Taraweeh Ke Baare Me Ghair Muqalliden Ka Fareb

Taraweeh Ke Baare Me Ghair Muqalliden Ka Fareb
Dosto! Aapne Aksar Ghair Muqallideen ko Yeh kehte Huwe Suna Aur Dekha Hoga ke
”TARAAWEEH AUR TAHAJJUD EK HI NAMAAZ HAI YEH ALAG SE KOI NAMAAZ NAHI BALKE EK HI
NAMAAZ KE ALAG ALAG NAAM HAIN”

Chunaanche Maulaana Saadiq Siyalkoti Apni Kitab SALAATURRASOOL Me Likhte Hain.

”Nabiye Rahmet Ne Raat ki Namaaz Tahajjud ko Ramazaan Shareef Me ishaa ke Saath Padh Kar Logo ke Liye Suhulat Aur Aa Saani Paida Kardi Taake Woh Taraaweeh ke Ba’d Puri Aa Raam ki Neend So Lein Aur Phir Subah Saadiq se kuch Pehle Uthh Kar Sehri Khaa Kar Roza ke Liye Taaza
Dam Ho Jaayen”
(Salaaturrasool Safha 125)
Scan:
image
Aur Maulaana Nazeer Ahmed Amolvi Anwaar e Masaabeeh Me Likhte Hain:
”Tahajjud Fee Ramazaan Aur Taraaweeh Dono Ek Hain”
(Anwaar e Masaabeeh safha 80)
image
Aur yahi baat aam taur par ghair muqallideen apni kitaabo aur comments me likhte rehte hain,
to jab ghair muqallideen ka yahi mazhab hai ke TARAAWEEH alag se koi mustaqil namaaz nahi
hai balke aam dino ke tahajjud hi ki namaaz ko unke yahaan Taraaweeh kaha jaata hai, to Ab
khwaam khwaah un logon se Taraaweeh ki ta’daad ke baare me Bahes karna jinke nazdeek
Taraaweeh mustaqil tahajjud ke siwa ek namaaz hai bilkul hi fuzool hai. Agar tumhaare nazdeek Tahajjud ka naam hi Taraaweeh hai aur tahajjud
ki Namaaz Nabi sallallahu alaihi wasallam se 8
raka’t saabit hai, to iska munkir hi kaun hai?

Saare Ahle sunnat wal jama’t Tahajjud ki is ta’daad ke bhi qaayel hain. Isliye ghair
muqallideen ke is fareb se musalmaano ko waaqif hona chaahiye ke woh Taraaweeh ka
Naam lekar musalmaano ko dhoka dete hain
warna unke nazdeek shiyon ke mazhab ki Tarah Taraweeh naam ki mustaqil koi namaaz nahi hai
.
jisko khud huzoor sallallahu alaihi wasallam ne masnoon kiya tha.
Tahajjud to nass e Qur’aani se saabit hai, magar musalmaan jis namaaz ko Taraaweeh kehte hain
aur jo sirf Ramazaan ke maheena me ada karne waali ibaadat hai,
.
iski mashruiyet SUNNAT E
NABWI se hai jaisake Allah ke Rasool sallallahu
alaihi wasallam ka irshaad hai:
ﺳﻨﻨﺖ ﻟﻜﻢ ﻗﻴﺎﻣﻪ
ya’ni maine tumhaare liye is ke qiyaam
(Taraweeh) ko masnoon kiya hai.
Pas Taraweeh ke baab me ghair muqallidon ka
yeh kehna ke uski raka’tein 8 hain aur Ahle
Sunnat wal jama’t se is baare me ladna jhagadna bilkul be ma’na hai, jab tumhaari khud saakhta
naam ki Taraaweeh aur Ahle sunnat wal jama’t ki Mashru aur masnoon Taraweeh dono 2 Alag
cheezein hain tumhaari Taraaweeh saal bhar waala Tahajjud hai aur Ahle sunnat wal jama’t ki Taraweeh woh hai jo 20 Raka’t ya usse zaayed Raka’ton ke saath woh sirf Ramzaan ke zamaane me ada karte hain, to agar dono namaazo ka Adad alag alag ho to isme bahes ki kya zarurat hai, aur ghair muqallideen kyun chaahte hain ke
Ahle sunnat wal jama’t bhi sirf 8 Raka’tein Taraaweeh padhein, agar Ahle sunnat Wal jama’t
bhi ghair muqallidon hi ki tarah Tahajjud hi ko Taraaweeh bhi kehte to iski Adad ke baare me
bahes ki gunjaayesh thi aur iska kuch jawaaz tha, magar jab Ahle sunnat wal jama’t ke nazdeek
Tahajjud ki namaaz ko Taraaweeh nahi kaha jaata balke unke nazdeek Taraaweeh mustaqil ibaadat hai to unse Tahajjud wala Adad padhne ka mutaalba karna zabar dasti hai, iska matlab to
yeh hai ke kal ke din koi ghair muqallid 4 raka’tein isha ke ba’d ba jama’t ada karke uska
naam TARAWEEH rakh de aur kahe yahi TARAWEEH SUNNAT hai aur wahi namaaz jo saal bhar ishraaq ke naam se suraj ke buland hote waqt musalmaan ada karte hain isi ka naam
Ramazaan ke zamaane me agar woh 4 isha ke farz ke ba’d ba jama’t ada ki jaaye to taraaweeh
hai aur kutub e hadees me jo ishraaq ke silsila ki ahaadees hain unko bayaan karke apni 4 raka’t wali Taraaweeh ki haqqaaniyet saabit kare aur
Ahle sunnat Wal jama’t waali Taraaweeh ko bid’at kahe, iska jawab koi Ahle sunnat wal jama’t iske siwa aur kya de sakta hai ke ai ghair muqallid bhai Taraaweeh ki raka’ton ke baare me tumhaara Ahle sunnat Wal jama’t se ladna
jhagadna fuzool hai, kyunki jis namaaz ko tum Taraweeh kehte ho woh Ahle sunnat ke nazdeek
Taraaweeh ki namaaz nahi kehlaati hai, agar tumne ishraaq ki namaaz ka naam Taraaweeh
rakha hai to bila shubha ishraaq ki namaaz 4 hi hai, tumhaari taraaweeh ki yeh 4 raka’tein bila
shubha saheeh hain, tum padho aur shauq se ishraaq ki namaaz ka naam taraaweeh rakho,
Ahle sunnat Wal jama’t ke nazdeek taraaweeh ishraaq ke alaawa ek dosri namaaz hai jisko sirf Ramazaan ke zamaane me musalmaan ada karte haih, aur ham us namaaz ki ta’daad ko 20 kehte hain. Bilkul isi tarah ham Ahle sunnat Wal jama’t in ghair muqallido se kehte hain ke tumhaare mazhab me jis namaaz ko taraaweeh kaha jaata
hai woh hamaare nazdeek Taraaweeh nahi hai,

woh Tahajjud hai aur Tahajjud ki namaaz ki Raka’to ka Adad 8 bhi hai, aur bila shubha aanhuzoor sallallahu alaihi wa sallam ne Witr ke saath Tahajjud 11 raka’t bhi padha hai, Albatta khuda ke liye makhlooq e khuda ko dhoka na diya karo, jab Taraaweeh ka adad bayaan karo to wazaahat kar diya karo ke mazhab ghair
muqallideen me tahajjud hi ko Taraaweeh kaha jaata hai, agar tum iski wazaahat karte raho aur
awaam ko isse waaqif karaado to awaam dhoka me nahi padenge aur woh gumraahi se bachenge, aur tumhaari is wazaahat ke ba’d Ahle sunnat Wal jama’t ke ulamaa tum se Taraaweeh ki raka’ton ke baare me bahes se gurez karenge
isliye ke Ahle sunnat Wal jama’t ke nazdeek bhi tahajjud ki 8 Raka’tein bhi masnoon hain.

Alabatta ghair muqallideen ko yeh zaroor bataana hoga ke salf me se kaun woh log hain jinka mazhab yeh tha ke Ramazaan me jo tahajjud ki namaaz hoti hai usi ko Taraaweeh bhi kaha jaata hai, kya aimma Arba me se iska koi
qaayel hai ya muhaddiseen ka yeh mazhab raha hai?
..
Kya imaam bukhaari, imaam muslim, imaam tirmizi, imaam abu daawood, imaam ibne maajah in sihaah sitta ke musannifeen ka mazhab yahi tha ke saal bhar waala tahajjud Ramazaan me Taraaweeh ho jaata hai?

Kya Ghair muqallideen ke wajood se pehle duniya e islam ki kisi masjid me ispe amal huwa hai?

terah, chaudah so baras ka zamaana islaam par guzar gaya kya ghair muqallideen waali
Taraaweeh kisi masjid me padhi gayi, aur kya aaj bhi Ahle sunnat Wal jama’t ki masaajid me 8
raka’t Taraaweeh padhi jaati hai?
.
With furoof
waazeh farmaayen?
ALLAH paak saheeh fikr wa amal ki taufeeq naseeb
farmaaye. (aameen)