se Bhi Manqool Hai. Dekhiye ( Manaaqib Maufiq : Jild 1 : Safa 232)

Ek Aur Riwayaat Shadaad Muhaddis Rh. Ne Abu Jafar Raazi Rh. Se Riwayat Ki Hai Jiske Bare Me Imam Zufar Rh. Ne Farmaaya : Abu Jafar Ne Sach Kaha.
( Manaaqib Maufiq : Jild 1 : Safa 243 )

(Manaaqib Kurdi : Jild 1 : Safa 245)

Jiski Wazaahat Imam Ibn Himaam Rh Ne Ki Hai Ke Imam Abu Hanifa Rh. Maah E Ramzaan Me 61 Quraan Khatam Karte The Ek Din Ko , Ek Raat Ko , Aur Ek Mukammal Taraveh Me.(Fathul Qadeer : Jild 1 : Safa : 409)

Isse Maloom Huwa Ke Hazrat Imam Abu Hanifa Rh. Taraveh Ke Alaawa Bhi Raat Ko Ek Quraan Khatm Karte The. Jabke Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Aam Dino Me Ek Rakaat Me Mukammal Quraan Padhte The.

(Dafyaat : Jild 5 : Safa 413 )

(Uqdul Jumaan : 221)

(Maufiq : Safa 207 )

Aur Tareekh Ki Yeh Mashoor Haqiqat Hai Ke Imam E Azam Abu Hanifa Rh. Raat Ko 1000 Rakaat Padha Karte The. Toh Jab Imam E Azam Rh. Aam Dino Me Itni Namaaze Padhte The Toh Ramzaan Me Toh Ba-Tareeq Awlaa Nawafil Tahajjud Bhi Padhte Hoge (jisme inhone Yeh ek Quraan e Kareem Mukammal Kiya hoga).

5. Hazrat Saeed Bin Jubair Rh. Bhi  Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Hazrat Wirqaah Rh. kehte hai ke Hazrat Saeed Bin Jubair Rh. Ramzaan ul Mubarak me Hume Imaamat Karaate aur Akhiri Ashre me 7 Tarweeha (20 rakaat Taraveh , 4 Farz aur 4 Rakaat Tahajjud)  padhaate.(Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

6. Imam Malik Rh. , Imam Abu Muhammed Rh. Aur Shaik Abul Hasan Ziyaat Bhi Taraveh Ke Baad Tahajjud Padhte The :

Fiqh E Maliki Ke Mashoor Muhaqiq Alama Muhammed Bin Abdri Rh.  Ne Naql Kiya Hai Ke Imam E Daarul Hijraah Hazrat Imam Malik Rh. , Imam Abu Muhammed Rh. Aur Shaik Abul Hasan Ziyaat Rh. Bhi Taraveh Ke Baad Tahajjud Padhaa Karte The.( Al Mudkhal Laa Ibnul Haaj : Jild 2 : Safa 299)

7. Imam Ul Muhaddiseen Hazrat Imam Bukhari Rh. Bhi Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Jab Maah E Ramzaan Ki Pehli Raat Hoti Toh Imam Bukhari Rh. Ke Paas Unke Dost Wa Ahbaab Jaama Hojaate So Woh Unko Namaz E Taraveh Padhaate Aur Har Rakaat Me 20 Aayat Tilawat Karte .Isi Tarah Puraa Quraan Khatam Karte ,Phir Sehri Ke Waqt Namaz E Tahajjud Me Nisf Se Saalis Quraan Tak Padhte Aur Har Teesri Raat Sehar Ke Waqt Khatam Karte. (Hadi Us Saari Muqaddama Fath Ul Baari : Safa 666)
image
8. Imam Abu Muhammed Asfahaani Rh. Bhi  Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Imam Abu Muhammed Abdullah Bin Muhammed Asfahaani Rh.  Ke Bare Me Manqool Hai Ke Wo Pure Ramzaan Me Logo Ko Namaz Taraveh Padhaa Karte The Aur Har Rooz Jab Taraveh Se Faarigh Hojaate Toh Masjid Me Hi Namaz E Tahajjud Padhte The.(Tareekh E Baghdaad : Jild 10 : 143)

9. Hazrat Abdur Rehmaan Aswad Rh. Bhi  Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Hazrat Abdur Rehmaan Aswad Ramzaan me 40 Rakaate(4 Farz , 20 Rakaat Taraveh , 2 Tarwiho ke darmiyaan 4 -4 rakaat nafil jo 16 banti hai )  aur 7 Witr (4 Rakaat Tahajjud aur 3 Witr ) Padhaate the. (Musannaf Ibn Abi Shaiba : Jild 2 : Safa 285)

4 Rakaat Tahajjud aur 3 Witr ke Majmua ko 7 Witr kaha gaya hai.

10. Hazrat Umar Bin Abdul Aziz Rh. ke Zamaane me bhi Log Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhte The:

Hazrat umar bin abdul aziz rh. ke zamaane me log 15 salaamo( 20 rakaat taraveh ke 10 salaam , 8 rakaat taraveh  ke 4 salaam aur ek salaam baad witr) ke saat raat ko qiyaam karte the. (Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

11. Hazrat Abdur Rehmaan Bin Abi Bakr Rh., Saad Bin Abul Hasan rh. aur Imraan Al Abdi Rh. ka Logo ko Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhaana:

Hazrat Abdur Rehmaan Bin Abi Bakr Rh., Saad Bin Abul Hasan rh. aur Imraan Al Abdi Rh. ka Logo ko aakhri Ashre me 6 Tariweehein (20 rakaat taraveh ke baad 4 rakaat tahajjud ) padhaate the.
(Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

12. Hazrat Zaraarah Bin Aaufa Rh. ka Logo ko Taraveh Ke Baad Tahajjud  Padhaana:

Hazrat Zaraarah Bin Aaufa Rh. Ahle Muhallah me Ramzaan me 6 Tarawihae Padhaate ( 20 Rakaat Taraveh aur 4 Rakaat Nawafil e Tahajjud) aur Jab Aakhiri Ashra Shuru Hojaata toh Har Raat 7 Taravihae  (20 Rakaat Taraveh aur 8 Rakaat Nawafil e Tahajjud) Padhaate. (Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

13. Isi Tarah Muhammed Bin Sireen Rh. se Riwayat hai ke Ramzaan ul Mubarak me Taraveh ke baad tahajjud padhaai jaati thi. (Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

14. Aur Hazrat Saaleh Mauli Rh. Bhi Yahi Kehte hai. (Qiyaal ul Lail Lil Maroozi : 158)

15. Hazrat  Allama Shahab Uddin Rh. Ka Irshaad :

Allama Shahab Uddin Rh. Apni Kitab Umdatu Saalik Safha 60 Par Likhte Hain:
“Aur Mandoob Hai Taraweeh Aur Wo Ramazan Ki Har Raat Me 20 Rakaat Hai Jamat Ke Sath Aur Har 2 Rakaat Ke Baad Salaam Phera Jayega, Aur Uske Baad Witr Padhi Jayegi Jamat Ke Sath Magar Jo Tahajjud Padhega Wo Usko Muakhkhar Karega(Witr Ko Tahajjud Ke Bad Padhega).
image
16. Ek Daleel Yeh bhi hai ke Tamaam Aimma e Hadees ne Taraveh ka Baab Alag Bandha hai aur Tahajjud ka Baab Alag Bandha hai.Masalan:

Imam Bukhari Rh. ne Apni Saheeh Bukhari me
Imam Muslim Rh. ne Apni Saheeh Muslim me
Imam Tirimizi Rh. ne Apni Sunan me
Imam Abu Dawud Rh. ne Apni Sunan me
Imam Ibn Majah Rh. ne Apni Sunan me
Imam Nasail Rh. ne Apni Sunan me
Imam Malik Rh. ne Apni Muwatta me
Imam Muhammed Rh. ne Apni Muwatta me
Imam Abdur Razzak Rh. ne Apni Musannif me
Imam Abi Shaiba Rh. ne Apni Musannif me
Imam Behaiqi Rh. ne apni Musannif me
Imam Dariqutni Rh. ne Apni Sunan me
Imam Baghwi Rh. ne Apni Maseebih me
Imam Khateeb tabreezi Rh. ne Apni Mishkaat me
Imam e Azam Abu Hanifa Rh. ne Apni Kitaab ul Asaar me
Imam  Khuwaarizami Rh. ne Musnad e Imam E Azam Rh. me
Imam Ibn Maroozi Rh. ne Qiyaal ul Lail
Imam Ibn Taimiya Rh. ne Musqiul Akhbaar me
Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. ne Buloogh ul Mehraam me
Imam Ibn Hibban ne Saheeh Ibn Hibban me
Wagaira Muhaddiseen ne Tahajjud ka Baab Alag Bandha hai aur Taraveh ka Alag Isse Saaf Zaahir hota hai ke Unke nazdeek yeh dono namaaze alag alag namaaze hai.

17. Aimma e Hadees ki Tarah Fuqaaha e ikraam ke Tamaam Maakitab e Fikr Bhi Tahajjud aur Taraaveh me Alag Alag Maante hai

Hambali Fiqh :

Maslak e Hambali ke Tarjumaan Hazrat Imam Ibn Qudaama Rh. ki Shaadat :
Ibne Qudama Maqdasi Rah Fiqh e Hambali ki Mashoor Kitab Al Muqnii Ke Safhe 34 Par Likhte Hain:

“Phir Taraweeh Hai Aur Wo 20 Rakat Hai,Is Ko Ramazan Me Ba Jamaat Padhe Aur Uske Baad Bajamaat Witr Padhe Aur Agar Wo Tahajjud Bhi Padhta Ho To Witr Taraweeh Ke Baad Nahi Balke Tahajjud Ke Baad Padhe”
image
Isse Saaf Zahir Huwa ke Hambali Maslak me Taraweeh 20 Rakat Hai Aur Taraweeh Aur Tahajjud 2 Alag Namazen Hain.

Maliki Fiqh :

Hazrat Alama Ibn Rushd Maaliki Rh. ka Irshaad :

Alama Ibn Rushd Maaliki Farmaate hai ke  Awwal Raat me Taraaveh me Padhkar Phir kuch Neend Karke Iske Baad Tahajjud  Padhi Jaaye ke Taraveh se Tahajjud ke Fazilat Haasil Nahi Hoti.
(Al Bidaayatul Mujtahid : Jild 1 : Safa 178)

Shafii Fiqh :

Hazrat Shaarih Bahoori Shafii Rh. Likhte hai:  aur Rasoolullah SAW ki Ramzaan me Namaz Kaisi Hoti thi Yaani Ramzaan ki Raato me Tahajjud ke Waqt ki Jo Namaz e Taraveh ke Alaawa thi Jisko Rasoolullah SAW Ishaa ke Baad Padhte the.
(Bahoori Sharah Shamail e Tirmizi : 143)

4 Mazaahib ka Ijma hai ke Tahajjud aur Taraveh Alag Alag Namaaze hai :

19. Al Fiqha al Islaami Waadaltaah (jisme Mazaahib e Arba ke Masail Jama’a hai ) me Hai :

Agar Taraveh ke Baad Akheer Raat me Tahajjud Ka Mamool ho toh Mustahab hai ke witr tahajjud ke baad padhe aur agar taraveh ke baad tahajjud ka mamool na ho toh taraveh ke baad jamaat ke saat padhe taake isko jamaat ki fazilat haasil hojaaye.
(Al Fiqha al Islaami Waadaltaah : Jild 2 : Safa 75 )

20. Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Alaawa ke Ghair Maslak ke Ghair Muqallideen ke Ulama Bhi Tahajjud aur Taraveh Ko Alag Alag Maante hai.

Darj e Zail Ulama e Ghair Muqallideen Is Baat ke Qaayal hai.

Maulana Nazeer Hussain Dehalwi Rh. (Al Hayaat Badal Mamaat : 138)
Shaik Ul Islaam Maulana Sanaullah Amritsari Rh. ( Fataawa Sanaaiya : Jild 1 :  Safa 682 )
Ghair Muqallid Khwaja Muhammed Qaasim. (Haiyya Alas Salaah : 39)
Iske Fatawa e Ulama e Hadees me Bhi Yahi Likha Huwa hai (Dekhiye : Fatawa e Ulama e Hadees : 281/6)

21. Shaik Abdul Qadar Jilaani Rh. Farmaate hai : Taraveh ke Baad Tahajjud Padhne ke bare me 2 qaul hai.ek yeh ke taraveh ke baad kuch neend karke phir utkar tahajjud padhi jaaye.dusra yeh qaul hai ke taraveh ke baad be-ghair neend kiye.
(Ghaniyatut Taalibeen Tab’a  Berut : safa 269 , Tab’a Misr : Jild 2 : Safa :17)

Dono Qaul se Saaf Zaahir huwa ke Shaik Rh. ke Qareeb bhi Tahajjud aur Taraveh Alag Alag Namaaze hai.

22. Alama Hamd Bin Abdullah al Hamd Rh. Likhte hai : Yaani Saeeb Bin Yazeed Rdh. ki 20 aur 11 rakaat waali dono hadeeso ke darmiyaan tatbeeq yeh hai ke sahaba ikraam rdh. ramzaan ke aakhiri ashre me 20 rakaat taraveh ke baad 11 rakaat tahajjud padhte the aur tulu e fajr ke qareeb namaz se faaregh hote.(Sharah Zaad ul Mustaqna Lil Hamd : Jild 7 : Safa 24)

23. Hazrat Alama Shanqeeti Rh. Farmaate hai :

Tahajjud ka Qiyaam Taraaveh ke Qiyaam se Afzal hai. .(Sharah Zaad ul Mustaqna Lil Shanqeet: Jild 53 : Safa 10)

Aage Likha hai : Daraasal Namaz e Taraveh Raat ke awwal Hissa ka Qiyaam hai aur namaz e tahajjud raat ke akheer hisse ka qiyaam hai  aur dono qiyaamo ke darmiyaan bahut farq hai.
(Sharah Zaad ul Mustaqna Lil Shanqeet: Jild 53 : Safa 10)

Ek aur Jagah Witr ka Masla Bayaan karte huwe Likha Hai : ke Baaz Ulama ne Kaha hai ke Taraveh aur Tahajjud ke Baad Witr Padhe aur Baaz ne Kaha ke Taraveh ke Baad Witr Padhe Tahajjud ke Baad na Padhe.
(Sharah Zaad ul Mustaqna Lil Shanqeet: Jild 53 : Safa 11)

Ek aur Jagah Likhte hai : Agar Koi Ishaa ke Baad Namaz Taraveh aur Ramzaan ke Akheer me Tahajjud par Aiteraaz Kare toh Uska Jawaab Yeh hai ke Taraveh ka Yeh Tariqa (AWWAL WAQT ME PADHNA)  Hazrat Umar Bin Khattab Rdh. ki Sunnat hai Jispar SahabaRdh.ka Ijma hai.Lekin Tahajjud Neend ki Baad Padhi Jaati hai Kyunke Nabi e Karim SAW ka Yahi Tareeqa tha.
(Sharah Zaad ul Mustaqna Lil Shanqeet: Jild 53 : Safa 8)

Conclusion (Khulaasa) : Yeh Baat Alhamdullilah Saabit Hochuki hai ke Namaz e Taraveh Alag Hai aur Namaz e Tahajjud Alag hai Kyunke Nabi e Karim SAW aur Unke Sahaba Rdh. ,Tabien , Tabe-tabien aur In Sab ke Pairiwi Karne Waali Aimma e Arba aur Unke Tamaam Muqallideen Ka Yahi Amal aur Hukum hai.

Imam E Malik Aur Unki Taraf Mansub 8 Rakat Taraweeh ki Haqeeqat

Imam E Malik Aur Unki Taraf Mansub 8 Rakat Taraweeh ki Haqeeqat

Imam E Malik Rh Ke Mutalliq 3 Aqwal Milte Hai
1= 8 Rakat Jo ki Sare Qaul Majhul Hai

2 = 20 Rakat Jo Mukhtar Majhab Hai
..
3 = 36 rakat Jo Mashur Qaul Hai Aur jiska zikr Umadul Qari lil
Allama Ayni Hanfi Almasabih lil Allama jalal Uddin Suyuti Almugni lil ibn Qudama Hanbali nail ul
Awtar lil Qaazi Shokaani fathul Baari lil Hafiz ibn E Hajar Asqalani Me Naqal Hai jinka Hawala Aage Ayega

1 = 8 Raqat ke Aqwal ki Tahqeeq
Jin Hazrat ki kitab me Imam Sab ka Qaul 8 Rakat Taraweeh Milta Hai Unme Se ek hai Allama Suyuti.
Jin ki Kitab Almasabih fi Salatit Taraweeh.

ﻗﺎﻝ ﺍﻟﺠﻮﺭﻱ ﻣﻦ ﺍﺻﺤﺎﺑﻨﺎ ﻋﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﺍﻧﻪ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﺬﻱ ﺟﻤﻊ
ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﻨﺎﺱ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ ﺍﻟﺨﻄﺎﺏ ﺍﺣﺐ ﺍﻧﻲ ﻭﻫﻮ ﺍﺣﺪﻱ
ﻋﺸﺮﺓ ﺭﻛﻌﺔ ﻭ ﻫﻲ ﺻﻠﻮﺓ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺹ ﻗﻴﻞ ﻟﻪ ﺍﺣﺪﻱ
ﻋﺸﺮﺓ ﺭﻛﻌﺔ ﺑﺎﻟﻮﺗﺮ ﻗﺎﻝ ﻧﻌﻢ ﻭ ﺛﻠﺚ ﻋﺸﺮﺓ ﻗﺮﻳﺐ ﻗﺎﻝ ﻭﻻ
ﺍﺩﺭﻱ ﻣﻦ ﺍﻳﻦ ﺍﺣﺪﺙ ﻫﺬﺍ ﺍﻟﺮﻛﻮﻉ ﺍﻟﻜﺜﻴﺮ
‏) ﺍﻟﻤﺼﺎﺑﻴﺢ ﻓﻲ ﺻﻼﺓ ﺍﻟﺘﺮﺍﻭﻳﺢ ﺹ ٢٤&٣٤‏(
Scan :
image
Tarjuma–Humare Ashab me Se juri Ne kaha imam malik ne
farmaya jitni Rakaton pe Hazrat Umar Rz Ne Logon ko jama kiya tha WO mujhe Ziyada piyari
hain aur WO 11 Rakaten Hain Aur Yahi Aap SAW ki Namaz hai Unse Pucha Gaya kiya 11 Rakat me
Witar kaha Haan Aur 13 Rakat kareeb Hai Aur farmaya Mai Nai janta Ye Bahut Sare Ruku Kahan
se ijad Kiye Gaye
.
Note :Yahan Ek Baat Aur Zehan Nashin kar Len ke Gair Muqallid ke Allama Mubarakpuri Ne Apni Kitab Tohfatul Ahwazi Me Ye Qaul Naqal Karne Me Tahrif ki Hai Unho Ne Aljuri ki Jagah Aljaozi Likha Hai Mazid Tahqeeq ke Liye Uper ke Scan  Ka Hashiya Padhen Hashiya Number 95 Me Muhasshi Ne iski Wazaahat ki Hai ke Allama
Mubarpuri Ne Apni Kitab Toahfatul Ahwazi jild 2 Page 73 Me Aljuri ko Aljaozi Likha Hai
.
Nez Ali bin Husain Aljuri ki Liqa imam Malik Rh Se Kahin Sabit Nai Unka Tarjuma Dekhne Keliye
Bhi Scan  Dekhen
Tarjuma Ali Bin Husain Aljuri
image
”Allaamah Syuti (Rh) Ne Aljuri Se Manqul Jo Yeh Qaul Naqal kiya hai to Unhone Naa Uski Sanad
Likhi Hai Naa hi kisi Kitab ka Hawaala Diya Hai so Yeh Qaul Majhul hi Maana Jaayega

Dusra Qaul Allama Badruddin Ayni Rh.Ne Bila Sand Apni Kitab Umdatul Qari Me Likha Hai

ﻭﻗﻴﻞ ﺍﺣﺪﻱ ﻋﺸﺮﺓ ﺭﻛﻌﺔ ﻭﻫﻮ ﺍﺧﺘﻴﺎﺭ ﻣﺎﻟﻚ ﻟﻨﻔﺴﻪ ﻭ
ﺍﺧﺘﺎﺭﻩ ﺍﺑﻮ ﺑﻜﺮ ﺍﻟﻌﺮﺑﻲ ‏(ﻋﻤﺪﺓﺍﻟﻘﺎﺭﻱ ﺝ ١١ ﺹ ٧٢١‏)
.
Scan :
image
Tarjuma
11 Rakat bhi kaha Gaya hai aur yahi imam Malik ne Apne Liye Bhi Pasand farmaya Hai Aur isi ko
Qaazi Abu bakar bin Arabi Ne ikhtiyar kiya hai

Ye Bhi Ek Majhul Qaul Hai chunke baat Bila sand kahi gayi hai

Note ; khud allama ayni ne bhi 36 rakat imam malik ka mashur mazhab likha hai tafseel Aage
ayegi
.
Tisra qaul Abu bakar bin walid tartusi nakal karte hain bila sand ke
ﻗﺎﻝ ﻣﺎﻟﻚ ﻭﺍﻟﺬﻱ ﺍﺧﺬ ﺑﻪ ﻓﻲ ﻧﻔﺴﻲ ﻓﻲ ﻗﻴﺎﻡ ﺷﻬﺮ
ﺭﻣﻀﺎﻥ ﺍﻟﺬﻱ ﺟﻤﻊ ﻋﻤﺮ ﺭﺽ ﻋﻠﻴﻪ ﺍﻟﻨﺎﺱ ﺍﺣﺪﻱ ﻋﺸﺮﺓ
ﺭﻛﻌﺔ ﺑﺎﻟﻮﺗﺮ ﻭﻫﻲ ﺻﻼﺓ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻲ ﺍﻟﻠﻪ ‏( ﺍﺯ
ﺭﻛﻌﺎﺕ ﺗﺮﺍﻭﻳﺢ ﻛﻲ ﺻﺤﻴﺢ ﺗﻌﺪﺍﺩ ﺍﻭﺭ ﻋﻠﻤﺎ ﺍﺣﻨﺎﻑ ﺹ ٦١
ﺳﻠﻔﻴﻪ ﺑﻨﺎﺭﺱ‏)
Tarjuma
Imam malik farmate hain ke taraweeh ke bare me mai apne liye aisi chiz ko aikhtiyr karta hun
jispe Hazrat umar rz. Ne logo ko Jama kiya tha yani 11 rakat ma witar per aur yahi rasool SAW
ki Namaz E Taraweeh Thi

Is qaul ki bhi koyi sand nai likhi hai malum huwa ye bhi ek mazhul qaul hai Inke alawa 8 rakat ka koyi aur qaul zakhira e
kutub me maojud nai aur 3 qaul majhul hain
.
2 = 20 rakat Allama Binnaori Rh.
‘mu’arifus sunan” me Likhte hain
ﻭﺍﻟﻌﺸﺮﻭﻥ ﻫﻮ ﺍﻟﻤﺬﻛﻮﺭ ﻓﻲ ﻛﺜﻴﺮ ﻣﻦ ﻛﺘﺒﻬﻢ ﻛﺎﻻ ﻧﻮﺍﺭ
ﺍﻟﺴﺎﻃﻌﺔ ﻭ ﺷﺮﺡ ﺍﻟﻜﺒﻴﺮ ‏( ﻣﻌﺎﺭﻑ ﺍﻟﺴﻨﻦ ﺝ٥ﺹ٦٤٥‏)
.
Tarjuma
20 rakat hi unki ( imam malik) bahut si kitabo me mazkur hai jaise ke anwarus satiah aur sharh
Kabeer

8 rakat wale qaul ko agar sahi tasleem kar bhi liya jaye to bhi itni baat har hal me manni hogi
ke unke muqallidin ka amal aur unki fiqhi kitabon ki aam tasreehat ki roshni me unka
mazhab mukhtar bhi yahi hai ke 20 rakat padhi jaye chunacha is ki tasreeh Akabir Malkiya me se
Allama ibn Abdul bar ne ki hai jaisa ke Allama binnaori farmate hain
ﻭﻻ ﺣﺠﺔ ﻓﻲ ﺧﻼﻑ ﻣﺎﻟﻚ ﻓﻲ ﺫﻟﻚ ﻭﻗﺪ ﺧﺎﻟﻔﻪ ﻣﻦ ﻛﺒﺎﺭ
ﺍﻫﻞ ﻣﺬﻫﺒﻪ ﻣﺜﻞ ﺍﻟﺤﺎﻓﻆ ﺍﺑﻲ ﻋﻤﺮ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﺒﺮ ﺣﻴﺚ ﻗﺎﻝ
ﺑﻌﺪ ﺍﻟﺘﺪ ﻟﻴﻞ ﺑﻌﺸﺮﻳﻦ ﺭﻛﻌﺔ ﻭﻫﻮ ﻗﻮﻝ ﺟﻤﻬﻮﺭ ﺍﻟﻌﻠﻤﺎﺀ
ﻭﻫﻮ ﺍﻻﺧﺘﻴﺎﺭ ﻋﻨﺪﻧﺎ
‏( ﺣﻜﺎﻩ ﻓﻲ ﺷﺮﺡ ﺍﻟﺘﻘﺮﻳﺐ ﻭ ﻣﻌﺎﺭﻑ ﺍﻟﺴﻨﻦ ﺝ٥ﺹ٥٤٥ ‏)
Tarjuma
imam malik ke is masle ke andar ikhtilaf karte hain kisi tarah ki hujjat nai hai isliye ke unke
muqallidin me se Akabir ulama ne unki mukhlifat kar di hai jaise Hafiz Abu umar bin Abdul bar ne
20 rakat ko mudallal karne ke bad farmaya ke yahi jamhur ulama ka mazhab hai aur yahi
humare nazdik bhi mazhab e mukhtar hai

Chunancha mashur malik fiqah ke musannif abul barkat ahmed bin Muhammad bin Ahmed apni
kitab sharah us sagir ala aqrb ul masalik ila mazhab imam malik ke andar tasreeh farmate hain
ﺍﻟﺘﺮﺍﻭﻳﺢ ﻓﻲ ﺭﻣﻀﺎﻥ ﻭﻫﻲ ﻋﺸﺮﻭﻥ ﺭﻛﻌﺔ ﺑﻌﺪ ﺻﻼﺓ
ﺍﻟﻌﺸﺎﺀ ﻳﺴﻠﻢ ﻣﻦ ﻛﻞ ﺭﻛﻌﺘﻴﻦ ‏( ﺷﺮﺡ ﺍﻟﺼﻐﻴﺮ ﺝ١ ﺹ٤٠٤‏)
Scan :
image
Tarjuma
Ramzan me taraweeh 20 rakat isha ke bad hai har do rakat per salam pherna chahiye In aqwal ki bina per imam malik ka mazhab
mukhtar bhi 20 hi rakat qarar pata hai aur iske khilaf unse ( imam malik) Jo kuch mansub hai na WO ijma ke liye muzir hai aur na hi unka mazhab mukhtar hai
Isliye Allama Binnoari rh. Ka ye bayan mabni bar haqeeqat hai
ﻭﺑﺎﻟﺠﻤﻠﺔ ﻋﺸﺮﻭﻥ ﺭﻛﻌﺔ ﻣﻦ ﺍﻟﺘﺮﺍﻭﻳﺢ ﻫﻮ ﻗﺪﺭ ﻣﺘﻔﻖ ﺑﻴﻦ
ﺍﻻﻣﺔ ﻭﺍﻻﺋﻤﺔﻣﻦ ﻏﻴﺮ ﺧﻼﻑ‏( ﻣﻌﺎﺭﻑ ﺍﻟﺴﻨﻦ ﺝ ٥ ﺹ
٥٤٥‏)
Tarjuma
Hasil ye hai ke 20 rakat taraweeh Ummat ke Darmiyan Muttafaq alaih miqdar hai aur yahi
ayima ke darmiyan bhi bila kisi ikhtilaf ke muttafaq alaih hai

Imam malik ke mukhtar mazhab malum hone ke bad chaliye thoda 11 rakat ke qaul ki taraf Jo qaul imam malik ka 8 rakat ka naqal kiya jata hai use Ahnaf me se Allama Ayni ne aur shafyi
me se Allama Suyuti ne naqal kiya magar Afsos Sab ne bila sand naqal kiya hai aur khud malkiya
ki Jo kitaben hain unme kahin is qaul ka pata nai maslain bidaayatul mujtahid ke musannif khud Malki hain aur 20 ya 36 rakat ke siwa koyi tisra
qaul nai Likhte

Chunacha bidaayatul mujtahid me likhte hai Imaam malik rah ne ek qaul me aur Imam Abu
Haneefa rah, Imam Shafai rah , Imam Ahmed
rah, Imam Dawood rah ne WITR ke Ilawa 20 Rakat ko ikhtyar kiya hai aur Ibne Qaasim ran ne
Imam Maalik se naqal kiya hai ke wo 3 WITR aur 36 Rakaat Taraweeh ko pasand farmate the.
[BIDAYATUL MUJTAHID SAFHA 210]
Scan :
image
Mudauwinat ul Kubra Jo mazhab malkiya ki bahut mustanad kitab hai usme bhi 11 rakaton ka koyi
zikr nai balke usme 36 rakton se kam karne ko imam malik ne mana kiya hai

Aur 11 rakat ke qaul pe Aitmad isliye nai kiya ja sakta q ke na to juri ki imam malik se Liqa sabit
hai Aur na Allama suyuti ne koyi sand Likhi aur Allama Ayni Hanfi bhi Qeel ke sath ye qaul Kikhte
Hain
….
3 = 36 rakat Jab ke imam malik ke bila wasta ”shaagird’ aur unke mazhab ke mudawwin ibn Qasim
barahe rast imam malik se naqal karte hain ke wo 36 taraweeh aur 3 witar ko pasand karte the

Ibn Qasim farmate hain ke mai ne imam malik ko farmate huwe suna hai ke Zafar bin sulaiman
ne mere pas admi bheja aur daryafat kiya ke hum qayam e ramzan ki rakaton ko kam kar den
to mai ne usko mana kiya fir imam malik se pucha gaya ke kiya rakaton ko kam karna makruh na pasandidah hai to farmaya han isliye ke log qadeem se ye kam karte aa rahe hain kaha gaya kitna to farmaya witar samet 39
rakaten ( qayam ul lail page 222)
.
Scan :
image
Ibn e aiman bhi imam malik ke bilawasta ”shaagird’ hain WO kahte hain jaisa ke khud gair
muqallidin ke allama mubarak puri ki kitab toahfatul ahwazi jild 2 page 73 me manqul hai ke imam malik ne farmaya mai is bat ko pasand karta hun ke log ramzan me 38 raqat padha
Karen fir imam aur muqtadi dono salam ferde uske bad imam unko ek rakat witar padhaye
….
Ab insaf se kahiye Jo bat imam malik ke bila wasta ”shaagird’ naqal karte hain WO qabil e
Aitmad hai ya ek hanfi ek shafayi musannif ka qaul Jo imam malik ke sadiyon bad paida huwe
unki bat maqbul hogi jab ke WO khud mashur qaul 36 bhi nakal karte hain

Allama suyuti jo 8 rakat ke naqil hain khud Almasabih me hi likhte hain
.
ﻭﻋﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﺍﻟﺘﺮﺍﻭﻳﺢ ﺳﺖ ﻭ ﺛﻼﺛﻮﻥ ﺭﻛﻌﺔ ﻏﻴﺮ ﺍﻟﻮﺗﺮ
‏(ﺍﻟﻤﺼﺎﺑﻴﺢ ﺹ٢٣‏)
.
Scan :
image
Tarjuma
imam malik se mankul hai ke taraweeh ki namaz
36 raqat witar ke alawa hai
.
Allama ayni Jo 8 raqat nakal karte hain WO bhi khud mashur qaul 36 apni usi kitab umdatul
qari me likhte hain
ﻓﺎﻟﻤﺸﻬﻮﺭ ﻋﻦ ﻣﺎﻟﻚ ﺳﺖ ﺛﻼﺛﺘﻮﻥ ﻭﺍﻟﻮﺗﺮ ﺑﺜﻼﺙ ‏( ﻋﻤﺪﺓ
ﺍﻟﻘﺎﺭﻱ ﺝ ١١ ﺹ٦٢١‏)
.
Scan :
image
Tarjuma
imam malik ka mashur mazhab 36 rakat taraweeh aur 3 rakat witar hai
.
Gair muqallidon ke sartaj, uruj bil furuz ke hami Nawab siddique hasan Bhopali ke mushkil
kusha , qaazi shokaani rh. Apni kitab nail ul awtar me likhte hain
ﻗﺎﻝ ﻣﺎﻟﻚ ﺍﻻﻣﺮﻋﻨﺪﻧﺎ ﺑﺘﺴﻊ ﻭ ﺛﻼﺛﻮﻥ ‏( ﻧﻴﻞ ﺍﻻﻭﻃﺎﺭ ﺝ٥
ﺹ١٨١
.
Tarjuma
imam malik rh ne farmaya humare nazdeeq taraweeh 36 rakat hai
.
Scan :
image
Ab aap khud Faisal Karen ke Jo qaul e majhul imam malik rh. Ki taraf mansub hai uski kuch
haqeeqat bhi hai jab ke unke bila wasta shaagird aur khud 8 rakat naqal karne wale hazrat imam
malik mashur mazhab 36 likhte hain fir jab ke imam malik ka mukhtar mazhab 20 rakat ka
sabit bhi ho chuka hai..
ALLAH pak Hume sahi samjh ata kare

Kya Hazrat Omer Razi Allahu anhu ne 8 Rak’at Taraweeh ka Hukm diya tha?

Kya Hazrat Omer Razi Allahu anhu ne 8 Rak’at Taraweeh ka Hukm diya tha?
(firqe) Ahle Hadees ka doosra dawa ye hai ke Hazrat Umar Razi Allahu anhu ne bhi 11 hi ka hukum diya tha, is dawey ki daleel Ahle Hadees ke paas bajaz Saaib Bin Yazzeed ke ek Asar ke aur kuch nahi ha i, Saaib Bin Yazeed ka ye asar Mo’atta Imam Maalik aur Qiyaamul lail me Manqool hai .

Saaib ke is bayan ke Naaqil Muhammad Bin Yousuf hain aur Muhammad bin Yousuf ke 5 Shaagird hain aur paancho ke bayan baham Mukhtalif hain jaisa k bataya jarahah hai.
Saaib Bin yazeed
Muhamamd Bin Yousuf
1. Imam Malik Hazrat Umar razi Allahu nahu ne Ubai Bin Ka’b aur Tameem Daari ko Hukum diya ke wo logon ko 11 Rakaten padhayen(kya amal hua uska koi zikr nahi)
2. Yahya Qattan Hazrat Umar razi Allahu nahu ne Ubai aur Tameem par logon ko jama kiya pas wo Dono 11 Rakaten padhte the(isme Hazrat Umar ke hukum ka zikr nahi)
3. Abdul Aziz Bin Muhammad , Hum Hazrat Umar razi Allahu nahu ke zamane 11 Rakaten padhte the (isme na hukum ka zikr hai na Ubai aur Tameem raz ka)
4. Ibne Ishaaq , Hum Hazrat Umar razi Allahu nahu me bamaahe Ramazan 13Rakaten padhte the(isme bhi hukum aur Ubai aur Tameem raz ka zikr nahi aur 11 ke bajaye 13 ka zikr hai)

5. Abdur Razaq ke sheikh Dawood Bin Qais,Hazrat Umar razi Allahu nahu ne 21 Rakat ka hukum diya (isme 11 ke bajaye 21 ka zikr hai)

Pas Usool e Hadees ki roo se ye Riwayat Muztarib hai, aur is haalat me jab tak ke kisi ek Tareeq ko usool ke mutabiq Tarjeeh na di jaye ya tamam TURUQ me tatbeeq na di jaye us waqt tak is Riwayat ko kisi mudda’aa ke suboot me pesh karna Durust nahi hai.
Qudamaye muhaqqiqeen ne dono Soorten ikhtyar ki hain chunanche Ibne Abdul Barr Maaliki mutawaffi 463 hijri ne 11 aur 21 me 21 ko Saheeh qarar diya hai aur 11 ko raawi ka wahem bataya hai aur isi ke sath tatbeeq ki ye soorat likhi hai ke pehle 11 ka hukum raha ho phir Qayaam me takhfeef ke liye 11 ke bajaye 21 rakaten kardi gayi hon(TOHFATUL AHWAZI JILD 2 SAFHA 74) aur ZARQAANI Maaliki ne isi tatbeeq ko Tarjeeh di hai aurkaha hai ke BAIHAQI ne bhi Mukhtalif riwayaton ko isi tarah jama kiya hai(TOHFATUL AKHYAAR safha 191, ZARQAANI SHARAH MO’ATTA jild 1 safha 215)
Aur kuch shubah nahi ke Tarjeeh se jam na lene ki soorat me tatbeeq ki yahi soorat mutayyin hai is liye ke ye jo kuch Ikhtelaaf hai, Saaib ke shaagird Muhammad Bin Yousuf ki Riwayat hai, Saaib ke ek Shagird Yazeed Bin Khusaifa hain unki Riwayat me koi ikhtelaaf nahi hai, Yazeed ke kul Shagird bilaa ikhtelaaf Saaib ka Ye bayan naqal karte hain ke Hum Hazrat Umar ke zamane me 20 rakaten padha karte the, ab ya to Yazeed bin Khusaifa ki Riwayat ke muqabale me Muuhammad Bin Yousuf ki Riwayat ko naqaabil e Wusooq qarar diya jaye is liye ke Yazeed ke Shagirdo ke Bayan me ikhtelaaf nahi hai aur Muhammad Bin Yousuf ke shagirdo ke bayan me baham Ikhtelaaf hai, ya phir Muhammad bIn Yousuf ki Riwayat ke us tareeq ko qaabil e aetemaad samjha jaye jo Yazeed ki Riwayat ke sath Muttafiq hosakta ho yani 21 wala Tareeq aur ye bhi nahi to phir Muhammad Bin Yousuf ke tamam tareeq me is tarah Tatveeq di jaye ke wo Yazeed ki Riwayat se na takrayen jaisa ke Ibne Abdul Barr aur Zarqaani waghaira ne kiya hai.
Baherhaal Sunan Sayeed Bin Mansoor ki Riwayat Tarjeeh ya tatbeeq ke baghair Qaabil Aetemaad nahi hai aur Tarjeeh o tatbeeq ke baad Hamare Daawey par use koi asar nahi pad sakta is liye ke Tarjeeh ke baad 11 ka saboot hi nahi hoga aur tatbeeq ke baad ye sabit hoga ke Ahde faarooqi me ibteda’an chand roz is par amal hua, uske baad AHde farooqi hi me is par amal mauqoof hogaya aur jab se mauqoof hua us waqt se terhwi safi ke awaakhir tak phir kabhi is par amal daraamad nahi hua, yahi wajeh ahi ke Shaikhul Islaam Ibne Taimia rah ne jahan Hazrat Umar ke Taraweeh Qaayam karne aur baad me is par amal daraamad ka zikr kiya hai to us ahad me ya uske baad 11 ka zikr bhoolen se bhi nahi kiya hai. Farmate hain

“pas Hazrat Umar Razi Allahu anhu ne unko Ubai Raz par jama kiya to wi un log ko 20 Rakat padhaya karte the aur teen Rakat WITR padhte the aur jitni Rakaten ziada hogaya thi unke lihaaz se Qiraat me takhfeef karte the is liye ke Rakaton ke Lambe karne se ye Muqtadiyo par aasaan hai. Phir ek Giroh Salaf ka 40 Rakat Taraweeh aur 3 Witr Rakat padhta tha, aur Doosre kuch log 36 Taraweeh aur 3 Wirt padhte the aur ye sab acha aur khush gawaar hai.”
Ahde farooqi se lekar hazaar barah sau saal tak Ummat ke Ulama o Fuqahaa aur Aamae Muslimeen ke aise wasee’ paimaane par Amal daraamad ko (firqe)Ahle Hadees koi ahmiyat na den to unki naa waqfiyat hai warna Haqeeqat me wo kasli khuri aur Bilkul Saheeh Sanad Riwayat se kahin badh kar Mustahkam aur Qaabil e Wusooq daleel hai.
Hazrat Abdullah Bin Mubarak rah jinki Imamat aur Ilmi Jalalat Musallam aur Muttfaq alaih hai, farmate hain:
“Ek taraf kisi baat par Logon ka ittefaaq ho aur doosri taraf koi Riwayat jo basilsila Sufyan az Mansoor az Ibrahim az Alqama az Ibne Masood marwi ho to bawajood ye ke ye silsila Dunya ki sab se SAHEEH SANADO me shumaar hota hai (phir bhi) mere nazdeek isse ziada Qaabi e aetemad logon ka ittefaq hai.”

Ab Dekhye Muhaddiseen kya kehte hain is baare me

(1) Naasirul Hadees Imam Shafai rah farmate hain:
“Maine Madine walon ko dekha ke woh(Taraweeh) 39 Rakat padhte hain aur Mujhe 20 Rakat (Taraweeh) pasand hai isliye ke ye hazrat umar Razi ALlahu anhu se marwi hai aur isi tarah Makkah wale Qiyaam karte the aur 3 Rakat witr padhte the”
(2) Shaarih e Saheeh Muslim Allama Nawawi rah farmate hain:
“Aur Hamare Ashaab ki daleel ye hai jise BAIHAQI ne riwayat kiya hai SAHEEH ASNAAD SE
SAAIB BIN YAZEED SAHABI RAZI ALLAHU ANHU ne farmaya:

“hazrat Umar razi Allahu anhu ke zamane me log Ramazan ke mahine me 20 Rakat padhte the aur farmate hain ke wo Log TARAWEEH me 200 aayaten padhte the aur hazrat Usman Ghani razi Allahu anhu ke daur e Khilafat me log Shiddat e Qiyaam ki wajeh se apni laathiyo ka sahaara liya karte the.”
[AL MAJMOO , JILD 3, SAFHA 527]

Makka Madina Me 20 Rakat Taraweeh.Aur Tahajjud Alag

Makka Madina Me 20 Rakat Taraweeh.Aur Tahajjud Alag

GHAIRMUKALLIDO KA DO (2) DHOKA KA PARDA FASH
1. AIK DHOKA YEH DETE HAIN KE HARMAIN SHARIF MAIN TARAWIH 8 RIKAAT HOTI HAI
..
AUR
..
2. TAHAJUD AUR TARAWIH DONO AIK HI NAMAZ HAI.
..
HARMAIN SHARIFAIN ME KOI IMAM 8 RAK’AT TARAWEEH PADHA KAR NAHI HAT’TA  BALKI YE schedule BATA RAHA HE 10 K BAD PEHLE IMAM HAT’TE HAIN PHIR DUSRE IMAM 10 PADHATE HAIN.
..
AUR AAKHRI 10 RATOO MAIN TARAWIH KE NAMAZ KE BAAD TAHAJJUD KI NAMAZ BHI HOTI HAI….
AAP SCHEDULE  MAIN DEKH SAKTE HAIN.
SCHEDUL Scne
image
….
Bismillah Irahama Niraheem..

Imam-e-Kaaba Aur Gair Muqallideen…
….
Imaam-e-Kaaba Shaikh Saud Shuraim (db) ne Kal
Raat Taraaweeh ki Pehli 10 Raka’t parhaayi to
Imaam-e-Kaaba Shaikh Abdur Rahman Sudais
(db) unke Peeche Namaaz parhte rahe aur Jab
aakhri 10 Raka’t Abdur Rahman Sudais (db) ne
parhaayi to Saud Shuraim (db) unke peeche
Namaaz parhte rahe….
Isse Yeh Malum Huwa ke Dono Imam Shaikh
Saud Shuraim (db) Aur Shaikh Abdur Rahman
Sudais (db) ne 20 Rakaat Taraveeh Padhi
….
Mazeid aap log dekh sakte hain ke in dono
A’immah ne aur inke peeche maujood kisi bhi
Muqtadi ne Firqa Ahl-e-Hadees ki tarah kohniyo
ko pakarte hue haath nahi baandhe aur na hi
firqa Ahl-e-Hadees ki tarah Paer phailaaye hain
Aur Nahi Kisine Seene Per Hath Bandha hai

ALLAH Tamaam Ummat ko Is Fitne se Bachaye aur
Sunnat-e-Rasollah (S) per Amal Karni ki Toufiq
Ata Farmaye..

image

Masla Taraweeh Aur Naam Nihad Ahle Hadees Ka Postmartam

Masla Taraweeh Aur Naam Nihad Ahle Hadees Ka Postmartam


1 .Mulla Ali Qari Rh Ne 20 Rakat Taraweeh Par Sahaba Ka Ijma Naqal Kiya Hai..
(MIRQAAT SHARAH MISHKAAT .)
Scan :
image
2. Gair Muqallideen K Mashoor Alim Nawab Siddique….
20 Rakat Taraweeh..
Aur Hazrat Umar K Duar Me Ispar IJMA HUwa Hai…
Scan :
image
3. Imam Ibne Taimiya Rh :
20 Rakat Sunnat Hai….
Aur Umar Rz K Duar Me 20 Rakat Aur 3 Witr Padhyi Gayi…
Scan :
image
4 . Allama Navvi Rh Ne 20 Rakt Kaha Hai…
Jaan Lo Ki Taraweeh 20 Rakat Hai..
Scan :
image
5. Imam Nawawi Rh
Taraweeh 20 Rakat Aur Ijma….
Scan :
image
6 . Shaikh Shams Uddin Muhammad Bin Muhammad Khateeb rah
Likhte Hai..
Taraweeh 20 Rakat Aur Sunnat Hai…
Scan :
image
7 . Imam -e- Ahle Sunnat Wal Jama’at Imam Ahmad Bin Hanbal Rh
Taraweeh 20 Rakat Hai…
Scan :
image
8. Imam Shafai RH Muje 20 Rakat Taraweeh Pasand Hai..
Scan :
image
9. Imam Malik B 20 Ya 36 K Qail Hai…
Scan :
image
10. ALLAMA IBNE QUDAMA HAMBALI RAH LIKHTE HAIN:
20 RAKAT TARAWEEH PAR IJMAA HAI
Scan :
image
11.TARAWEEH 20 RAKAT HAI
SHAIKH ABDUL QADAR JEELANI RAH LIKHTE HAIN
Mustahab hai ke Namaz e Taraweeh ba Jamaat ho aur Qirat Jehri ho kyu ke Ap sallallahu alaihi wasallam ne Namaz e Taraweeh isi tarah padhai thi. Ja Ramazan ka chand nazar aajaye to usi raat se TARAWEEH ki Namaz Shuru kardi jaye kyun ke woh Ramazan ki Raat hai . NAMAZ E TARAWEEH ISHA ke farz aur phir 2 Sunanten padh kar ada karni chahye kyun ke SUNNAT Tareeqa yahi hai. TARAWEEH KI 20 RAKAAT HAIN AUR HAR 2 RAKAT SALAAM PHER DI JAYE. 20 RAKAAT KE 4 TARWEEHE HAIN YANI HAR 4 RAKAT KA EK TARWEEHA IS LIYE HAR TARWEEHE KE BAAD QADRE TAWAQQUF KIYA JATA HAI.
(GHUNIYATUT TAALIBEEN SAFHA 268)
Scan :
image
12. Allama Muhammad Anwar Shah Kashmiri Hanafi rahmatullahi alaih farmate hain ke AIMMA ARBA me se koi bhi 20 Rakat se kam TARAWEEH ka Qaayal nahi hai aur Jamhoor SAHABA IKRAAM Razi ALlahu anhum ka Amal bhi isi par hai. Imam Maalik Bin ANas rah ne farmaya: 36 Rakat kyu ke wo Ahle Madina ka amal hai ke woh log TARWEEH ke beech me 4 Rakat Namaz padha karte the INFERADAN(AKele akele) aur jahan tak Ahle Makkah ki baat hai to wo TARWEEHON ke darmiyan TAWAAF kiya karte the BAITULLAH ka.
[Al Urfush Shazii Sharah Tirmizi jild 2 safha 208]
Scan :
image
13 . Ibne Abdul Barr Maliki rahmatullahi alaih farmate hain ke
(Imam) Sufyan Sauri, Abu Haneefa, Shafa’ii, Ahmad Bin Dawood rahimahumullah farmate hain ke
“TARAWEEH 20 RAK’AAT HAI WITR KE ILAWA, AUR MUSTAHAB HAI KE ISSE ZIADA ADA NA KI JAYE.”
(AL ISTIZKAAR 5/157)
Scan :
image
14. Shaikh Abul Hasan Yahya Bin Abul Khair Shafai rah(489-558 hijri) likhte hain
“Ramazan ka Qiyam 20 Rakat hai 10 Salaam se Isha ke baad.(Al Bayan Fi MAzhabil Imam Shafai jild 2 safha 273)
Scan :
image
15. Imam Tirmizi rah Apni kitab Jaame’ Tirmizi me farmate hain:
..
“Aur Aksar Ahle Ilm ka Ramazan ke Qayam me ikhtelaaf hai, baaz kehte hain ke 41 Rakat Witr ke sath padhi jay aur ye Qaul Ahle Madina ka hai aur isi par Ahle Madina ka Madina me amal hai.
..
Aur AKsar AHle Ilm jo Hazrat Umar , Hazrat ALi waghaira sahaba (Razi ALlahu anhum)se Riwayat hai 20 Rakat hai aur yahi SUFYAN SAURI, Abdullah Bin Mubarak aur Imam Shafai rahimahumullah ka Qaul hai.
..
Aur Imam Shafai rah ne farmaya:
“maine apne Shahar Makkah me logon ko 20 Rakaat par Aamil paaya”
..
[JAAME' TIRMIZI JILD 2 SAFHA 159, Hadees no 806]
Scan :
image
Dekhye Imam Tirmizi rah ne Ahle Ilm ka ikhtelaaf bataya hai magar kisi ne ye nahi kaha ke Taraweeh 8 Rakat padhi jayegi kyu ke Salaf(SAHABA, TABAEEN , TABE TABAEEN) ka ye mazhab hi nahi tha ya wo 20 padhte the ya usse ziada kam nahi padhte the.
..
16. Imam Gazali Rh ..
Scan :
image
Ab Jab 20 Par IJMA Hai Aur Sunnat Bhi..
To 8 Padhna Hi Q>???
Jisne 8 Padhna Wo IJMA ( Quran Aur Hadees ) Ka Munkar Hai..

Sawal :
1. Aap 8 Par Ijma Sabit Kare Aur Sunnat Sabit Kare..
2. Ye Sabit Kare Ki 20 Par Ijma Nhi Huwa….
HANFIo Ki Taqleed Chor Do…
Muhaddiseen Se Sabit Karooo..
Aimma Se Sabit Karooo..
Tab Tu Tum Haq PAR Rahoge…