Kya Hazrat Omer Razi Allahu anhu ne 8 Rak’at Taraweeh ka Hukm diya tha?

Kya Hazrat Omer Razi Allahu anhu ne 8 Rak’at Taraweeh ka Hukm diya tha?
(firqe) Ahle Hadees ka doosra dawa ye hai ke Hazrat Umar Razi Allahu anhu ne bhi 11 hi ka hukum diya tha, is dawey ki daleel Ahle Hadees ke paas bajaz Saaib Bin Yazzeed ke ek Asar ke aur kuch nahi ha i, Saaib Bin Yazeed ka ye asar Mo’atta Imam Maalik aur Qiyaamul lail me Manqool hai .

Saaib ke is bayan ke Naaqil Muhammad Bin Yousuf hain aur Muhammad bin Yousuf ke 5 Shaagird hain aur paancho ke bayan baham Mukhtalif hain jaisa k bataya jarahah hai.
Saaib Bin yazeed
Muhamamd Bin Yousuf
1. Imam Malik Hazrat Umar razi Allahu nahu ne Ubai Bin Ka’b aur Tameem Daari ko Hukum diya ke wo logon ko 11 Rakaten padhayen(kya amal hua uska koi zikr nahi)
2. Yahya Qattan Hazrat Umar razi Allahu nahu ne Ubai aur Tameem par logon ko jama kiya pas wo Dono 11 Rakaten padhte the(isme Hazrat Umar ke hukum ka zikr nahi)
3. Abdul Aziz Bin Muhammad , Hum Hazrat Umar razi Allahu nahu ke zamane 11 Rakaten padhte the (isme na hukum ka zikr hai na Ubai aur Tameem raz ka)
4. Ibne Ishaaq , Hum Hazrat Umar razi Allahu nahu me bamaahe Ramazan 13Rakaten padhte the(isme bhi hukum aur Ubai aur Tameem raz ka zikr nahi aur 11 ke bajaye 13 ka zikr hai)

5. Abdur Razaq ke sheikh Dawood Bin Qais,Hazrat Umar razi Allahu nahu ne 21 Rakat ka hukum diya (isme 11 ke bajaye 21 ka zikr hai)

Pas Usool e Hadees ki roo se ye Riwayat Muztarib hai, aur is haalat me jab tak ke kisi ek Tareeq ko usool ke mutabiq Tarjeeh na di jaye ya tamam TURUQ me tatbeeq na di jaye us waqt tak is Riwayat ko kisi mudda’aa ke suboot me pesh karna Durust nahi hai.
Qudamaye muhaqqiqeen ne dono Soorten ikhtyar ki hain chunanche Ibne Abdul Barr Maaliki mutawaffi 463 hijri ne 11 aur 21 me 21 ko Saheeh qarar diya hai aur 11 ko raawi ka wahem bataya hai aur isi ke sath tatbeeq ki ye soorat likhi hai ke pehle 11 ka hukum raha ho phir Qayaam me takhfeef ke liye 11 ke bajaye 21 rakaten kardi gayi hon(TOHFATUL AHWAZI JILD 2 SAFHA 74) aur ZARQAANI Maaliki ne isi tatbeeq ko Tarjeeh di hai aurkaha hai ke BAIHAQI ne bhi Mukhtalif riwayaton ko isi tarah jama kiya hai(TOHFATUL AKHYAAR safha 191, ZARQAANI SHARAH MO’ATTA jild 1 safha 215)
Aur kuch shubah nahi ke Tarjeeh se jam na lene ki soorat me tatbeeq ki yahi soorat mutayyin hai is liye ke ye jo kuch Ikhtelaaf hai, Saaib ke shaagird Muhammad Bin Yousuf ki Riwayat hai, Saaib ke ek Shagird Yazeed Bin Khusaifa hain unki Riwayat me koi ikhtelaaf nahi hai, Yazeed ke kul Shagird bilaa ikhtelaaf Saaib ka Ye bayan naqal karte hain ke Hum Hazrat Umar ke zamane me 20 rakaten padha karte the, ab ya to Yazeed bin Khusaifa ki Riwayat ke muqabale me Muuhammad Bin Yousuf ki Riwayat ko naqaabil e Wusooq qarar diya jaye is liye ke Yazeed ke Shagirdo ke Bayan me ikhtelaaf nahi hai aur Muhammad Bin Yousuf ke shagirdo ke bayan me baham Ikhtelaaf hai, ya phir Muhammad bIn Yousuf ki Riwayat ke us tareeq ko qaabil e aetemaad samjha jaye jo Yazeed ki Riwayat ke sath Muttafiq hosakta ho yani 21 wala Tareeq aur ye bhi nahi to phir Muhammad Bin Yousuf ke tamam tareeq me is tarah Tatveeq di jaye ke wo Yazeed ki Riwayat se na takrayen jaisa ke Ibne Abdul Barr aur Zarqaani waghaira ne kiya hai.
Baherhaal Sunan Sayeed Bin Mansoor ki Riwayat Tarjeeh ya tatbeeq ke baghair Qaabil Aetemaad nahi hai aur Tarjeeh o tatbeeq ke baad Hamare Daawey par use koi asar nahi pad sakta is liye ke Tarjeeh ke baad 11 ka saboot hi nahi hoga aur tatbeeq ke baad ye sabit hoga ke Ahde faarooqi me ibteda’an chand roz is par amal hua, uske baad AHde farooqi hi me is par amal mauqoof hogaya aur jab se mauqoof hua us waqt se terhwi safi ke awaakhir tak phir kabhi is par amal daraamad nahi hua, yahi wajeh ahi ke Shaikhul Islaam Ibne Taimia rah ne jahan Hazrat Umar ke Taraweeh Qaayam karne aur baad me is par amal daraamad ka zikr kiya hai to us ahad me ya uske baad 11 ka zikr bhoolen se bhi nahi kiya hai. Farmate hain

“pas Hazrat Umar Razi Allahu anhu ne unko Ubai Raz par jama kiya to wi un log ko 20 Rakat padhaya karte the aur teen Rakat WITR padhte the aur jitni Rakaten ziada hogaya thi unke lihaaz se Qiraat me takhfeef karte the is liye ke Rakaton ke Lambe karne se ye Muqtadiyo par aasaan hai. Phir ek Giroh Salaf ka 40 Rakat Taraweeh aur 3 Witr Rakat padhta tha, aur Doosre kuch log 36 Taraweeh aur 3 Wirt padhte the aur ye sab acha aur khush gawaar hai.”
Ahde farooqi se lekar hazaar barah sau saal tak Ummat ke Ulama o Fuqahaa aur Aamae Muslimeen ke aise wasee’ paimaane par Amal daraamad ko (firqe)Ahle Hadees koi ahmiyat na den to unki naa waqfiyat hai warna Haqeeqat me wo kasli khuri aur Bilkul Saheeh Sanad Riwayat se kahin badh kar Mustahkam aur Qaabil e Wusooq daleel hai.
Hazrat Abdullah Bin Mubarak rah jinki Imamat aur Ilmi Jalalat Musallam aur Muttfaq alaih hai, farmate hain:
“Ek taraf kisi baat par Logon ka ittefaaq ho aur doosri taraf koi Riwayat jo basilsila Sufyan az Mansoor az Ibrahim az Alqama az Ibne Masood marwi ho to bawajood ye ke ye silsila Dunya ki sab se SAHEEH SANADO me shumaar hota hai (phir bhi) mere nazdeek isse ziada Qaabi e aetemad logon ka ittefaq hai.”

Ab Dekhye Muhaddiseen kya kehte hain is baare me

(1) Naasirul Hadees Imam Shafai rah farmate hain:
“Maine Madine walon ko dekha ke woh(Taraweeh) 39 Rakat padhte hain aur Mujhe 20 Rakat (Taraweeh) pasand hai isliye ke ye hazrat umar Razi ALlahu anhu se marwi hai aur isi tarah Makkah wale Qiyaam karte the aur 3 Rakat witr padhte the”
(2) Shaarih e Saheeh Muslim Allama Nawawi rah farmate hain:
“Aur Hamare Ashaab ki daleel ye hai jise BAIHAQI ne riwayat kiya hai SAHEEH ASNAAD SE
SAAIB BIN YAZEED SAHABI RAZI ALLAHU ANHU ne farmaya:

“hazrat Umar razi Allahu anhu ke zamane me log Ramazan ke mahine me 20 Rakat padhte the aur farmate hain ke wo Log TARAWEEH me 200 aayaten padhte the aur hazrat Usman Ghani razi Allahu anhu ke daur e Khilafat me log Shiddat e Qiyaam ki wajeh se apni laathiyo ka sahaara liya karte the.”
[AL MAJMOO , JILD 3, SAFHA 527]